Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith: Dojakh se bacho Sadqa dekar chahey Khajur ka ek tukda dekar hi sahi
Adi bin Hatim Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Dojakh se bacho Sadqa dekar chahey Khajur ka ek tukda dekar hi sahi aur jisey ye bhi na miley use chahiye ke achchi baat kahkar (kyunki Achchi bata kahna bhi sadqa hai)
{Sahih Bukhari, Vol8, 6563}
Nauman bin Bashir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din Dojakhiyon mein Azab ke aitbaar se sab kam Azab paney wala wo shaksh hoga jiskey Dono Qadmo ke neechey Do Angaarey rakh diye jayengey jiski wajah se uska Dimag khol ( Boiling) raha hoga jis tarah haandi ya Ketli josh marti hai
{Sahih Bukhari, Vol8, 6562}
-----------------------------------------
English translation:
Narrated `Adi bin Hatim Radhi allahu anhu: The Prophet sallallahu alaihi wasallam said, "Protect yourselves from the Hell-Fire, even if with one half of a date, and he who cannot afford that, then (let him do so) by (saying) a good, pleasant word."
{Sahih Bukhari: Vol. 8, Book 76, Hadith 568}
Narrated An-Nu'man bin Bashir Radi Allahu Anhu :I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "The least punished person of the (Hell) Fire people on the Day of Resurrection will be a man under whose arch of the feet two smoldering embers will be placed, because of which his brain will boil just like Al-Mirjal (copper vessel) or a Qum-qum (narrow-necked vessel) is boiling with water."
{Sahih Bukhari: Vol. 8, Book 76, Hadith 567}
No comments:
Post a Comment