Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: Halaqat ka bhawar jismein girney ke baad phir nikalney ki Ummed nahi hai wo Nahaq khoon karna hai
Al Quran: Aur jo koi kisi Momeen ko Jaan boojh kar (intentionaly) Qatl karey uski saza Dojakh hai jismein wo hamesha rahega us par Allah ka ghazab aur uski laanat hai aur Allah ne uskey liye bada Azab tayyar kiya hai
{Al Quran Surah An Nisa (4), 93}
Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Halaqat ka bhawar jismein girney ke baad phir nikalney ki Ummed nahi hai wo Nahaq khoon karna hai jisko Allah subhanahu ne haram qarar diya hai
{Sahih Bukhari, Vol8, 6863}
Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sabse pahle logon ke darmiyan(Qayamat ke din) khoon-kharabey ka faisla kiya jayega
{Sahih Bukhari, Vol8, 6864}
-----------------------------------------------------------
English Translation:
Al Quran: And whoever kills a believer intentionally, his recompense is Hell to abide therein; and the Wrath and the Curse of Allah are upon him, and a great punishment is prepared for him.
{Al Quran Surah An Nisa (4) :93}
Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radi Allahu Anhu : One of the evil deeds with bad consequence from which there is no escape for the one who is involved in it is to kill someone unlawfully.
{Sahih Bukhari, Vol9, Book 83, #3}
Narrated 'Abdullah Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The first cases to be decided among the people (on the Day of Resurrection) will be those of blood-shed."
{Sahih Bukhari,Vol9, Book 83, Number 4}
No comments:
Post a Comment