Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, December 11, 2014

Mafhum-e-Hadith: Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ki Sunnat ( or Nawafil) namazein



Bismillahirrahmanirrahim 
.
Mafhum-e-Hadith: Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ki Sunnat ( or Nawafil) namazein
.
Abdullah b. Shaqiq Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Maine Aisha Radhi allahu anhu se Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ke nawafil ( jo ummat ke liye sunnat hote hain) namaz ka hal pucha to unhone farmaya Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam mere ghar mein dhuhar se pahle 4 rakat padhte they ,phir nikalte aur logo ke saath (dhuhar ki) farz namaz ada karte uske baad ghar aakar phir 2 rakat padhte , 
Aur logo ke saath jab maghrib padhte to ghar aakar 2 rakat padhte, 
Aur isha logo ke saath padh kar jab ghar aate to 2 rakat padhte 
Aur phir raat ko 9 rakat padhte jismein witr bhi shamil hoti ,
Aap sallallahu alaihi wasallam kabhi raat ko der tak khade hokar Namaz padhte aur kabhi der tak baithkar. Aur jab khade hokar namaz padhte to phir ruku bhi khade hokar karte aur jab baithkar namaz padhte to ruku aur sazda bhi baithkar karte , 
Aur jab Fajar ho jati to 2 rakaat (sunnat) padhte they
Sahih Muslim, Vol 1, 1699
.
Note : Farz namazo ke siwa jin nawafil namazo ko Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam kasrat se padhte they ya jinko padhne ka hukm diya wo ummat ke liye sunnat ho jati hain aur farz ke alawa jin namazo o aap sallallahu alaihi wasallam ne kabhi padha aur kabhi chodh diya wo nawafil rahti hain
.
http://islamqa.info/en/149492
.
http://www.islamhelpline.net/node/3795
---------------------------------------------------------


حضرت عائشہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا سے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی نفل نماز کے بارے میں سوال کیا؟تو انھوں نے جوابدیا : آپ میرے گھر میں ظہر سے پہلے چار رکعت پڑھتے ، پھر ( گھر سے ) نکلتے اور لوگوں کو نماز پڑھاتے ، پھر گھر واپس آتے اور دو رکعتیں ادا فرماتے ۔ اور آپ لوگوں کو مغرب کی نماز پڑھاتے پھر گھر آتے اور دو رکعت نماز پڑھتے ، اور لوگوں کو عشاء کی نماز پڑھاتے اور میرے گھر آتے اور دو رکعتیں پڑھتے ، ان میں وتر شامل ہوتے ، اور طویل رات کھڑے ہوکر اور طویل ر ات بیٹھ کر نماز ادا کرتے اور جب کھڑے ہوکر قراءت کرتے تو رکوع اور سجدہ بھی کھڑے ہوکر کرتے اور جب بیٹھ کر قراءت کرتے تو رکوع اور سجدہ بھی بیٹھ کر کرتے اور جب فجر طلوع ہوتی تو دو رکعتیں پڑھتے ۔ 

صحیح مسلم جلد ۱ ۱۶۹۹
----------------------------


Abdullah b. Shaqiq Radhi allahu anhu said:
I asked Aisha Radhi allahu anha about the Messenger of Allah's sallallahu alaihi wasallam voluntary prayers, and she replied: Before the noon prayer, he used to pray four rakahs in my house; then would go out and lead the people in prayer; then come in and pray two rakahs. He would then lead the people in the sunset prayer; then come in and pray two rakabhs. Then he would lead the people in the Isha prayer, and enter my house and pray two rakahs. He would pray nine rakahs during the night, including Witr.
At night he would pray for a long time standing and for a long time sitting, and when he recited the Holy Qur'an while standing, he would bow and prostrate himself from the standing position, and when he recited while sitting, he would bow and prostrate himself from the sitting position, and when it was dawn he would pray two rakahs (voluntary)
Sahih Muslim, Book 4, Hadith 1584
.
Note : Sunnah refers to something that the Prophet sallallahu alaihi wasallam did persistently or ordered to perform and naafil refers to things that he sallallahu alaihi wasallam did sometimes and not at other times.
http://islamqa.info/en/149492
.
http://www.islamhelpline.net/node/3795

No comments:

Post a Comment