Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, December 11, 2014

Mafhum-e-Hadith: Dhuhar ki farz namaz se pahle 4 rakat padhne ki fazilat




Bismillahirrahmanirrahim 
.
Mafhum-e-Hadith: Dhuhar ki farz namaz se pahle 4 rakat padhne ki fazilat
.
Umm Habibah Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs dhuhar se pahle ki chaar rakat aur Dhuhar ke baad ki chaar rakat ki hifazat kare ( yani usko rozana padhe)to us par Jahannam haram ho jayegi 
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1256 - Sahih 
.
Abu Ayyub Ansari se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi ne farmaya Dhuhar ki Namaz se pahle chaar rakaah padhe jismein darmiyan mein Salam na ho to uskey liye Aasaman ke darwazey khol diye jate hain - 
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1257 -Hasan
Hazrat tameem dari Radi Allahu anhu se rivayat hai ki ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya bandey se Qayamat ke Roz sabse pahley namaz ka hisab hoga agar uski Namazein puri hongi to uskey Nawafil alag se likh diye jayengey aur agar usney namazein puri nahi ki hongi to ALLAH taala apney farishton se farmayega dekho kya mere bandey ke pass Nawafil hain ? to un nawafil ke zariye jo faraaeez usney zaya kar diye unki takmeel kar do phir baqi Aamal ka Hisab bhi isi tarah hoga - 
Sunan Ibn Majah, Vol 1, 1426 -Sahih
---------------------------------------------
English Translation:
Narrated Umm Habibah Radi Allahu Anha: The Prophet sallallahu alaihi wasallam said: If anyone keeps on praying regularly four rak'ahs before and four after the noon prayer, he will not enter the Hell-fire. 
Sunan Abu Dawud, Book 4, 1264 - Sahih 
.
Narrated AbuAyyub Radi Allahu Anhu: The Prophet (peace_be_upon_him) said: The gates of heaven are opened for four rak'ahs containing no taslim (salutation) before the noon prayer. 
Sunan Abu Dawud, Book 4, 1265 -Hasan
.
It was Narrated from tamim dari may ALLAH be pleased with him that the Prophet Peace be upon him said The first thing for which A person will be brought to a account on the Day of Resurrection will be his prayer (Salah) . If it is complete then the voluntary ( Nawafil) prayer will also be recorded for him (As an increase) If it is not complete then Allah will say to his Angels Look and see wheather you find any voluntary (Nawafil) prayer for my slave and take them to make up what is lacking from his obligatory ( farz) prayers then All his deeds will be recokened in like manner 
Sunan Ibn Majah, Volume 1, 1426 - Sahih

No comments:

Post a Comment