Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, May 27, 2018

Mafhum-e-Hadith : Jaanwaro ki zakat na dene walo par azab





Bismillahirrahmanirrahim

✦ *Mafhum-e-Hadith : Jaanwaro ki zakat na dene walo par azab*
--------------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Oonth Qayamat ke din Apne un Malikon ke paas ussay zyada motte taze ho ker aaenge (Jaise duniya mein they) jinhone unka Haq adaa nahi Kiya(yani zakat nahi di) aur Inhein Apne khuro se rondenge, bakriyah bhi Apne Malikoh ke paas jinhone unka Haq nahi diya tha pehle se zyada moti tazi ho Kar aayengee aur unhein Apne khuro se rondengi aur apne seengoh se maarengi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke uska haq ye bhi hain Ke ussay Pani hi par (Yani jaha wo charagah Mai char rahi ho) doha Jaye 

✦ Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya koi shaks Qayamat ke din iss tarah na aaye ke wo apni gardan par ek aisee bakri uthaye huye ho Jo Chilla rahi ho aur wo Shaks mujhse kahe Eh Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Mujhe azab se bacha lijiye  main ussay Jawab dunga ke tere liye mein Kuch Nahi Kar Sakta Mera kaam pahuchana tha toh meine paucha diya iss tarha koi Shaks apni gardan par Oonth liye huyee Qaymat ke din na aayee ke Oonth Chilla raha ho aur wo khud mujhse faryad Karen Eh Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Mujhe bacha lijiye aur mein Jawab dunga ke tere liye Mai kuch Nahi Kar Sakta maine tujhe Jo Allah Subhanahu Ka hukum e Zakat tha paucha diya tha
Sahih Bukhari Jild 2, 1402
--------------
 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ اونٹ  ( قیامت کے دن )  اپنے مالکوں کے پاس جنہوں نے ان کا حق  ( زکوٰۃ )  نہ ادا کیا کہ اس سے زیادہ موٹے تازے ہو کر آئیں گے  ( جیسے دنیا میں تھے )  اور انہیں اپنے کھروں سے روندیں گے۔ بکریاں بھی اپنے ان مالکوں کے پاس جنہوں نے ان کے حق نہیں دئیے تھے پہلے سے زیادہ موٹی تازی ہو کر آئیں گی اور انہیں اپنے کھروں سے روندیں گی اور اپنے سینگوں سے ماریں گی۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ اس کا حق یہ بھی ہے کہ اسے پانی ہی پر  ( یعنی جہاں وہ چراگاہ میں چر رہی ہوں )  دوہا جائے۔ 

آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ کوئی شخص قیامت کے دن اس طرح نہ آئے کہ وہ اپنی گردن پر ایک ایسی بکری اٹھائے ہوئے ہو جو چلا رہی ہو اور وہ  ( شخص )  مجھ سے کہے کہ اے محمد  (  صلی اللہ علیہ وسلم  ) ! مجھے عذاب سے بچائیے میں اسے یہ جواب دوں گا کہ تیرے لیے میں کچھ نہیں کر سکتا  ( میرا کام پہنچانا تھا )  سو میں نے پہنچا دیا۔ اسی طرح کوئی شخص اپنی گردن پر اونٹ لیے ہوئے *قیامت کے دن نہ آئے کہ اونٹ چلا رہا ہو اور وہ خود مجھ سے فریاد کرے ‘ اے محمد  (  صلی اللہ علیہ وسلم  ) ! مجھے بچائیے اور میں یہ جواب دے دوں کہ تیرے لیے میں کچھ نہیں کر سکتا۔ میں نے تجھ کو  ( اللہ کا حکم زکوٰۃ )  پہنچا دیا تھا* 
صحیح بخاری جلد ٢ حدیث  ١٤٠٢ 
---------------
✦ रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया ऊँट क़यामत के दिन अपने उन मालिकों के पास उससे ज़्यादा मोटे ताज़े हो कर आएँगे (जैसे दुनिया में थे) जिन्होने उनका हक़ अदा नही किया(यानी ज़कात नही दी) और इन्हें अपने खुरों से रोंदेंगे , बकरिया भी अपने मालिको के पास जिन्होने उनका हक़ नही दिया था पहले से ज़्यादा मोती ताज़ी हो कर आएँगी और उन्हें अपने खुरो से रोंदेंगी और अपने सींगो से मारेंगी रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया के उसका हक़ ये भी हैं के उससे पानी ही पर (यानी जहा वो चरागाह में चर रही हो) दोहा जाए 

✦ आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया कोई शख्स क़यामत के दिन इस तरह ना आए के वो अपनी गर्दन पर एक ऐसी बकरी उठाए हुए हो जो चिल्ला रही हो और वो शख्स मुझसे कहे एह मुहम्मद सललाल्लाहू अलैही वसल्लम मुझे अज़ाब से बचा लीजिए  मैं उससे जवाब दूँगा के तेरे लिए में कुछ नही कर सकता मेरा काम पंहुचाना था तो मेने पहुंचा  दिया था , इस तरह कोई शख्स अपनी गर्दन पर ऊँट लिए हुए आये  क़यामत के दिन ना आई के ऊँट चिल्ला रहा हो और वो खुद मुझसे फरयाद करें एह मुहम्मद सलअल्लाहू अलैही वसल्लम मुझे बचा लीजिए और मैं जवाब दूँगा के तेरे लिए मैं कुछ नही कर सकता मैंने तुझे जो अल्लाह सुबहानहु का हुकुम ए ज़कात था पंहुचा दिया था 
सही बुखारी जिल्द 2, 1402
---------------
✦ *Punishment for thos who dont pay charity of cattles*
-----------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu The Prophet (ﷺ) said, "(On the Day of Resurrection) camels will come to their owner in the best state of health they have ever had (in the world), and if he had not paid their Zakat (in the world) then they would tread him with their feet; and similarly, sheep will come to their owner in the best state of health they have ever had in the world, and if he had not paid their Zakat, then they would tread him with their hooves and would butt him with their horns." The Prophet (ﷺ) added, "One of their rights is that they should be milked while water is kept in front of them." The Prophet (ﷺ) added, "I do not want anyone of you to come to me on the Day of Resurrection, carrying over his neck a sheep that will be bleating. Such a person will (then) say, 'O Muhammad! (please intercede for me,) I will say to him. 'I can't help you, for I conveyed Allah's Message to you.' Similarly, I do not want anyone of you to come to me carrying over his neck a camel that will be grunting. Such a person (then) will say "O Muhammad! (please intercede for me)." I will say to him, "I can't help you for I conveyed Allah's message to you."
Sahih Bukhari,Book 24, Hadith 485

Wednesday, May 23, 2018

Mafhum-e-Hadith : Sari raat Namaz padhne ka sawab







Bismillahirrahmanirrahim


✦ Mafhum-e-Hadith : Sari raat Namaz padhne ka sawab
-------
✦ Abu Dhar Radi Allahu Anhu se riwayat hain Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam ne farmaya Jisne (Ramzan mein) Imam ke sath Qayam shuru Kiya aur Qayam khatam hone tak uske saath namaz padhta raha to uske liye sari raat ke Qayam ka sawab likha jaega
Jamia Tirmizi, Jild 1, 784-Sahih

✦ Notes : Ulmao ka kahna hai ki jo log masjid mein (Taraweeh ya Qayam Al Lail ki) Jamat khadi ho jane ke baad aate hain ya phir kuch rakaat padh kar bhag jate hain wo sari raat ke qayam ke is sawab se mehrum rah jate hain
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جس نے  (رمضان میں ) امام کے ساتھ قیام شروع کیا  اور اس کے ختم ہونے  تک اس کے ساتھ نماز پڑھتا رہا  تو اس کے لیے  ساری رات کے  قیام کا ثواب لکھا جائے گا، 
جامہ ترمیزی جلد ١ حدیث ٧٨٤-صحیح 
--------
✦ रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया जिसने (रमज़ान में) इमाम के साथ क़याम शुरू किया और क़याम  ख़तम होने तक उसके साथ नमाज़ पढ़ता रहा तो उसके लिए सारी रात के क़याम का सवाब लिखा जाएगा
जामिया तिरमिज़ी जिल्द 1, 784-सही

✦ नोट : उलमाओं  का कहना है की जो लोग मस्जिद में (तरावीह या कायम अल लैल की) जमात खड़ी हो जाने के बाद आते हैं या फिर कुछ रकात पढ़ कर भाग जाते हैं वो सारी रात के क़याम के इस सवाब से महरूम रह जाते हैं
-------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said (In Ramadan) Indeed, whoever stands (praying) with the Imam until he finished , then it is recorded for him that he prayed the whole night.
Jamia Tirmizi, Book 3, 806-Sahih
--------
✦ Note : According scholars the people who come in the masjid after imam has already started night prayer ( Qayam Al lail) they can not get this rewards, And also the one who run away after few rakah prayers , they also can not get this rewards  of whole night praying.
https://t.me/OnlyQuranHadithGroup

Tuesday, May 22, 2018

100 baar SubhanAllaah Kehne ki Fazeelat







Bismillahirrahmanirrahim

✦ 100 baar SubhanAllaah Kehne ki Fazeelat
------------------
✦ Rasool-Allah Sall-Alahu Alaihe wasallam ne farmaya jo shakhsh 100 baar SubhanAllah kahey to uske liye 1000 nekiyan likhi jayegi aur 1000 gunah mita diye jayange 
Sahih Muslim , Jild 6, 6852 
---------
✦ Request: Jo bhi ye Hadith padhe wo abhi 100 baar subhanAllah jarur parh le, in ShaAllah Qayamat ke din ye sawab bahut kaam aayega, Shaitan aapko rokne ki koshish karega lekin aap abhi hi padh lijiyega 
Jazakallahu Khair
---------
رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جو شخص سُبْحَانَ اللَّه سو مرتبہ پڑھتا ہے اس کے لئے ہزار نیکیاں لکھی جاتی ہیں اور اس کے ہزار گناہ مٹا دیئے جاینگے 
صحیح مسلم جلد ٦، ٦٨٥٢ 
---------
✦ रसूल अल्लाह सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया जो शख्स 100 बार सुबहानअल्लाह कहे तो उसके लिए 1000 नेकियाँ लिखी जाएगी और 1000 गुनाह मिटा दिए जायेंगे 
सही मुस्लिम , जिल्द 6, 6852 
---------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam said If anybody recite Subhanallah 100 times , then 1000 good deeds will be recorded for him and 1000 sins will be removed for him. 
Sahih Muslim Book 35, 6517

Hadith: Jisne dikhlawe ke liye Roza rakha ya namaz padhi ya sadqa diya to usne shirk kiya






Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jisne dikhlawe ke liye Roza rakha ya namaz padhi ya sadqa diya to usne shirk kiya
--------
✦ Shaddad bin aws Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye Jo Shaks dikhlawe ki khatir Namaz padhta hai to usne Shirk kiya, Jo Shaks dikhlawe ki khatir Roza rakhta hai to usne Shirk Kiya aur Jo Shaks dikhlawe ke liye Sadqa karta hai to usne Shirk Kiya 
Mishkat , Jild 4, 1260-Hasan
Baihiqi,  Shuab Al Imaan 6340-Hasan
--------
رسول اللہ ﷺ نے فرمایا جو شخص دکھلاوے کی خاطر نماز پڑھتا ہے تو اس نے شرک کیا ، جو شخص دکھلاوے کی خاطر روزہ رکھتا ہے تو اس نے شرک کیا ، اور جو شخص دکھلاوے کی خاطر صدقہ کرتا ہے تو اس نے شرک کیا
مشکات  جلد ٤ حدیث ١٢٦٠-حسن
شعب الإيمان للبيهقي  ٦٣٤٠ حسن 
--------
✦ रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलहै वसल्लम ने फ़रमाया जो शख्स दिखलावे की खातिर नमाज़ पड़ता हैं तो उसने शिर्क किया , जो शख्स दिखलावे की खातिर रोज़ा रखता हैं तो उसने शिर्क किया और जो शख्स दिखलावे के लिए सदक़ा करता हैं  तो उसने शिर्क किया
मिश्कात जिल्द 4 , हदीस 1260 - हसन 
बैहिकी, शुअब अल ईमान , 6340 हसन 
--------
✦ Narrated by Shaddad Bin Aws Radi Allahu Anhu that Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam said, The one who prays and wants people to see them has committed shirk. The one who fasted and they want the people to know about their fasting has committed shirk. The one who gave sadaqah (charity) and wants people to know about their charity has committed shirk.
Mishkat , Jild 4, 1260-Hasan
Baihiqi,  Shuab Al Imaan 6340-Hasan

Thursday, May 17, 2018

Ramazan Mubarak






         Ramazan Mubarak 
´¨`•.¸¸.•´¨`•.¸¸.•´¨`•.¸¸.•*
                  🌹مبارك عليكم الشهر🌹       
                          ´¨`•.¸¸.•´¨`•.¸¸.•´¨`•.¸¸.•*

💐 Aap sabko aur aapki family ko Ramazan Mubarak ho

💐 Allah subhanahu hum sabko is Ramazan mein Parhezgar bana de aur humko Roze Namaz Qayam aur dusri sari ibadato ko achchi tarah karne ki taufiq ata famaye

✦ Dua: Naye chand ko dekhkar padhne Ki dua
---------------

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
Allahumma ahillahu alaina bil-amni wal-iman, was-salamati wal-Islam, Rabbi wa Rabbuk-Allah, Hilalu rushdin wa khair
----
Tarjuma: Eh Allah hum par is chand ko khair , imaan , salamati aur islam ke saath tulu farma (Eh chand) mera aur tera RAB Allah hi hai, ye chand hidayat aur khair wala ho
Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1376-Hasan
--

اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ ‏‏

Allahumma Aainni Ala Zikrika Wa Shukrika Wa Husni ibadatika 

(Tarjumah : Ya Allah , meri madad kar tera zikr karne mein , aur tera shukar ada karne mein aur teri achchi ibadat karne mein) 
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1509-Sahih

Dua: Naye chand ko dekhkar padhne Ki dua












Bismillahirrahmanirrahim


✦Dua: Naye chand ko dekhkar padhne Ki dua
--------------
Talha bin Ubaidullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab chand dekhte to ye dua padhte

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
Allahumma ahillahu alaina bil-amni wal-iman, was-salamati wal-Islam, Rabbi wa Rabbuk-Allah, Hilalu rushdin wa khair

Tarjuma: Eh Allah hum par is chand ko khair , imaan , salamati aur islam ke saath tulu farma (Eh chand) mera aur tera RAB Allah hi hai, ye chand hidayat aur khair wala ho
Jamia Tirmidhi 1228-Hasan
--------------
طلحہ بن عبد اللہ رضی الله انہو سے روایت ہے کی رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم جب چاند دیکھتے تو یہ دعا پڑھتے 

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
اے اللہ ہم پر اِس چاند کو خیر ، ایمان ، سلامتی اور اسلام كے ساتھ طلوع فرما ( اے چاند) میرا اور تیرا رب اللہ ہی ہے ، یہ چاند ہدایت اور خیر والا ہو 
جامع ترمزی - ١٢٢٨ -   حسن 
--------------
तल्हा बिन अब्दुल्लाह रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम जब चाँद देखते तो ये दुआ पढ़ते 

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
अल्लहुम्मा अहिल्लाहू अलैना बिल-अमनि वल-ईमान, वस-सलामती 
वल-इस्लाम, रब्बी वा रब्बुक-अल्लाह, हिलालू रुश्दिन व ख़ैर

तर्जुमा : एह अल्लाह हम पर इस चाँद को खैर , ईमान , सलामती और इस्लाम के साथ तुलु फरमा, (एह चाँद) मेरा और तेरा रब अल्लाह ही है, ये चाँद हिदायत और खैर वाला हो
जामी तिरमिज़ी 1228 -हसन
--------------
Narrated Talhah bin Ubaidullah Radi Allahu Anhu At the sight of the new moon, the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam used to supplicate:

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
Allahumma ahillahu alaina bil-amni wal-iman, was-salamati wal-Islam, Rabbi wa Rabbuk-Allah, Hilalu rushdin wa khair

O Allah, let this moon appear on us with security and Iman; with safety and Islam. (O moon!) Your RAB and mine is Allah, May this moon be bringing guidance and good
Jamin Tirmidhi 1228 -Hasan

Maa Baap ki Maghfirat ke liye Quranic Dua





















 
      
    


















Bismillahirrahmanirrahim

Maa Baap ki Maghfirat ke liye Quranic Dua
-----------------------
رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا
Eh Mere RABB jaise unhone ( mere maan baap ne) mujhe bachpan se paala hai isi tarah tu bhi un par raham farma 
Surah Al-Isra (17), Verse 23-24 
----------
رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا
اے میرے رب جس طرح انہوں نے مجھے بچپن سےپالا ہے اسی طرح تو بھی ان پر رحم فرما
القرآن ، سورۃ بنی اسرائیل (۱۷) آیت ٢٣-٢٤ 
----------
رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا
 एह मेरे रब जैसे उन्होंने मुझे बचपन से पाला है इसी तरह तू भी उन पर रहम फरमा  
अल कुरान, सुरह अल-ईसरा , आयत 23-24
----------
رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا
"My Lord! Bestow on them ( parents) Your Mercy as they did bring me up when I was young." 
Surah Al-Isra (17), Verse 23-24
https://www.instagram.com/IslamicAzkars

Tuesday, May 15, 2018

Hadith: Momeen Ki Behtareen Sehri Khajoor hain





Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: Momeen Ki Behtareen Sehri Khajoor hain
---------------------
✦Abu Huraira Radi Allahu Anhu se riwayat hain Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam ne farmaya Momeen ki Behtareen Sehri Khajoor hain
Sunan Abi Dawud, 2345-Sahih
----------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا مومن کی بہترین سحری کھجور ہیں
سنن ابی داؤد  2345- صحیح 
----------
✦रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलहै वसल्लम ने फ़रमाया मोमीन की बेहतरीन सेहरी खजूर हैं
सुनन अबू दाऊद, 2345-सही 
-------
✦It Was Narrated  from Abu Hurairah Radi Allahu Anhu that Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam Said Date is very good suhur (short meal before dawn) to eat for believers.
Sunan Abu Dawud,Book 13, 2338-Sahih

https://www.facebook.com/OnlyQuranHadith


Wednesday, May 9, 2018

Shaitan wo darwaza Nahi kholta jisko Bismillah padh Kar band Kiya Gaya ho





Bismillahirrahmanirrahim

✦ Shaitan wo darwaza Nahi kholta jisko Bismillah padh Kar band Kiya Gaya ho
-----------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam ne farmaye jab tum Raat ke Waqt kutte bhokne ya Gadhay ki awaz suno toh Allah Subhanahu ki panah mango kyu ke wo aise makhluq dekhte hain Jo tum Nahi Dekhte aur Bismillah padh Kar Darwaza band kar do kyu ke Shaitan wo darwaza Nahi kholta Jisay Bismillah padh Kar band Kiya Gaya ho  aur matke aur bartan dhanp Diya Karo aur aur mashkizo (water skin) ka muh band Kar Diya Karo
Al-Silsila-As-Sahiha #237
-----------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جب تم رات کے وقت کتے بھونکنے یا گدھے کے ہنہنانے کی آواز سنو تو اللہ کی پناہ مانگو کیونکہ وہ ایسی مخلوق دیکھتے ہیں جو تم نہیں دیکھتے اور بسم اللہ پڑھ کر دروازے بند کر دو، کیونکہ شیطان وہ دروازہ نہیں کھولتا جسے بسم اللہ پڑھ کر بند کیاگیا ہو، مٹکے اور برتن ڈھانپ دیا کرو اور مشکیزوں کے منہ بند کردیا کرو
السلسلہ صحیحہ ۲۳۷
-----------
✦ रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया  जब तुम रात के वक़्त कुत्ते भोंकने या गधे की आवाज़ सुनो तो अल्लाह की पनाह मांगो क्यों के वो ऐसी मख्लूक़ देखते हैं जो तुम नहीं देखते और बिस्मिल्लाह पढ़ कर दरवाज़ा बंद कर दो क्यों के शैतान  वो दरवाज़ा नहीं खोलता जिसे बिस्मिल्लाह पढ़ कर बंद किया गया हो मटके और बर्तन ढांप दिया करो और मश्किजो (water skin) के मुँह बंद कर दिया करो
सिलसिला सहीहा , हदीस 273
---------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said When you hear a dog barking or a donkey braying in the night, seek refuge with Allah. They see what you do not see. Shut the doors and mention the Name of Allah over them. Shaytan will not open a door which has been shut and had the name of Allah mentioned over it. Then cover the pots, tie the water-skins and cover the vessels."
Al-Silsila-tus-Sahiha, #237

Sunday, May 6, 2018

Hadith: Namaz ki pabandi nahi karne wala Qayamat ke din firaun aur qarun ke saath hoga








Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: Namaz ki pabandi nahi karne wala Qayamat ke din firaun aur qarun ke saath hoga
-----
✦ Abdullah ibn Umar Radi Allahu Anhu se riwayat Hain Ek din Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam ne Namaz Ka Zikr Karte huye farmaya Jo Shaks iss ki pabandi karega to ye (Namaz) Uske liye Qayamat ke din roshni ,dalil aur Nijat Ka sabab ban jaegi aur Jo Shaks Namaz ki pabandi Nahi karega to wo Uske liye roshni, dalil aur Nijat Ka sabab Nahi banegi aur wo shaksh Qayamat ke din Qarun Firaun Haman aur Ubay ibn khalaf ke sath hoga
Masnad Ahmed, Jild 3,2073-Sahih
----------
حضرت ابن عمرو رضی اللہ عنہ سے روایت  ہے کہ ایک دن  رسول الله  صلی اللہ علیہ وسلم نے نماز کا ذکر کرتے ہوئے فرمایا جو شخص اس کی پابندی کرے گا تو یہ اس کے لئے قیامت کے دن روشنی ، دلیل اور نجات کا سبب بن جائے گی اور جو شخص نماز کی پابندی نہیں کرے گا تو وہ اس کے لئے روشنی دلیل اور نجات کا سبب نہیں بنے گی اور وہ شخص قیامت کے دن قارون، فرعون، ہامان اور ابی بن خلف کے ساتھ ہو گا۔
مسند احمد جلد ٣ حدیث ٢٠٧٣  صحیح 
----------
✦ अब्दुल्लाह बिन उमर रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है एक दिन रसूल-अल्लाह  सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने नमाज़ का ज़िक्र करते हुए फरमाया जो शख्स इस की  पाबन्दी करेगा तो ये (नमाज़)उसके लिए क़यामत के दिन  रौशनी ,दलील और निजात का सबब बन जाएगी और जो शख्स नमाज़ की पाबन्दी  नहीं  करेगा तो वो उसके लिए रौशनी दलील और निजात का सबब नहीं बनेगी और वो शख्स क़यामत के दिन कारून , फिरौन, हामान और उबय इब्न खलफ के साथ होगा
मसनद अहमद , जिल्द 3, 2073 सही 
----------
✦ Abdullah ibn Umar Radi Allahu Anhu reported one day Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam mention prayer and he said, Whoever guards his prayers will have light and clarity and salvation on the Day of Resurrection. Whoever does not guard his prayers will not have light nor clarity nor salvation, and on the Day of Judgement he will be with Qarun and Pharaoh and Haman and Ubay ibn Khalaf.
Masnad Ahmed, 6398-Sahih

Thursday, May 3, 2018

❗Only Quran Hadith Quiz 459❗


❗Only Quran Hadith Quiz 459❗

❗ Jawab is tarah dijiye AD / BE

Sawal 1 : Wo Kaunse Nabee hain jinke liye Allah ne ye farmaya ki humne unko choti umar se hi hikmat ata farmayee thi aur wo parhezgar they ?


A. Ibrahim Alaihi Salam

B. Zakriya Alaihi Salam

C. Ismaeel Alaihi Salam

D. Yahya Alaihi Salam

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Wo kaunse Nabee hain jinke liye Allah subhanhu ne farmaya ki Un par salam ho jab wo paida huye aur jab unki wafat huyee aur jab wo phir se wapas zinda honge


A. Eesa Alaihi Salam

B. Yahya Alaihi Salam

C. Zakriya Alaihi Salam

D. Yaqub Alaihi Salam

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai
-------------------------

Reply like this CD / DD


Quiz 1 : For Whom Allah subhanhu said that We gave him wisdom in his childhood ?


A. Ibrahim Alaihi Salam

B. Zakriya Alaihi Salam

C. Ismaeel Alaihi Salam

D. Yahya Alaihi Salam

E. None of the above

F. I want to know


Quiz 2 : For Whom Allah subhanhu said Salam (peace) be on him the day he was born, and the day he dies and the day he will be raised up to life ?

A. Eesa Alaihi Salam

B. Yahya Alaihi Salam

C. Zakriya Alaihi Salam

D. Yaqub Alaihi Salam

E. None of the above

F. I want to know


Sahi Jawab DB 
---------------------
Al Quran : Eh Yahya (Alaihi Salam) kitab ko mazbuti se pakdo aur humne unhe bachpan hi mein hikmat ata farmayee thi Aur unhe apne paas se raham dili aur pakizgi inayat farmayee aur wo parhezgar they Aur apne maa baap ke saath neik suluq karne wale they aur sarkash aur nafarman nahi they Aur un par salam ho jis din wo paida huye aur jis din wafat huyee aur jis din wo zinda karke uthaye jayenge
Surah Maryam(19) 12-15
---------------------
(It was said to his son): "O Yahya (John)! Hold fast the Scripture [the Taurat (Torah)]." And We gave him wisdom while yet a child.And (made him) sympathetic to men as a mercy (or a grant) from Us, and pure from sins [i.e. Yahya (John)] and he was righteous, And dutiful towards his parents, and he was neither arrogant nor disobedient (to Allah or to his parents) And Salam (peace) be on him the day he was born, and the day he dies, and the day he will be raised up to life (again)!
Surah Maryam(19) 12-15

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 458 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 458 ❗


Sawal : Inmein se wo kaunse Do sahabi hain jo Rasool-Allah sallaahu alaihi wasallam ki mehfil mein baithe they aur mehfil khatam hone ke baad wo jab uth kar jaane lage to unke saath ek noor bhi jaane laga ?



A. Usaid bin Hudiar Radi Allahu Anhu

B. Umar bin khattab Radi Allahu Anhu

C. Maaz bin jabal Radi Allahu Anhu

D. Bashar bin Usaid Radi Allahu Anhu

E. Musaib Bin Umair Radi Allahu Anhu

F. Ebad bin bashar Radi Allahu Anhu

H. Abu Bakr Siddiq Radi Allahu Anhu

i. Sahi jawab ka intezar hai
-----------------------------
Quiz : There were Two Companion who were with Prophet (ﷺ) and after meeting with him, while they left in a night, A light (Noor) start moving along with them and when they separated, the light also separated along with them , Who were that two Companion (sahabi) ?

A. Usaid bin Hudiar Radi Allahu Anhu

B. Umar bin khattab Radi Allahu Anhu

C. Maaz bin jabal Radi Allahu Anhu

D. Bashar bin Usaid Radi Allahu Anhu

E. Musaib Bin Umair Radi Allahu Anhu

F. Ebad bin bashar Radi Allahu Anhu

H. Abu Bakr Siddiq Radi Allahu Anhu

i. I want to know


✦ Sahi Jawab AF
--------
عَنْ أَنَسٍ ـ رضى الله عنه ـ أَنَّ رَجُلَيْنِ، خَرَجَا مِنْ عِنْدِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فِي لَيْلَةٍ مُظْلِمَةٍ، وَإِذَا نُورٌ بَيْنَ أَيْدِيهِمَا حَتَّى تَفَرَّقَا، فَتَفَرَّقَ النُّورُ مَعَهُمَا‏.‏ قَالَ حَمَّادٌ أَخْبَرَنَا ثَابِتٌ عَنْ أَنَسٍ كَانَ أُسَيْدُ بْنُ حُضَيْرٍ وَعَبَّادُ بْنُ بِشْرٍ عِنْدَ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم‏.‏
-------------------
Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek baar do sahabi Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki majlis se(khatam hone ke baad) uthkar raat ke andhere mein (apne ghar ki taraf) jaane lage to ek gaibi noor unke aage chalne laga phir jab wo dono juda huye to wo Noor bhi un dono ke saath alag alag ho gaya.Anas radi Allahu Anhu ne bayan kiya ki wo do sahabi Usaid bin Hudiar aur Ebad bin bashar radi Allahu Anhuma they
Sahih Bukhari, 3805
---------------
Narrated Anas Radi Allahu Anhu Two Companion left the Prophet (ﷺ) (after the meeting) on a very dark night. Suddenly a light start moving along with them with them, and when they separated, the light also separated along with them. Anas radi Allahu Anhu said those two companion were Usaid bin Hudiar aur Ebad bin Bashar radi Allahu Anhuma.
Sahih Bukhari, Book 58, 149

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 457❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 457❗

❗Jawab ek se zyada hain ...

✦ Wo Bahut sare pahle wale logo mein honge (yani shuru ke daur mein islam laane wale),

✦ Aur thode se pichle (aakhir mein aane wale) logo mein honge.

✦ Sawal : Allah subhanahu ne ye nishaniya kaunse logo ki batayee hain ?


A. Sabiqoon (Aage badhne wale)

B. Ashab Al Yameen (dahini taraf wale)

C. Ashab As Shimal (bayein taraf wale)

D. Muqarraboon (Allah ke khas kareeb)

E. Shahidoon (Gawahi dene wale)

F. Sahi jawab ka intezar hai
-------------------------------------
Answers are more than one

✦ A multitude of those will be from the first generations (who embraced Islam).

✦ And a few of those will be from the later generations.

✦ Quiz : Who are those according Quran ?


A. Sabiqoon (Foremost)

B. Ashab Al Yameen (Those on the Right side)

C. Ashab As Shimal (Those on the left side)

D. Muqarraboon (Nearest to Allah)

E. Shahidoon (Those who give witness)

F. I want to know


Sahi Jawab : AD
-----------
وَالسَّابِقُونَ السَّابِقُونَ
Aur jo Sabiqoon (aage badhne wale) hain wo aage hi badhne wale hain.

أُولَـٰئِكَ الْمُقَرَّبُونَ
Wo Muqarraboon (Allah ke khas kareeb) hain

فِي جَنَّاتِ النَّعِيمِ
Naimato ki jannato mein

ثُلَّةٌ مِّنَ الْأَوَّلِينَ
Wo Bahut sare pahle wale logo mein honge (yani shuru ke daur mein islam laane wale)

وَقَلِيلٌ مِّنَ الْآخِرِينَ
Aur thode se pichle (aakhir mein aane wale) logo mein honge
Al Quran : Surah Al Waqia (96), 10-14


Answer AD
-----------
وَالسَّابِقُونَ السَّابِقُونَ
And those foremost (Sabiqoon) will be foremost (in Paradise).

أُولَـٰئِكَ الْمُقَرَّبُونَ
These will be the Muqarraboon.(nearest to Allah).

فِي جَنَّاتِ النَّعِيمِ
In the Gardens of Delight (Paradise).


ثُلَّةٌ مِّنَ الْأَوَّلِينَ
A multitude of those (foremost) will be from the first generations (who embraced Islam).

وَقَلِيلٌ مِّنَ الْآخِرِينَ
And a few of those (foremost) will be from the later generations.
Al Quran : Surah Al Waqia (96), 10-14

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 456❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 456❗


Sawal : Jo log apne gharwalo ke saath aur jo kaam unhe milta hai usmein insaf karte hain unko kya inam diya jayega ?

A. Qayamat ke din unka jism Noor se munawwar ho raha hoga

B. Unko Noor ka taaj pahnaya jayega

C. Unhe Noor ke mimbaro par bithaya jayega

D. Put sirat par unhe Noor diya jayega

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
---------------------------------
Quiz : The people who do justice in matters relating to their families and the in all that they undertake to do , Whats reward they will get on judgment day ?

A. The Noor (Light) will be shining around their body

B. They will get the crown of noor (light)

C. They will be seated on the pulpits of light

D. They will get light on the pul sirat (bridge)

E. None of the above

F. I want to know



✔ Sahi Jawab C
------------
✦ Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo log insaf karte hain wo Allah subhanhu ke yahan Rahman Azwajal ke dahini taraf noor ke mimbaro par honge aur ye wo log honge jo apne gharwalon ke saath insaf karte hain aur jo kaam unko diya jata hai usmein insaf karte hain
Sahih Muslim, Jild 6, 4721
------------
✦ It has been narrated on the authority of Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu that The Messenger of Allah (ﷺ) said: Behold! the Dispensers of justice will be seated on the pulpits of light beside God, on the right side of the Merciful, Exalted and Glorious. those who do justice in their rules, in matters relating to their families and in all that they undertake to do.
Sahih Muslim, Book 20, 4493

Wednesday, May 2, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 455 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 455 ❗


❗is Quiz mein Teen Sawal hain aur dusre sawal mein Jawab ek se zyada hain


Sawal : Wo kaunse baadshah hain jinke baadshahat ki nishani ek sanduq bana ❓


A. Talut

B. Sulaiman Alaihi Salam

C. jalut

D. Musa Alaihi Salam


Sawal : Us sanduq mein kya kya tha ❓

E. Allah ki taraf se sakeena (tasalli)

F. Musa Alaihi Salam ki cheezein

G. Harun Alaihi Salam ki cheezein

H. Firuan ki laash

Sawal : Wo sanduq kaun laya tha ❓

I. Haikal Jinn

J. Jinno ki ek fauj

K. Shaitan

L. farishte

M. Inmein se koi nahi

N. Sahi jawab ka intezar hai
---------------------------------
There are three Quiz and answers are more than one in second quiz

Quiz : Who was that king , the sign of His kingdom was A Taboot (wooden box) ?

A. Talut

B. Sulaiman Alaihi Salam

C. jalut

D. Musa Alaihi Salam

Quiz : What things were inside that box ?

E. Sakinah (peace and reassurance) from your Lord

F. A remnant of Musa Alaihi Salam left behind

G. A remnant of Harun Alaihi Salam left behind

H. The Dead body of Firuan

Quiz : Who brought that box ?

I. Haikal Jinn

J. The troop of Jinn

K. Devils

L. Angels

M. None of the above

N. I want to know


Sahi Jawab A EFG L
----------------
Aur Nabee (Alaihi Salam) ne unse kaha ki Allah ne tum par talut ko baadshah muqarrar farmaya hai wo bole ki usko hum par baadshahi ka haq kaise ho sakta hai, baadshahi ke mustahiq to hum hain, aur uske paas to bahut sari daulat bhi nahi,Nabi (Alaihi Salam) ne kaha ki Allah subhanahu ne unko tum par fazilat di hai aur unko (baadshahi ke liye) chun liya hai, Aur usne usko bahut sara ilm bhi ata farmaya hai aur jism bhi (bada ata kiya hai) Aur Nabi (Alaihi Salam) ne unse kaha ki unki baadhshai ki nishani ye hai ki tumhare paas ek sanduq (tabut) aayega jisko farishte uthaye huye honge usmein tumhare RABB ki taraf se tasalli (Sakeena) hoga aur Musa aur Harun Alaihi salam jo chezein chorh kar gaye wo bhi hogi agar tum imaan rakhte ho to tumhare liye ye ek badi nishani hai
Al Quran , Surah Al Baqara-247-248

Answer; A EFG L
------------
And their Prophet said to them, "Indeed Allah has appointed Talut (Saul) as a king over you." They said, "How can he be a king over us when we are fitter than him for the kingdom, and he has not been given enough wealth." He said: "Verily, Allah has chosen him above you and has increased him abundantly in knowledge and stature. And Allah grants His kingdom to whom He wills. And Allah is All-Sufficient for His creatures' needs, All-Knower."And their Prophet said to them: Verily! The sign of His kingdom is that there shall come to you At-Tabut (a wooden box), wherein is Sakinah (peace and reassurance) from your Lord and a remnant of that which Musa (Moses) and Harun (Aaron) left behind, carried by the angels. Verily, in this is a sign for you if you are indeed believers.
Surah Al Baqara-247-248

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 454❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 454❗ 


Sawal : Wo kaunse Sahabi hain jinko Rasool-Allah Sal-Alahu alaihi wasallam ne farmaya ki Farishte tumhari tilwat sunne ke liye aaye they aur agar tum padhte rahte to 

log un farishto ko dekh lete ? 

A. Ubai bin Kaab Radi Allahu Anhu 

B. Usaid Ibn Hudair Radi Allahu Anhu 

C. Abdulah bin Masood Radi Allahu Anhu 

D. Musaib bin umair Radi Allahu Anhu 

E. inmein se koi nahi 

F. Sahi jawab ka intezar 
--------------------- 
Quiz : who is that Sahabi (campanion) to whom Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasllam said that Angel came down to listen your recitation and If you would continue the 

people would have seen them ? 


A. Ubai bin Kaab Radi Allahu Anhu 

B. Usaid Ibn Hudair Radi Allahu Anhu 

C. Abdulah bin Masood Radi Allahu Anhu 

D. Musaib bin umair Radi Allahu Anhu 

E. None of the above 

F. I want to know 


 Sahi Jawab B 
------------ 
✦ Hazrat Abu Saeed khudri rivayat karte hain ki hazrat Usaid bin Hudair Radi Allahu Anhu ek raat apne khajuro ke khalihan mein Quran majid padh rahe they ki unkaghodha bidakne laga , Aapne phir padha wp phir bidakne laga , Aapne phir padha aur phir bidka , hazrat Usaid kahte hain ki main darr gaya ki kahi wo Yahya (jo unke bete they) ko kuchal na daale.Main uske paas jakar khada ho gaya aur maine dekha ki ek saayban ki tarah mere sir par hai aur wo chirago se roshan hai , wo upar ki 
taraf chadhne laga yaha tak main usko phir dekh na saka. 

✦ Maine Subah ko Rassol-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke pass aaya aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam raat ke waqt main apne khalihan mein Quran majid padh raha tha ki achanak mera ghodha bidakne laga to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Ibn Hudair tumhe padhte rahna chahiye tha , Ibn hudair ne kaha ki main padhte raha tha magar mere ghorha phir se bidakne laga, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne phir se farmaya Eh Ibn Hudair tumhe padhte rahna chahiye tha , Ibn hudair ne kaha ki main padhte raha tha magar mere ghorha phir se bidakne laga, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne phir se (teesri baar) farmaya Eh Ibn Hudair tumhe padhte rahna chahiye tha 

✦ is par ibn hudair na kaha ki main padhkar jab farig hua to yahya uske kareeb tha mujhe darr laga ki kahi wo usko kuchal na dale aur maine ek saayban ki tarah dekha ki usmein chirag se roshan they jo upar ki taraf jaane laga yaha tak ki main phir usko nahi dekh saka , to is par Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Wo Farishte they jo tumhara Quran sun rahe they aur agar tum padhte rahte subah log unko dekh lete aur wo logo se chupe huye na rah paate 
Sahih Muslim , Jild 1, 1859 
--------------
 Corrrect Answer B 
---------------------- 
✦ Abu Sa'id al-Khudri told of Usaid bin Hudair saying that one night he recited the Qur'an in his enclosure, when the horse began to jump about. He again recited and (the horse) again jumped. He again recited and it jumped as before. Usaid said: I was afraid lest it should trample (his son) Yahya. I stood near it (the horse) and saw something like a canopy over my head with what seemed to be lamps in it, rising up in the sky till it disappeared. 

✦ I went to the Messenger of Allah (ﷺ) on the next day and said: Messenger of Allah, I recited the Qur'an during the night in my enclosure and my horse began to jump.
Upon this the Messenger of Allah (ﷺ) said: You should have kept on reciting, Ibn Hudair. He (Ibn Hudair) said: I recited. It jumped (as before). Upon this the Messenger of Allah (ﷺ) again said: You should have kept on reciting, Ibn Hudair. He (Ibn Hudair) said: I recited and it again jumped (as before). The Messenger of Allah (ﷺ) again said: You should have kept on reciting, Ibu Hudair. 

✦ He (Ibn Hudair) said: (Messenger of Allah) I finished (the recitation) for Yahya was near (the horse) and I was afraid lest it should trample him. I saw something like a canopy with what seemed to be lamps in it rising up in the sky till it disappeared. Upon this the Messenger of Allah (ﷺ) said: Those were the angels who listened to you; and if you had continued reciting, the people would have seen them in the morning and they would not have concealed 
themselves from them 
Sahih Muslim,Book 6, 287

❗Only-Quran-Hadith Quiz 453❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 453❗

jawab ek se ziyada hain

Sawal 1 : Inmein se Wo kaunse azkar hain jiske liye Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki wo bahut aasan hai aur uske karne wale bahut kam hain magar jo is par rozana amal karega wo jannat mein jayega ?


A.
Har namaz ke baad padho 


10 baar SubhanAllah,
10 baar ALhamdulillah
20 baar Allahu Akbar

B.
Har namaz ke baad padho 

33 baar SubhanAllah,
33 baar Alhamdulillah
34 baar Allahu Akbar


C.
Raat ko sone se pahle padho

10 baar SubhanAllah,
10 baar Alhamdulillah
20 baar Allahu Akbar

D.
Raat ko sone se pahle padho

33 baar SubhanAllah,
33 baar Alhamdulillah
34 baar Allahu Akbar.

E.
Har namaz ke baad padho

10 baar SubhanAllah,
10 baar Alhamdulillah
10 baar Allahu Akbar

F.
Sahi Jawab ka intezar hai
-------------------------------------
Answers are more than one

Quiz : Whats is that Azkar for which The prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said that whoever will do it continuesly he will go in jannah and he also said that they are easy, and those who act upon them are few. ?



A.
After every prayer say

10 times SubhanAllah,
10 times Alhamdulillah
20 times Allahu Akbar


B.
After every prayer say

33 times SubhanAllah,
33 times Alhamdulillah
34 times Allahu Akbar

C.
When go to bed say

10 times SubhanAllah,
10 times Alhamdulillah
20 times Allahu Akbar


D.
When go to bed say

33 times SubhanAllah,
33 times Alhamdulillah.
34 times Allahu Akbar.


E.
After every prayer say

10 times SubhanAllah,
10 times Alhamdulillah
10 times Allahu Akbar

F.
I want to know

Sahi Jawab DE
----------
✦ Abdullah bin Amr Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya do aadatein aisee hain ki agar koi musalman isko ikhtiyar kar le to wo jannat mein jayega wo dono aasan hain magar us par amal karne wale bahut kam musalman hain, pahli ye ki har namaz ke baad 10 baar SubhanAllah , 10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahe , ravi kahte hain ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko dekha ki aap ungliyon par gina karte they. Phir farmaya ki wo zuban par 150 (Yani 5 waqt ki namaz ke baad 5x30=150) aur meezan par 1500 hain

✦ dusri aadat ye bayan farmayee ki jab tum sone ke liye jao to (33 baar) SubhanAllah , (33 baar) Alhamdulillah aur (34 baar) Allahu Akbar kaho.ye zuban poar to 100 hain magar meezan par 1000 hain.Aap Sal-Alalahu alaihi Wasallam ne farmaya ki tum mein se kaun hain jo din raat mein 2500 buraeeya karta hai? (kyunki neki burayee ko mita deti hai)

✦ Sahaba Radi allahu anhu ne farmaya hum kaise iska khayal nahi rakhenge , to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum namaz mein hote ho to shaitan tumhare pass aata hai aur kahta hai ki falah cheez yaad karo , falah cheez yaad karo , yahan tak ki wo (banda) namaz se farig ho jata hai aur us ko nahi karta , aur isse tarah jab koi sone ke liye bistar par jata hai to shaitan waha bhi aa jata hai aur usko sulata rahta hai yahan tak ki wo so jata hai
Jamia Tirmidhi, Jild 2, 1335-Hasan

✦ Correct Answer DE
--------------------
✦ Abdullah bin Amr [may Allah be pleased with both of them] said: The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: There are two characteristics over which a Muslim man does not guard, except that he enters Paradise. And indeed, they are easy, and those who act upon them are few:
He glorifies Allah at the end of every prayer 10times (saying Subḥān Allāh)
and praises Him 10times saying (Al-Ḥamdulillāh)
and extols His greatness 10 times (saying Allāhu Akbar).
He said: And I have seen the Messenger of Allah counting them with his hand.
He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said said: So this is 150 (After every prayer 5 x 30 =150) with the tongue, and 1500 on the Scale.

✦ When you go to bed, you glorify Him (Say 33 times SubhanAllah), extol His greatness (Say 33 times ALhamdulillah), and praise Him (Say 34 times Allahu Akbar) so this is 100 with the tongue and 1000 on the Scale. Which of you perform 2500 evil deeds in a single day and night?
(because good deeds removes evild deeds)

✦ They said: How could we not guard over them?’ He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Shaitan comes to one of you when he is in his Salat and says: Remember such and such, remember such and such” until he turns perhaps he will not do it. And he comes to him and he is lying down and makes him sleepy until he falls asleep.’”
Jamia Tirmizi,Book 45, 3410-Hasan

❗Only-Quran-Hadith Quiz 452❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 452❗

jawab ek se ziyada hain

Sawal : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne behatreen aurat ki kaun kaunsi nishaniya batayee hain?


A. jisko uska shohar dekhe to wo usko khush kar de

B. Jo Tahajjud ki namaz pabandi se ada kare

C. jo hukm shohar usko de wo uski farmabardari kare

D. Apne Nafs mein shohar ke khilaf koi kaam na kare

E. Jo aksar Gair mahram se dur rahe

F. Apni Daulat mein shohar ke khilaf koi kaam na kare

G. Sahi Jawab ka intezar hai
-------------------------------
Answers are more than one

Quiz : What characteristic was told by Prophet Sal-Alalahu alaii wasallam regarding the Best women ?


A. The one who makes her husband happy when he looks at her

B. The one who pray Tahajuud regularly

C. Who Obeys her husband when he commands her

D. Who does not go against his wishes with regard to herself

E. Who stay away mostly with Non Mehram

F. Who does not go against his wishes with regard to her wealth

G. I want to know



Sahi Jawab ACDF
---------
✦ Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se pucha gaya ki behatreen aurat kaunse hai ? to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmya wo aurat jisko uska shohar jab dekhe to wo usko khush kar de, aur jo hukm wo (shohar) usko de wo uski farmabardari kare Aur apne Nafs aur daulat mein uske khilaf koi kaam na kare
Sunan Nasaii, Jild 2, 1143-Sahih
-------------
✦ Narrated Abu Hurairah Radi Allahu Anhu It was narrated that Abu Hurairah said: "It was said to the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam : 'Which woman is best?' He Sal-Allahu Alaihi wasallam said: The one who makes her husband happy when he looks at her, obeys him when he commands her, and she does not go against his wishes with regard to herself nor her wealth.
Sunan Nasaii, Book 26, 3233-Sahih

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 451 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 451 ❗

Sawal 1 : Momeen ye dua kab karenge ?

Rabbana Atmim lana Noorana.

"Eh hamare RABB , hamara noor hamare liye pura kar de"

A. Allah ke deedar ke waqt

B. Hauz e Kauther ke pass

C. Aamal naama lete waqt

D. Pool sirat par

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar

Sawal 2 : Ye dua Quran ki kaunsi surah mein hai ?

A. Surah Hadid

B. Surah Anbiya

C. Surah Muminoon

D. Surah At Tahrim

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------------------------------
Reply Both Quiz like this CA / AD

Quiz 1 : When the Momeen (believer) will say this dua ?

Rabbana Atmim lana Noorana.

"O our Lord! Perfect our light for us".

A. While seeing Allah

B. Near the Hauz e kauther (lake fountain)

C. While having the book of deeds

D. Near the Bridge of Sirat

E. None of the above

F. I want to know

Quiz 2 : In which surah this dua exist in Quran ?

A. Surah Hadid

B. Surah Anbiya

C. Surah Muminoon

D. Surah At Tahrim

E. None of the above

F. I want to know


Sahi jawab DD
-----------
Bismillahirrahmanirrahim
يَوْمَ لَا يُخْزِي اللَّهُ النَّبِيَّ وَالَّذِينَ آمَنُوا مَعَهُ ۖ نُورُهُمْ يَسْعَىٰ بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَبِأَيْمَانِهِمْ يَقُولُونَ رَبَّنَا أَتْمِمْ لَنَا نُورَنَا وَاغْفِرْ لَنَا ۖ إِنَّكَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
---------------
Al Quran : Us din Nabee (Sal-Allahu alaihi wasallam) ko aur un logo ko jo unke saath imaan laye hain ruswa nahi karega , bulki unka noor unke aage aur dahini taraf chal raha hoga aur wo Allah se dua karenge ki Eh hamare RABB , hamara noor hamare liye pura kar de aur hume maaf farma beshak Allah har cheez par qadir hai
Surah At-Tahrim (66) Aayat 8

Hazrat Dahak Radi allahu anhu farmate hain ki Qayamat ke din sabko noor diya jayega , magar jab log pul sirat ke pass pahuchenge , munafiqo ka noor bujh jayega ye dekh kar momeen bhi darr jayenge ki kahi aisa na ho ki hamara noor bhi bujh jaye phir wo Allah se dua karenge ki Ya Allah hamare liye hamara noor pura kar de
Tafseer Ibn kathir , Surah At-Tahrim , Aayat 8
--------
Answer DD
-----------
Bismillahirrahmanirrahim

يَوْمَ لَا يُخْزِي اللَّهُ النَّبِيَّ وَالَّذِينَ آمَنُوا مَعَهُ ۖ نُورُهُمْ يَسْعَىٰ بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَبِأَيْمَانِهِمْ يَقُولُونَ رَبَّنَا أَتْمِمْ لَنَا نُورَنَا وَاغْفِرْ لَنَا ۖ إِنَّكَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
-----------
Al Quran : The Day that Allah will not disgrace the Prophet (Muhammad صلى الله عليه وسلم) and those who believe with him. Their Light will run forward before them and (with their Records - Books of deeds) in their right hands. They will say: "Our Lord! Keep perfect our Light for us [and do not put it off till we cross over the Sirat (a slippery bridge over the Hell) safely] and grant us forgiveness. Verily, You are Able to do all things."
Surah At-Tahrim (66) Aayat 8

Ad-Dahhak commented on the Ayah, Everyone will be given a light on the Day of Resurrection. When they arrive at the (bridge) Sirat, the light of the hypocrites will be extinguished. When the believers see this, they will be concerned that their light also will be extinguished, just as the light of the hypocrites was. This is when the believers will invoke Allah, `O our Lord! Perfect our light for us.''' Allah's statement,
Tafseer Ibn kathir , Surah At-Tahrim , verse 8

❗Only-Quran-Hadith Quiz 450❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 450❗

✦ Neeche diye gaye Ahkam ke kaffare ko milan kijiye , jawab is tarah dijiye A3, B2, C4


A. Nazar(mannat) puri na karne ka kaffara

B. Kasam tod dene ka kaffara

C. Ramzan ka roza tod dene ka kaffara

D. Sahi jawab ka intezar hai
-------------------
1. 10 din ke roze rakhna

2. 30 din ke roze rakhna

3. 3 miskeen ko kapde dena

4. 60 miskeen ko khana khilana

5. 10 miskeen ko khana khilana
-----------------------------------
✦ Kindly match the below expiation with the related options. and reply like this A3, B2, C4

A. The expiation of the (breach of) a vow

B. The expiation of the deliberate broken oath

C. The expiation for breaking the fast of Ramdhan

D. I want to know
--------
1. 10 Days fasting

2. 30 days fasting

3. Feeding to 3 poor

4. Feeding to 60 poor

5. Feeding to 10 poor


Sahi jawab
A5, B5, C4
--------------
Allah Subahanhu tumhari be irada kasmo par tumhey naki pakadta hai lekin un kasmo par pakadta hai jinhey tum pukhta (mazbut ) kar detey ho , uska kaffara 10 miskeen ko awsat darjey ka khana khilana hai jo tum apne ghar walo ko khilate ho ya 10 miskino ko kapde dena ya Ek Ghulam Aazd karna phir jo shaksh ye na kar paye to wo 3 din ke roze rakhe ye tumhari kasmo ka kaffara hai jab tum kasam kha lo ( aur usey tod do) aur tumhey chahiye ki apni kasmo ki hifazat karo 
Allah Subhanahu isi tarah tumharey liye hukm bayan karta hai taki tum Shukar karo
AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Nazar (Mannat) ka kaffara wahi hai jo Qasam ka kaffara hai
Sahih Muslim, Vol4, 4253

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne hukm kiya ek shaksh ko jisne ramadhan mein roza tod diya tha ki ek ghulam ko aazad karey ya 2 mahine ke roze rakhe ya 60 miskin ko khana khilaye.
Sahih Muslim, 2599
---------------
Answer
A5, B5, C4
-------
Al Quran : Allah will not punish you for what is unintentional in your oaths, but He will punish you for your deliberate oaths; for its expiation feed ten Masakin (poor persons), on a scale of the average of that with which you feed your own families, or clothe them or manumit a slave. But whosoever cannot afford (that), then he should fast for three days. That is the expiation for the oaths when you have sworn . And protect your oaths (i.e. do not swear much)  Thus Allah make clear to you His Ayat (proofs, evidence, verses, lessons, signs, revelations, etc.) that you may be grateful.
Surah Al Maeda (5), Verse 89

Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: The expiation of the (breach of) a vow is the same as that of the (breach of an oath).
Sahih Muslim, Book 14, 4243

The Prophet peace be upon him commanded the person (who) broke the fast in Ramadan to free a slave or observe fasts for two (consecutive) months or feed Sixty poor persons.
Sahih Muslim, Book 6, 2461