Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega
-----------------
✦ Abu Hurairah radi allahu taaala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne apne kisi bhai par zulm kiya ho to use chahiye ki is se (duniya mein) maaf kara le, kyunki aakhirat mein dinar aur diraham (Rupye paisey)nahi honge , is se pahle (maaf karwa le warna) uske bhai ke liye uski nekiyon mein se haq dilaya jayega aur agar uske paas nekiya nahi hongi to us (mazlum) bhai ki buraeeyan us par daal di jayegi.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6534
✦ Abu Saeed khudri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega aur phir ek dusre par kiye gaye zulmo ka badla liya jayega jo duniya mein unke darmiyan huye they , jab sab kuch saaf aur paak ho jayega ( yani sabko badla mil jayega) uske baad unhe jannat mein dakhil hone ki ejazat milegi , us zaat ki kasam jiske haath mein Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki jaan hai jannaatiyo mein se har koi apne ghar ko duniya mein apne ghar ki muqable mein zyada achchi tarah pahchan lega
Sahih Bukhari, Vol 8, 6535
-----------------
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिसने अपने किसी भाई पर ज़ुल्म किया हो तो उसे चाहिए की इस से (दुनिया में) माफ़ करा ले, क्यूंकी आख़िरत में दीनार और दिरहम (रुपये पैसे)नही होंगे , इस से पहले (माफ़ करवा ले वरना) उसके भाई के लिए उसकी नेकियों में से हक़ दिलाया जाएगा और अगर उसके पास नेकिया नही होंगी तो उस (मज़लूम) भाई की बुराईयाँ उस पर डाल दी जाएगी.
सही बुखारी, जिल्द 8, 6534
✦ अबू सईद खुदरी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की मोमीन दोज़ख़् से छुटकारा पा जाएँगे लेकिन दोज़ख और जन्नत के दरमियाँ एक पूल है जहा उन्हे रोक लिया जाएगा और फिर एक दूसरे पर किए गये ज़ुल्मों का बदला लिया जाएगा जो दुनिया में उनके दरमियाँ हुए थे , जब सब कुछ सॉफ और पाक हो जाएगा ( यानी सबको बदला मिल जाएगा) उसके बाद उन्हे जन्नत में दाखिल होने की ईजाज़त मिलेगी , उस ज़ात की कसम जिसके हाथ में मुहम्मद सलअल्लाहू अलैही वसल्लम की जान है जन्नतियों में से हर कोई अपने घर को दुनिया में अपने घर की मुक़ाबले में ज़्यादा अच्छी तरह पहचान लेगा
सही बुखारी, जिल्द 8, 6535
-----------------
✦ Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Whoever has wronged his brother, should ask for his pardon (before his death), as (in the Hereafter) there will be neither a Dinar nor a Dirham. (He should secure pardon in this life) before some of his good deeds are taken and paid to his brother, or, if he has done no good deeds, some of the bad deeds of his brother are taken to be loaded on him (in the Hereafter)
Sahih Bukhari Vol 8, Book 76, No. 541
✦Narrated Abu Sa`id Al-Khudri Radhi allahu anhu Allah's Messenger sallallahu alaihi wasallam said, "The believers, after being saved from the (Hell) Fire, will be stopped at a bridge between Paradise and Hell and mutual retaliation will be established among them regarding wrongs they have committed in the world against one another. After they are cleansed and purified (through the retaliation), they will be admitted into Paradise; and by Him in Whose Hand Muhammad's soul is, everyone of them will know his dwelling in Paradise better than he knew his dwelling in this world.
Sahih Bukhari Book 76, No. 542
No comments:
Post a Comment