Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, December 11, 2014

Hadith: Jo log tasweer (moorti) banatey hain unhey Qayamat ke din Azab kiya jayega



Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Jo log tasweer (moorti) banatey hain unhey Qayamat ke din Azab kiya jayega

Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo log tasweer banatey hain unhey Qayamat ke din Azab kiya jayega aur unsey kaha jayega ki jisko tumney banaya hai usmein ab jaan bhi daalo.
{Sahih Bukhari, Vol 7, 5951}

Said bin Abu Al-Hasan ne kaha ki Main Ibn Abbas ki Khidmat mein hazir tha ki Ek shaksh unkey pass aaya aur kaha ki Eh Abu Abbas main un logo mein se hu jinki rozi apney haath ke hunar par moquf hai aur main ye tasweerein banata hu , Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne kaha ki mainey Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye farmate huye suna hai ki jisney kabhi koi tasweer banayee to Allah subhanahu usey us waqt tak Azab dega jab tak wo shaksh un tasweeron (ya moortiyon) mein jaaan na daal de aur wo kabhi usmein jaan nahi daal sakta ye sun kar us shaksh ka saans phul gaya aur chehra zard parh gaya Ibn Abbas ne kaha ki Afsos, agar tum tasweerein banana hi chahtey ho to Darakhton ki aur un cheezo ki banao jismein jaan nahi hai 
{Sahih Bukhari, Vol 3, 2225}


----------------

حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما نے خبر دی کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ  وسلم نے فرمایا جو لوگ یہ مورتیں بناتے ہیں انہیں قیامت کے دن عذاب کیا جائے گا اور ان سے کہا جائے گا کہ جس کو تم نے بنایا ہے اب اس میں جان بھی ڈالو ۔

سعید بن ابی حسن نے ، کہا کہ میں ابن عباس رضی اللہ  عنہما کی خدمت میں حاضر تھا کہ ایک شخص ان کے پاس آیا ، اور کہا کہ اے ابوعباس ! میں ان لوگوں میں سے ہوں ، جن کی روزی اپنے ہاتھ کی صنعت پر موقوف ہے اور میں یہ مورتیں بناتا ہوں ۔ ابن عباس رضی اللہ عنہما نے اس پر فرمایا کہ میں تمہیں صرف وہی بات بتلاؤں گا جو میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنی ہے ۔ انہوں نے کہا کہ میں نے آپ کو یہ فرماتے ہوئے سنا تھا کہ جس نے بھی کوئی مورت بنائی تو اللہ تعالیٰ اسے اس وقت تک عذاب کرتا رہے گا جب تک وہ شخص اپنی مورت میں جان نہ ڈال دے اور وہ کبھی اس میں جان نہیں ڈال سکتا ( یہ سن کر ) اس شخص کا سانس چڑھ گیا اور چہرہ زرد پڑ گیا ۔ ابن عباس رضی اللہ عنہما نے فرمایا کہ افسوس ! اگر تم مورتیں بنانی ہی چاہتے ہو تو ان درختوں کی اور ہر اس چیز کی جس میں جان نہیں ہے مورتیں بنا سکتے ہو
-------------------------------------
English Translation:

Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radi Allahu Anhuma: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "Those who make these pictures will be punished on the Day of Resurrection, and it will be said to them. 'Make alive what you have created.'"
{Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 835}

Narrated Said bin Abu Al-Hasan: While I was with Ibn 'Abbas a man came and said, "O father of 'Abbas! My sustenance is from my manual profession and I make these pictures." Ibn 'Abbas said, I heard Allah Apostel Sallallahu Alaihi Wasallam said, 'Whoever makes a picture will be punished by Allah till he puts life in it, and he will never be able to put life in it.' " Hearing this, that man heaved a sigh and his face turned pale. Ibn 'Abbas said to him, "What a pity! If you insist on making pictures I advise you to make pictures of trees and any other unanimated objects." 
{Sahih Bukhari, Book #34, Hadith #428}

No comments:

Post a Comment