Bismillahirrahmanirrahim
.
Hadith: : Badfali (shagun mein yakeen karna) shirk hai
.
Abdullah bn masood Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Badfali (shagun mein yakeen karna) shirk hai kisi ko badfaali (shagun) ka waham ho to (Allah subhanahu par bharosa kare) Allah subhanahu us bharose ki wajah se usko dur farma denge
Sunan Ibn majah, Vol 3,419-Sahih
.
Ibn Abbas Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat ke 70,000 log bina hisab ke jannat mein jayenge ye wo log honge jo Jhaad-foonk nahi karate hain aur na shagun lete hain ( yani achche bure shagun mein yakeen nahi karte) aur apne RAB par hi bharosa karte hain
Sahih Bukhari, Vol 7, 6472
Tafseer : Shagun yani faltu baaton mein yakeen karke us kaam ko chorh dena , jaise kaali billi rasta kaat jaane se kaam kharab ho jata hai, ghar se dahi peekar nikalne se kaam achcha hota hai , ye sab shagun mein aata hai , aisee baaton ka yakeen nahi karna chahiye kyunki hota wahi hai jo Allah subhanahu chahta hai
Tafseer : Shagun yani faltu baaton mein yakeen karke us kaam ko chorh dena , jaise kaali billi rasta kaat jaane se kaam kharab ho jata hai, ghar se dahi peekar nikalne se kaam achcha hota hai , ye sab shagun mein aata hai , aisee baaton ka yakeen nahi karna chahiye kyunki hota wahi hai jo Allah subhanahu chahta hai
---------------------------------------
सुनन इब्न माजा , जिल्द 3,419-सही
.
इब्न अब्बास रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की नबी सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया मेरी उम्मत के 70,000 लोग बिना हिसाब के जन्नत में जाएँगे ये वो लोग होंगे जो झाड़-फूँक नही करते हैं और ना शगुन लेते हैं ( यानी अच्छे बुरे शगुन में यकीन नही करते) और अपने रब पर ही भरोसा करते हैं
सही बुखारी, जिल्द 7, 6472
तशरीह : शगुन यानि फ़ालतू बातों में यकीन करके उस काम को छोड़ देना जैसे काली बिल्ली रास्ता काट जाने से काम ख़राब होता , घर से दही पीकर निकलने से काम अच्छा होता है ये सब शगुन में आता है , ऐसी बातो का यकीन नहीं करना चाहिए क्यूंकि होता वही है जो अल्लाह चाहता है
-----------------------------
It was narrated from ‘Abdullah that the Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam said: “The omen is polytheistic deed and anyone of us may think he sees an omen but Allah will dispel it by means of relying upon Him.
Sunan Ibn majah, Book 31, Hadith 3538-Sahih
Narrated Ibn Abbas Radhi Allahu Anhu: ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Seventy thousand people of my followers will enter Paradise without accounts, and they are those who do not practice (Evil) Ruqya and do not see an evil omen in things, and put their trust in their Lord.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 76, No. 479
No comments:
Post a Comment