Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, December 2, 2014

Mafhum-e-Hadith: Jo Allah ki Kitab ( Quran) padhe aur ek dusre ko padhaye to un par Allah ki rahmat Nazil hogi


Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Jo Allah ki Kitab ( Quran) padhe aur ek dusre ko padhaye to un par Allah ki rahmat Nazil hogi
.
Abu hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo Shakh Ilm-e-Deen hasil karne ke liye raah chale to Allah subahanhu uske liye jannat ka Raasta aasan farma dega aur jo log Allah ke ghar (Masjid) mein jama hokar Allah ki Kitab ( Quran) padhe aur ek dusre ko padhaye to un par Allah subhnahu ki rahmat nazil hogi aur rahmat unko dhaanp legi aur farishtey unko gher lengey aur Allah subhanahu un logo ka zikr karega apney pass rahney walo mein aur jo amal mein kotahi (susti) karey uska khandan(nasab)kuch kaam na aayega
Sahih Muslim, Volume 6, 6853
.
Uthman Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya tum mein se behatreen wo hai jo Quran Majeed padhey ( sikhey) aur padhaye ( sikhaye)
Sahih Bukhari, Vol 6 , 5028 
-----------------------------------------------------------
English Translation:
Narrated Abu Huraira reported Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam said he who treads the path in search of knowledge, Allah would make that path easy, leading to Paradise for him and those persons who assemble in the house among the houses of Allah (mosques) and recite the Book of Allah and they learn and teach the Qur'an (among themselves) there would descend upon them the tranquillity and mercy would cover them and the angels would surround them and Allah makes a mention of them in the presence of those near Him, and he who is 
slow-paced in doing good deeds, his (high) descent does not make him go ahead.
Sahih Muslim, Book 035, Number 6518 
.
Narrated 'Uthman Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The best among you (Muslims) are those who learn the Qur'an and teach it." 
Sahih Bukhari, Book 61, Hadith 545

No comments:

Post a Comment