Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, May 2, 2018

❗Only Quran Hadith Quiz 447❗


❗Only Quran Hadith Quiz 447❗

Jawab ek se ziyada hain

Sawal : Inmein se kiske liye Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jo kuch bhi tum usmein se padoge to tumhe diya jayega ?

A. Aayat Al kursi

B. Surah BAqarah ki aakhrin aayatein

C. Surah Kahaf ki shur ki 10 aayate

D. Surah Fatiha

E. Surah Falaq aur Surah Naas

F. Sahi jawab ka intezar hai
-------------------------
Answers are more than one

Quiz : What is that for which the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said that whatever you will recite from them you will be given ?


A. Aayat Al kursi

B. The last verses of Surah Baqarah

C. The first 10 verses of Surah Kahaf

D. Surah Fatiha

E. Surah Al-Falaq And Surah An-Naas

F. I want to know


Sahi Jawab BD
-----------
✦ Abdullah bin Abbas Radi allahu anhu ne kaha ki ek din jibril alaihi salam Nabi Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke paas baithe huye they ki ek bade zor ki aawaz darwaza khulne ki suni aur apna sir uthaya , to jibril alaihi salam ne kaha ki ye ek darwaza hai aasman ka jo aaj khula hai aur us se pahle kabhi nahi khula phir us se ek farishta utra jibril alaihi salam ne kaha ki ye farishta jo zameen par utra hai wo aaj se pahle kabhi nahi utra aur phir usne kaha ki khushkhabri ho aapko do nooro ki jo aapko inayat huye hain aur ye aapki siwa kisi aur nabi ko nahi mile ek surah fatiha hai aur dusri surah baqara ki aakhri aayatein , aur jo bhi haraf tum usmein se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi
Sahih Muslim, Jild 2, 1877
---------------
Note : is hadith ka mafhum ye hai ki surah fatiha mein jo dua hai aur surah baqara ki aakhri aayaton mein jo dua hai usko padhne se wo qubul hogi

Answer BD
--------------
✦ Ibn Abbas Radi allahu anhu reported that while Gabriel was sitting with the Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam he heard a creaking sound above him. He lifted his head and said: This As a gate opened in heaven today which had never been opened before. Then when an angel descended through it, he said: This is an angel who came down to the earth who had-never come down before. He greeted and said: Rejoice in two lights given to you which have not been given to any prophet before you: Fatihat al-Kitab (Surah fatiha) and the concluding verses of Suarah al-Baqara. You will never recite a letter from them for which you will not be given .( it means whatever you will recite from them you will be given )
Sahih Muslim, Book 4, Hadith 1760

No comments:

Post a Comment