Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, May 2, 2018

❗Only-Quran-Hadith Quiz 441❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 441❗


Dono sawalo ke jawab is tarah de CD / AB

Sawal : Inmein se un sahabi ka kya naam hai jinko Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne pahle hi farma diya tha ki tumhe ek bagi jamat Qatl karegi


A. Ammar radi Allahu Anhu

B. Ali Radi Allahu Anhu

C. Hussain Radi Allahu Anhu

D. Umar radi Allahu Anhu

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal : Wo sahabi kaunsi jung mein shaheed kiye gaye they ?


A. Karbala ki jung

B. Tabook ki jung

C. Siffin ki jung

D. Hunain ki jung

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
-----------------------
Reply both quiz like this CB / BD


Quiz : What is the name of that sahabi to whom the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said that you will be killed by a rebellious aggressive group ?


A. Ammar radi Allahu Anhu

B. Ali Radi Allahu Anhu

C. Hussain Radi Allahu Anhu

D. Umar radi Allahu Anhu

E. None of the above

F. I want to know


Quiz 2 : In which Battle that sahabi got martyred ?

A. The battle of Muta

B. The battle of tabook

C. The battle of siffin

D. The battle of hunain

E. None of the above

F. I want to know



❗Sahi Jawab AC ❗
------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ammar radi allahu anhu ke pass se guzrey aur unke sir se gubar ko saaf kiya aur farmaya ammar ko ek bagi jamaat Qatl karegi , ye to usko Allah ki taraf dawat de raha hoga aur wo unko jahannum ki taraf bulayenge
Sahih Bukhari 2812

Abdullah bin harth se rivayat hai ki main jung e Siffin ke baad Muwaiyah Radi allahu anhu ke saath wapas ja raha tha aur main Amr bin Aas Radi Allahu anhu aur Muwaiyah Radi allahu anhu ke beech mein sawar tha , Abdullah bin amr bin aas radi allahu anhu ne kaha ki tumhe malum nahi ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Ammar radi allahu anhu se kya farmaya tha , Ammar , Oh sumayyia ke bete tumhe ek baagi jamat qatl karegi. ye sun kar Amr bin Aas radi allahu anhu ne Muwawiyah Radi allahu anhu se kaha ki tumne suna usne kya kaha ? Muwaiyah Radi allahu anhu ne farmaya tum iska ilzam hum par laga rahe ho jabki jo log usko (Ammar ko) yaha laya tha wo uske zimmedar hai.

Musnad Ahmed, 6499 -Sahih

Note: Jung e Siffin Hazrat Ali radi allahu anhu aur hazrat Muwaiyah Radi Allahu anhu ke beech huyee thi aur Hazrat Ammar radi Allahu anhu Hazrat Ali ki fauj mein they

Answer AC
-------------------------
The Prophet (ﷺ) passed by `Ammar and removed the dust off his head and said, "May Allah be merciful to `Ammar. He will be killed by a rebellious aggressive group. `Ammar will invite them to (obey) Allah and they will invite him to the (Hell) fire."
Sahih Bukhari,Book 52, Hadith 67

Abdullah bin Harth as saying: I was with Mu‘awiyah (ibn Abi Sufyan) when he was returning from (the Battle of) Siffin and I was riding between him and ‘Amr bin ‘As, when ‘Abdullah the son of ‘Amr bin ‘As said: Don't you remember the Messenger of Allah had told ‘Ammar Rejoince O son of Sumayyah! You will be killed by a group of transgressors". Amr bin ‘As turned to Mu‘awiyah and said: Did you not hear what he says? Mu‘awiyah replied:You find fault with us! Did we kill him? Those who brought him here are responsible for his death!1
Musnad Ahmed, 6499 -Sahih

Note: The battle of siffin was fought between Hazrat Ali Radi allahu anhu and Muwaiyah Radi Allahu Anhu.

and the Ammar Radi Allahu anhu was in the army of Ali Radi allahu anhu


1 comment:

  1. Zannati bhi raziallaah,, dozakhi bhi raziAllah,
    Jise rasul Allah saw dozakhi aor bagi kah de usse mohbbat karna kufr nahi hai??
    Mehshar me rasul Allah saw ko kya jawab doge mufti sahab???

    ReplyDelete