Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, May 2, 2018

❗Only-Quran-Hadith Quiz 428❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 428❗

❗Dono sawalo ke jawab is tarah dijiye AB / CD

Sawal 1 : Rasoool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam par jab sabse pahle wahi ka nuzul hua to ye baat aapne sabse pahle kisko batayee ?

A. Abu bakr radi allahu anhu

B. Aisha radi allahu anha

C. Ali Radi allahu anhu

D. Warqa bin naufal

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : US Waqt Surah Alaq ki kitni aaytein nazil huyee thi ?

A. 1

B. 3

C. 5

D. 7

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

----------------------------

❗Kindly reply both question like this CD / EA


Quiz 1: First of all to Whom Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam told about the first revelation ?



A. Abu bakr radi allahu anhu

B. Aisha radi allahu anha

C. Ali Radi allahu anhu

D. Warqa bin naufal

E. None of the above

F. I want to know


Quiz 2 : How many verses was revealed first time ?


A. 1

B. 3

C. 10

D. 7

E. None of the above

F. I want to know


Sahi jawab EB
--------
Hazrat Jibril Alaihi salam Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ke pass aaye aur farmaya Eh Muhammed Sal-Allahu alaihi wasallam IQRA (padhiye) ,Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki maine kaha main padh nahi sakta, Aap Sal-Allahu alaihi wasallam farmate hain ki farishte ne mujhe pakad kar itni zor se bheencha (dabaya) ki meri taqat jawab de gayee phir mujhe chorh kar kaha ki IQRA (padhiye) maine phir wahi kaha ki main padhna nahi skata , uske baad phir se (dusri baar) farishte ne mujhe nihayat hi zor se bheencha (dabaya) ki mujhko sakht taklif mehsus huyee phir se usne kaha ki IQRA (padhiye) maine kaha ki main padhna nahi janta, farishte ne teesri baar phir se mujhe pakad kar bheencha (zor se pakda) aur kaha ki
اقْرَأْ بِاسْمِ رَبِّكَ الَّذِي خَلَقَ
خَلَقَ الْإِنسَانَ مِنْ عَلَقٍ
اقْرَأْ وَرَبُّكَ الْأَكْرَمُ
Padhiye apne Rabb ke naam se jisne paida kiya aur insan ko khoon ki phutki se banaya , padhiye aur aapka RABB bahut hi meharban hai, (Al Quran 96.1, 96.2, 96.3)
Phir ye aayatein Aap Sal-Allahu alaihi wasallam Jibril Alaihi salam se sunkar is haal mein gaar e hira se wapas huye ki Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ka dil kaanp raha tha , Phir Aap Sal-Allahu alaihi wasallam Khadija Radi Allahu anha ke pass tashrif laye aur farmaya ki mujhe kambal oda do, mujhe kambal oda do, Jab Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ka darr khatam hua to Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne apni jawja (biwi) Khadija radi Allahu Anha ko sara waqya tafseel se sunaya
Sahih Al-Bukhari, Jild 1, 3
--------------------------
Answer EB
----------
while he was in the cave of Hira. The angel came to him and asked him to read. The Prophet (ﷺ) replied, "I do not know how to read." The Prophet (ﷺ) added, "The angel caught me (forcefully) and pressed me so hard that I could not bear it any more. He then released me and again asked me to read and I replied, 'I do not know how to read.' Thereupon he caught me again and pressed me a second time till I could not bear it any more. He then released me and again asked me to read but again I replied, 'I do not know how to read (or what shall I read)?'
Thereupon he caught me for the third time and pressed me, and then released me and said,
اقْرَأْ بِاسْمِ رَبِّكَ الَّذِي خَلَقَ
خَلَقَ الْإِنسَانَ مِنْ عَلَقٍ
اقْرَأْ وَرَبُّكَ الْأَكْرَمُ
'Read in the name of your Lord,
who has created (all that exists), created man from a clot. Read! And your Lord is the Most Generous." (96.1, 96.2, 96.3)
Then Allah's Messenger (ﷺ) returned with the Inspiration and with his heart beating severely. Then he went to Khadija bint Khuwailid and said, "Cover me!
Cover me!" They covered him till his fear was over and after that he told her everything that had happened and said
Sahih Al-Bukhari,Book 1, 3

No comments:

Post a Comment