❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1017❗
Jawab ek se zyada hai
Sawal : Jo shaksh kisi musalman mareez ki ayadat ke liye jata hai to usko kya ajar milta hai ?
A. Jab wo chalta hai to aisa hai jaise jannat mein chal raha hai
B. Us ke liye jannat mein ek ghar bana diya jata hai
C. 7000 farishte us par rahmat bhejte hain
D. Uske liye Jannat mein ek baag hota hai
E. uske liye jannat mein ek darakht laga diya jata hai
F. Jab wo waha baith jata hai to Allah ki rahmat usko dhanp leti hai
G. Uske liye asman se nida aati hai ki tumhe bakhsh diya
H. Sahi jawab ka intezar hai
❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1017❗
Answers are more than one
Quiz : What are the rewards for that perosn who visits a believer while he is sick?
A. He is walking among the harvest of Paradise
B. A house will be built for him in the paradise
C. 7000 Angels send blesing on him
D. He will have a garden in the Paradise.
E. A tree will be planted for him in the paradise
F. When he sits down he is covered with mercy
G. A caller calls from heaven that your are forgiven
H. I want to know
Sahih Jawab ADF
---------
Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs apne (beemar) musalman bhai ki ayadat ke liye aa raha hota hai to wo aisa hai jaise jannat mein chal raha hai yaha tak ki wo baith jaye ,aur jab wo baith jata hai to Allah ki rahmat usko dhanp leti hai, aur subah ka waqt ho to sham tak 70,000 farishte uske liye rahmat aur bakhshish ki dua karte hain aur agar sham ka waqt ho to subah tak 70,000 farishte uske liye rahmat aur bakhshis ki dua karte hain
Sunan Ibn maja, Jild 1, 1442-Hasan
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo shaks kisi beemar ki din ke akhir hisse mai ayadat karta hai uske Sath 70,000 farishte hai aur fajr tak Uske liye magfirat ki dua karte hai aur uske liye jannat mai ek baag hota hai aur jo shaks din ke ibtedayee hisse mai ayadat ke liye nikalta hai Usk Sath 70,000 farishte nikalte hai aur shaam tak Uske liye dua e magfirat Karte hai aur Uske liye Jannat mai ek baag hai
Sunan Abu Dawud Jild 2 , 1322 - Sahih
Answer ADF
--------
It was narrated that Ali Radi Allahu Anhu said “I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: ‘Whoever comes to his Muslim brother and visits him (when he is sick), he is walking among the harvest of Paradise until he sits down, and when he sits down he is covered with mercy. If it is morning, seventy thousand angels will send blessing upon him until evening, and if it is evening, seventy thousand angels will send blessing upon him until morning.’”
Sunan Ibn maja, Book 6, 1442-Hasan
Narrated 'Ali Radi Allahu Anhu If a man visits a patient in the evening, seventy thousand angels come along with him seeking forgiveness from Allah for him till the morning, and he will have a garden in the Paradise.
Sunan Abu Dawud, Book 20, 3092-Sahih
No comments:
Post a Comment