Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, November 17, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1011❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1011❗

Sawal  1 : Wo kaun see jung thi jis waqt Shaitan Insan ki surat  mein  Musrekeen e Makka ke pass aaya tha ?

A. Jung e Yamama
B. Jung e Jamal
C. Karbala ki jung
D. Jung e Hunain
E. Jung a Uhad
F. Jung e Badr
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Us waqt Shaitan kaunse Sahabi ki Shakal mein  aaya tha ?

A. Talha bin Ubaidullah Radi Allahu anhu
B. Suraqa Radi Allahu anhu
C. Ukasha Radi Allahu anhu
D. Dihyah Kalbi Radi Allahu anhu
E. Urwah bin Mas'ud Radi Allahu anhu
F. Musaib bin umair Radi Allahu Anhu
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1011❗

Quiz 1 : In which battle devil (shaitan) came in the form of human ?

A. Battle of Yamama
B. Battle of Jamal
C. Battle of Karbala
D. Battle of Hunain
E. Battle of Uhad
F. Battle of Badr
G. None of the above
H. I want to know


Quiz 2 : In that battle Iblees came in the form of which Sahabi ?

A. Talha bin Ubaidullah Radi Allahu anhu
B. Suraqa Radi Allahu anhu
C. Ukasha Radi Allahu anhu
D. Dihyah Kalbi Radi Allahu anhu
E. Urwah bin Mas'ud Radi Allahu anhu
F. Musaib bin umair Radi Allahu Anhu
G. None of the above
H. I want to know


Sahi Jawab FB
--------
Al Quran : Aur jis waqt (Jung e badr mein) Shaitan ne unke Aamal ko unki nazro mein khushnuma kar diya aur kaha ki aaj ke din logo mein se koi  bhi tum par galib nahi hoga aur main tumhara himayati hu. Phir jab dono faujein samne huyee to apne ediyo par ulta phir gaya Aur kahne laga main tumhare saath nahi hu main aisee cheez dekh raha hu jo tum nahi dekhte , main Allah se darta hu aur Allah sakht azab karne wala hai
Surah Anfal (8), Verse 48

Tafseer:  Jung e badr ke waqt shaitan  Suraaqah ibn Maalik ibn Ju‘sham ki shakal mein musrekeen e makka ke pass aaya tha aur unko jung ke liya aamada kiya aur kaha aaj tum par insano mein koi galib nahi aa sakta aur ye kahkar unko maidan e jung mein le aaya,  magar jaise hi usne jibril alaihi salam aur dusre farishto ko aasman se utarte huye dekha wo maidan chorh kar bhagne laga aur jab makka ke sardaro ne usko kaha ki tu humein chorh kar kaha bhag raha tab usne kaha ki "main tumhare saath nahi hu main aisee cheez dekh raha hu jo tum nahi dekhte , main Allah se darta hu aur Allah sakht azab karne wala hai"
Ref: Tafseer At-Tabaraani (13/7)

Answer FB
-------------
Al Quran : And  when Shaitan (Satan) made their (evil) deeds seem fair to them and said, No one of mankind can overcome you this Day (of the battle of Badr) and verily, I am your neighbour (for each and every help). But when the two forces came in sight of each other, he ran away and said "Verily, I have nothing to do with you. Verily! I see what you see not. Verily! I fear Allah for Allah is Severe in punishment."
Surah Anfal (8), Verse 48

It was narrated that Ibn ‘Abbaas (may Allah be pleased with him) said: Iblees came on the day of Badr bringing a troop of devils with him. I saw him in the form of a man from Banu Mudlij, in the form of Suraaqah ibn Maalik ibn Ju‘sham. The Shaytaan said to the mushrikeen: No one of mankind can overcome you this day (of the battle of Badr) and verily, I will be your protector. Then when the people had drawn themselves up in battle array, the Messenger of Allah (blessings and peace of Allah be upon him) picked up a handful of dust and threw it in the faces of the mushrikeen, and they turned and fled. Jibreel came to Iblees and when he saw him, his hand was in the hand of one of the mushrik men. Iblees pulled his hand away, and turned and fled, he and his party. The man said: O Suraaqah, did you not say that you would protect us? He said: ‘Verily! I see what you see not. Verily! I fear Allah for Allah is Severe in punishment.’ That was when he saw the angels. 
It was narrated by at-Tabaraani in his Tafseer (13/7).

No comments:

Post a Comment