Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, May 2, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 445 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 445 ❗

Ek se zyada Jawab hain

Inmein se wo kaun kaun se log hain jinke liye Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki unke liye Duguna sawab hai ?


A. Gulam jo apne Aaqa aur Allah ka haq ada kre 

B. Jo Quran padhe aur us par amal bhi kare

C. Ameer jo apne logon ko achchayi ka hukm kre aur Burayi se roke

D. Biwi jo Alah ka aur uske shohar ka haq ada kre

E. Ahl e kitab jo Apne Nabi par or RasoolAllah Sal-Allahu alaihi wasallam par bhi imaan laaye

F. Jo shaksh Gulam aurat ki achchi talim o tarbiyat kr k usko azaad kr ke us se nikah kar le

G. Sahi jawab ka intezar hai
----------------------------------------------

❗ Answers are more than one

For whom there is double reward among below ?

A. A Slave who discharges his duties to Allah and his master

B. The one who learn Quran and implemente his order in his life

C. The leader who command to the people for good and forbid from evil

D. The Wife who fulfill the duties of Allah and his husband

E. The people of the scriptures who believed in his prophet (Jesus or Moses) and then believed in the Prophet Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam

F. A master of a woman-slave who teaches her good manners and educates her in the best possible way (the religion) and manumits her and then marries her

G. I want to know

❗Sahi jawab AEF❗
---------------
Abu Burda Radi Allahu Anhu ke walid se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya teen shakhs hain jin ke liye duguna ajar hai.

1. Ek woh jo Ahal e kitaab se ho aur apne nabi par aur Mohammad al-Allahu alaihi wasallam par imaan laaye aur

2. Wo gulam jo apne aaqa aur Allah ( dono ) ka haq ada kare

3. Wo aadmi jis ke paas koi gulam aurat ho, jis se shab bashi karta hai aur uski achchi tarbiyat kare aur achchi taleem de phir usko aazad kar ke us se nikah kar le, to is ke liye duguna ajar hai.
Sahih Bukhari, Jild 1, 97
Note: Is hadith mein unhe duguna ajar ka matlab ye hai ki ek aam musalman jo bhi amal karega usko jitna swab milta hai uska duguna sawab in 3 tarah ke logo ko wahi amal karne par milega Allahu aalam
---------------------------
Narrated Abu Burda's father Allah's Messenger Sal-Allahu alaihi wasallam said "Three persons will have a double reward:

1. A Person from the people of the scriptures who believed in his prophet (Jesus or Moses) and then believed in the Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam Muhammad

2. A slave who discharges his duties to Allah and his master.

3. A master of a woman-slave who teaches her good manners and educates her in the best possible way (the religion) and manumits her and then marries her.
Sahih Bukhari, Vol. 1, Book 3, Hadith 97

No comments:

Post a Comment