Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, November 7, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1001❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1001❗

Ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se ek shaksh ki Namaz janaza padhane ke liye kaha gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne uske baare mein kuch pucha aur phir farmaya Aap log khud uski namaz padha do

Sawal  : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne uski namaz padhne se mana kyu kar diya tha ?

A. Usne Aakhri waqt mein kalma nahi padha tha
B. Wo Qarzdar tha
C. Wo Maidan e jung se bhag gaya tha
D. Usne khudkushi ki thi
E. Usne Hijrat karne se mana kar diya tha
F. Wo Makka ke Mushriko ko khabre pahuchata tha
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai



❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1001❗

Once Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam was asked to pray funerel prayer for a man , He asked about him and said Pray yourselves over your companion 

Quiz : Why he denied to pray over him ?

A. He didnt recited Shahada in his last moments
B. Some debt was due from him
C. He run away from the battle field
D. He commited Suicide
E. He denied to migrate (Hijrah)
F. He used to give news to the pagans about muslims
G. None of the above
H. I want to know

Sahi Jawab B
-----------
Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke paas (Namaz padhane ke liye) ek janaza laya gaya Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne pucha kya iss par qarz hai logo ne kaha Haan iss ke zimme do dinar hai Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Aap apne saathi ki namaz padh lo toh Abu Qatadah Radi Allahu Anhu ne Kaha mein inn ki adaegi ki zimmedari leta hu Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam , toh Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne uski Namaz e janaza padhi
Sunan Abu Dawud, Book 22, 3337-Sahih


Answer  B
-------
Narrated Jabir ibn Abdullah:A dead Muslim was brought to Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam (for funerel prayer), he asked: Is there any debt due from him ? They (the people) said: Yes, two dirhams. He said: Pray yourselves over your companion.Then Abu Qatadah Al-Ansari said: I shall pay them, Messenger of Allah. The Messenger of Allah (ﷺ) then prayed over him.
Sunan Abu Dawud, Book 22, 3337-Sahih

No comments:

Post a Comment