Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, May 2, 2018

❗Only-Quran-Hadith Quiz 443❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 443❗

Dono sawalo ke jawab is tarah dijiye CD / DA

Sawal 1: Ek Gustakh ne Rasool-Allah Sa-Allaahu alaihi wasallam par sazde ki halat mein oonth ki Ojhri(intestine) daal di thi , us gustakh ko kaunse sahabi ne Qatl kiya ?


A. Hazrat Khalid Bin Waleed Radi allahu anhu

B. Hazrat Ali Radi allahu anhu

C. Hazrat Hamza Radi allahu anhu

D. Aasim bint sabit Radi allahu anhu

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2: Us gustakh ko kaunsi jung mmin Qatl kiya gaya ?


A. Ghazwa e Badr

B. Ghzwa e Uhad

C. Ghzwa e tabook

D. Ghzwa e Khandak

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
----------------------------------
Kindly reply both question like this CD / AC

Quiz 1 : There was a one peroson who threw the testines of a camel on the back of the Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam while he was in the state of prostration, Who killed that person ?


A. Hazrat Khalid Bin Waleed Radi allahu anhu

B. Hazrat Ali Radi allahu anhu

C. Hazrat Hamza Radi allahu anhu

D. Aasim bin sabit Radi allahu anhu

E. None of the above

F. I want to know


Quiz 2 : In WHich battle that peroson was killed ?


A. The Battle of Badr

B. The Battle of Uhad

C. The Battle of tabook

D. The Battle of Khandak

E. None of the above

F. I want to know


Sahi Jawab DA
-------------

✦ Abdullah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sa-Allaahu alaihi wasallam (namaz padhte huye) sazde ki halat mein they 
Quraish ke kuch log baithe huye they , itne mein Uqba bin Abi Muait oonth ki Ojhri(intestine) laya aur Rasool-Allah Sa-Allaahu alaihi wasallam ki peeth mubarak par daal diya jiski wajah se Aap Sa-Allaahu alaihi wasallam apna sir nahi utha paaye phir fatima Radi Allahu anha aayee aur usko Aapki peeth mubarak se hataya aur jisne aisa kiya tha uske liye bad-dua ki aur phir Aap Sa-Allaahu 
alaihi wasallam ne bhi unke liye bad-dua ki Eh Allah Quraish ki is jaamat ki giraft farma Eh Allah Abu Jahl bin Hisham, Utba bin 
Rabi`a, Shaiba bin Rabi`a, `Uqba bin Abi Mu'ait, Umaiya bin Khalaf (or Ubai bin Kalaf) ko barbad kar de , phir maine dekha ki ye 
sab badar ki ladayee mein Qatl kar diye gaye aur ek kuwe mein unhe daal diya gaya tha siwaye umay ya abi ke , kyunki ye shaksh 
bahut bhari bharkam they, kyunki uska har jod alag alag ho gaya tha isliye kuwe main nahi dala ja saka 
Sahi Bukhari, Jild 5, 3185 

.......

Quraish ke kuch logo ko malum hua ki Aasim bin sabit Radi allahu anhu shahed kar diye gaye hain to unke pas unhone apne aadmi 
bheje taaki unke jism ka koi aisa hissa laye jis se unki pahchan ho jaye kyunki unhone ne bhi (Badr ki jung mein) unke ek sardar 
(Uqba bin mueet) ko qatl kiya tha lekin Allah subhanahu ne unki (Aasim bin sabit Radi allahu anhu ki) laash par badal ki tarah 
bhedo ki ek fauj bhej di aur inhone Aapki laash ko kuffar e Quresh ke un aadmiyo se bacha liya aur unke jism ka koi hissa nahi kaat 
sake 
Sahi Bukhari, Jild 5, 3989 
-------------

Correct Answer DA 
--------------- 
Narrated Abdullah radi allahu anhu While the Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam was in the state of prostration, surrounded by a group of people from Quraish pagans. `Uqba bin Abi Mu'ait came and brought the intestines of a camel and threw them on the back of the Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam . The Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam did not raise his head from prostration till Fatima (i.e. his daughter) came and removed those intestines from his back, and invoked evil on whoever had done (the evil deed). The Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam said, "O Allah! Destroy the chiefs of Quraish, O Allah! Destroy Abu Jahl bin Hisham, `Utba bin Rabi`a, Shaiba bin Rabi`a, `Uqba bin Abi Mu'ait, Umaiya bin Khalaf (or Ubai bin Kalaf)." Later on I saw all of them killed during the battle of Badr and their bodies were thrown into a well except the body of Umaiya or Ubai, because he was a fat person, and when he was pulled, the parts of his body got separated before he was thrown into the well. 
Sahih Bukhari, Book 53, Hadith 409 

Some Quraish people, being informed of `Asim bin Thabit's radi allahu anhu death, sent some messengers to bring a part of his body so that his death might be known for certain, for he had previously killed one of their leaders (Uqba bin mueet in the battle of Badr). But Allah sent a swarm of wasps to protect the dead body of `Asim, and they shielded him from the messengers who could not cut anything from his body. 

Sahih Bukhari, Book 59, Hadith 325

No comments:

Post a Comment