Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith: Tum mein se koi shaksh us waqt tak Imaan wala nahi hoga jab tak.........
Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya kasam hai us zaat ki jis ke haath mein mari jaan hai tum mein se koi shaksh Imaan wala nahi hoga jab tak uskey walid aur aulad se bhi jiyada is ka mehboob na ban jaau.
Sahih Al Bukari:Vol.1, 14}
Abdullah bin Hisham Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath they aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam umar bin Khattab Radi Allahu Anhu ka haath pakdey huye they Umar Radi Allahu Anhu ne kaha ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Aap mujhe har cheez se ziy
ada azeez hai siwaye apni jaan ke to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Nahi, us Zaat ki kasam jiskey hatah mein meri jaan hai (tumhara imaan us waqt tak muqammal nahi ho sakta) jab tak ki main tumhey tumhari Apni jaan se bhi ziyada azeez na ho jauu Umar Radi Allahu Anhu se arz kiya ki Allah ki kasam ab se Aap mujhe apni jaan se bhi ziyada azeez hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya haan Umar ab ( tumhara Imaan pura ho gaya)
{Sahih Bukhari, Vol 8, 6632}
------------------------------------
بیشک رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، قسم ہے اس ذات کی جس کے ہاتھ میں میری جان ہے۔ تم میں سے کوئی بھی ایماندار نہ ہو گا جب تک میں اس کے والد اور اولاد سے بھی زیادہ اس کا محبوب نہ بن جاؤں۔
صحیح بخاری جلد ۱ ۱۴
عبدالله بن ھشام سے روایت ہے ہم نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ تھے اور آپ عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ کا ہاتھ پکڑے ہوئے تھے۔ عمر رضی اللہ عنہ نے عرض کیا: یا رسول اللہ! آپ مجھے ہر چیز سے زیادہ عزیز ہیں، سوا میری اپنی جان کے۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ نہیں، اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میری جان ہے۔ ( ایمان اس وقت تک مکمل نہیں ہو سکتا ) جب تک میں تمہیں تمہاری اپنی جان سے بھی زیادہ عزیز نہ ہو جاؤں۔ عمر رضی اللہ عنہ نے عرض کیا: پھر واللہ! اب آپ مجھے میری اپنی جان سے بھی زیادہ عزیز ہیں۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ ہاں، عمر! اب تیرا ایمان پورا ہوا۔
صحیح بخاری جلد ۸ ۶۶۳۲
_________________
English translation:
Narrated Abu HurairaRadi allahu anhu: "Allah's Messenger aihi Wasallam said, "By Him in Whose Hands my life is, none of you will have faith till he loves me more than his father and his children."
{Sahih Al Bukhari:Vol. 1, Book 2, Hadith 14}
Narrated 'Abdullah bin Hisham Radi Allahu Anhu : We were with the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam and he Sallallahu Alaihi Wasallam was holding the hand of 'Umar bin Al-Khattab. 'Umar said to Him, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam ! You are dearer to me than everything except my own self." The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "No, by Him in Whose Hand my soul is, (you will not have complete faith) till I am dearer to you than your own self." Then 'Umar said to him, "However, now, by Allah, you are dearer to me than my own self." The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Now, O 'Umar, (you are a believer)."
{Sahih Bukhari, Volume 8, Book 78, Number 628}
No comments:
Post a Comment