Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, December 1, 2014

Mafhum-e-Hadith: Hazrat Uthman Radhi allahu anhu ki shaan





Bismillahirrahmanirrahim 
.
Mafhum-e-Hadith: Hazrat Uthman Radhi allahu anhu ki shaan
-----------------------------------------------
Hazrat Kaab bin Ujrah Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne qareeb ke zamane mein ek fitne ka zikr kiya aur us waqt ek aadmi apne sir ko dhanpe huye guzra Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ye shakhs us din hidayat par hoga maine chalang laga kar Uthman Radhi allahu anhu ko pakad liya aur Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ke samne unko lakar pucha Kya ye shaksh 
( us waqt hidayat par hoga ) Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Haan 
Sunan Ibn majah, Vol 1,111-Sahih 
.
Hazrat Aisha Radhi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Eh Uthman agar Allah subhanahu tumhe is amr ( Khilafat) ka waali bana de to munafiqeen chahenge ki tum qameez utar do (yani khilafat chorh do) jo Allah subhanahu ne tumhe pahnayee hogi , Aap sallallahu alaihi wasallam ne 3 martaba yahi farmaya 
Sunan Ibn majah, Vol 1, 112-Sahih
.
Anas Bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Meri Ummat mein haya ke aitbar se sabse sachche Uthman Radi Allahu Anhu hain
Sunan Ibn majah, Vol 1, 154-Sahih
.
Comment: Uthman Radhi allahu anhu ka nikah Aap sallallahu alaihi wasallam ne unki beti Ruqayya Radhi allahu anha se kiya aur pahli biwi ki wafat ke baad unka nikah phir se Aap sallallahu alaihi wasallam ne unki dusri beti Umm Kulthum Radhi allahu anha se karwaya jiski wajah se unka laqab Zun-Nurain hua yani do noor wala 
--------------------------------------------------------------------------
It was narrated that Ka'b bin Ujrah Radhi allahu anhu said:
"The Messenger of Allah mentioned a Fitnah (tribulation) that had drawn nigh. Then a man passed by with his head covered. The Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam said: 'On that day, this man will be following right guidance.' I leapt up and took hold of 'Uthman's arms, then I turned to face the Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam and said: 'This man?' He said: 'This man.
Sunan Ibn majah, Vol 1,111-Sahih
.
It was narrated that 'Aishah Radhi allahu anha said: The Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam said: "O 'Uthman, if Allah places you in authority over this matter (as the caliph) some day and the hypocrites want to rid you of the garment with which Allah has clothed you (i.e., the position of caliph), do not take it off." He sallallahu alaihi wasallam said that three times
Sunan Ibn majah, Vol 1, 112-Sahih
.
Narrated Anas bin Malik may ALLAH be pleased with him that the Messenger of Allah Peace be upon him said: The most sincere of my ummah in shyness and modesty is Uthman
Sunan Ibn majah, Vol 1, 154-Sahih
.
Comment: The Prophet sallallahu alaihi wasallam gave his daughter Ruqayyah Radhi allahu anha in marrige with Uthman Radhi allahu anhu and after the death of ruqayyah Radhi allahu anha the Prophet sallallahu alaihi wasallam gave his next daughter Umm Kulthum Radhi allahu anhu in marrige with him and because of this he was given the title of Dhun-nurain ( the man with two lights.)

No comments:

Post a Comment