Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, November 3, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 997❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 997❗

Jawab ek se zyada hai

Sawal : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki seeart ke baare mein kaun kaun see batein sahi hain ?

A. Qad Darmiyani tha
B. Baal ek dam mudey huye they
C. Aapka chehra aage hota phir bhi aap peeche dekh lete they
D. Baal kano ki lau tak latke rahte they
E. Hatheli Resham se bhi zyada naram thi
F. Aapki peshani par halka sa paseena rahta tha
G. Sir mein koi baal safed nahi tha
H. Aap bahut zyada sharmiley they
I-Sahi Jawab ka intezar hai

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 997❗

Answers are more than one

Quiz : What are the characteristics of Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ?

A. His Height was medium
B. Hair was completely curly
C. Even his face was forward he used to see behind his back
D.  Hair reaching his ear-lobes
E. Palm was so soft like silk
F. Always there was small water drops on his forhead
G. There was no white hair in his head
H. He was so  shier
I. I want to know



Sahi Jawab ACDEH
-----------
✦ Aap sallallahu alaihi wasallam darmiyani qad ke they , na bahut lambe  aur na chothe qad wale, rang khulta hua tha , na bilkul safed aur na hi  bilkul gandum ke jaisa, Aap sallallahu alaihi wasallam ke baal na bilkul  mudey huye sakht qism ke they aur na seedhe latke huye hi they.

✦ Nuzul e wahi ke waqt Aap sallallahu alaihi wasallam ke umar 40 saal thi,  makka mein Aap sallallahu alaihi wasallam ne 10 saal qayam farmaya aur  is pure arsey mein Aap par wahi nazil hoti rahi aur madina mein bhi Aap  sallallahu alaihi wasallam ne 10 saal qayam kiya.

✦:Aap sallallahu alaihi wasallam ke sir aur dadhi mubarak  mein 20 baal bhi safed nahi huye they.

✦ Aap sallallahu alaihi wasallam ka seena bahut kushada aur  khula hua tha , Aap sallallahu alaihi wasallam ke baal kano ki lau tak latke  rahte they.Anas Radi allahu anhu kahtey hain ki Maine Aap sallallahu alaihi wasallam se zyada khubsurat kisi ko nahi dekha

✦:Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ka chehra chand ki  tarah khubsurat tha, Jab bhi Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam kisi  baat par khush hote to chehra mubarak chamak uthta tha aisa malum  hota jaise chand ka tukda ho , aur hum aapke chahre se aapki khushi ko jaan lete.

✦:Anas Radi allahu anhu ne farmaya ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ki hatheli se zyada naram aur  nazuk koi hareer aur debaz ( resham) mere haatho ne nahi chuaa  aur  Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ki khushbu se behatr aur pakiza khushbu ya atar maine kabhi nahi sungha.

✦:Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam parda nasheen kuwari ladkiyon se bhi zyada sharamile they
Sahih Bukhari, Vol 5, 3547, 3551, 3552, 3556, 3561,3562    

✦  Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam  ne farmaya Ruku aur Sazda pure taur par Ada kiya karo ALLAH  ki kasam jiske haath mein meri jaan hai main apne Kamar ke peechey se tum logon ko dekh leta hu jab tum log Ruku aur Sazda karte ho
Sahih Bukhari, Vol8, 6644



Answer ACDEH
----
✦:The Prophet sallallahu alaihi wasallam was of medium height amongst the people, neither tall nor short; he had a rosy color, neither absolutely white nor deep brown; his hair was neither completely curly nor quite lank. Divine Inspiration was revealed to him when he was forty years old. He stayed ten years in Mecca receiving the Divine Inspiration, and stayed in Medina for ten more years. When he expired, he had scarcely twenty white hairs in his head and beard.

✦:The Prophet sallallahu alaihi wasallam was of moderate height having broad shoulders (long) hair reaching his ear-lobes. I had never seen a more handsome than him."

✦:The face of the Prophet sallallahu alaihi wasallam was (as bright) as a moon. whenever Allah's Messenger sallallahu alaihi wasallam was happy, his face used to glitter, as if it was a piece of the moon, and we used to recognize it (i.e. his happiness) from his face.

✦:Narrated Anas Radhi allahu anhu I have never touched silk or Dibaj (i.e. thick silk) softer than the palm of the Prophet sallallahu alaihi wasallam nor have I smelt a perfume nicer than the sweat of the Prophet sallallahu alaihi wasallam.

✦: The Prophet sallallahu alaihi wasallam was shier than a veiled virgin girl.
Sahih Bukhari, Book 56, 747, 751, 752, 756, 761, 762

✦ Narrated Anas bin Malik Radi Allahu Anhu : I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  saying, "Perform the bowing and the prostration properly (with peace of mind), for, by Him in Whose Hand my soul is, I see you from behind my back when you bow and when you prostrate."
Sahih Bukhari, Book 78,  639

No comments:

Post a Comment