Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, December 8, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-1030❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-1030❗

Sawal 1 : Maidan e Mahshar mein log sifarish ke liye jab Ibrahim Alaihi salam ke pass jayenge to wo logo ko kaunse Nabee ke paas bhejenge ?

Sawal 2 :  Logo ko Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke pass jaane ke liye kaunse Nabee kahenge ?

A. Eesa Alaihi Salam
B. Musa Alaihi Salam
C. Ibrahim Alaihi Salam
D. Nooh Alaihi Salam
E. Idris Alaihi Salam
F. RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai


❗ Only-Quran-Hadith Quiz-1030❗

Quiz 1  : One the Day of Resurrection when the People will go to Ibrahim Alaihi salam  for the intercession, he will send people towards which Prophet ?

Quiz 2 : One the Day of Resurrection  who will advice people to go to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam for the intercession ?


A. Eesa Alaihi Salam
B. Musa Alaihi Salam
C. Ibrahim Alaihi Salam
D. Nooh Alaihi Salam
E. Idris Alaihi Salam
F. RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam
G. None of the above
H. I want to know



Sahi Jawab BA
---------------------------
✦ Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu Qayamat ke din jaise hum duniya mein jama hote hain usee tarah momeeno ko ekaththa kerega (woh garmi se pareshan ho kar) kahenge kash hum kisi ki sifarish apne maalik ke paas le jate taake humein apni is haalat se aaram mil jaye Isliye sab mil kar Aadam Alaihi Salam ke paas aayenge, aur unse kahenge oh Adam Alaihi salam aap logo ka haal nahi dekhte kis balaa mein girftar hain. Aap ko Allah subhanahu ne ( khaas ) apne haath se banaya aur farishton se aap ko sajda karaya aur har cheez ke naam aap ko batlaye ( har zuban mein bolna baat karna sikhaya) kuch sifarish kijiye taaki hum logon ko is jagah se nijaat ho kar aaraam miley. Wo farmayenge main is layaq nahi, un ko wo khata yaad aa jayegi jo unhon ne ki thi ( mamnoo darakht mein se khana ), tum log aisa karo Nooh Alaihi Salam ke paas jao wo pahle Rasool hain jinko Allah Subhanahu ne zameen walon ki taraf bheja tha.

✦ Aakhir wo log sab Nooh Alaihi Salam ke paas aayenge, wo bhi yahi jawab denge, Main is Layaq nahi apni khata jo unhon ne (duniya mein) ki thi yaad karenge, wo bhi kahenge tum log aisa karo ibrahim alaihi salam ke paas jao jo Allah ke khalil hain ( log un ke paas jayenge) wo bhi apni khatayein yaad kar ke kahenge mein is layaq nahi tum moosa Alaihi Salam ke paas jao Allah ne un ko taurat inayat farmayee, un se bol kar baatein kee.

✦ Phir log Moosa Alaihi Salam ke paas aayenge woh bhi yahi kahenge mein is Layaq nahi apni khata jo unhon ne duniya mein ki thi yaad karenge , (aur kahenge) tum aisa karo Eesa Alaihi salam ke paas jao woh Allah ke bande, aur uske Rasool hain, uska khaas kalma aur khaas rooh hain. 
yeh log eesa Alaihi Salam ke paas aayenge woh kahenge mein is Layaq nahi tum aisa karo Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam ke paas jao woh Allah ke aise bande hain jin ki agli pichli khatayein sab bakhsh di gayi hain , Aakhir yeh sab log jama ho kar mere paas aayenge. ✦ Main phir apne RAB ki bargaah mein haazir honey ki ijazat manguga, mujh ko ijazat mil jayegi. 
Sahih Bukhari, Jild 8, 7410


Answer BA
--------
✦ Narrated Anas Radi Allahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "Allah will gather the believers on the Day of Resurrection in the same way (as they are gathered in this life), and they will say, 'Let us ask someone to intercede for us with our Lord that He may relieve us from this place of ours.' Then they will go to Adam Alaihi Salam and say, 'O Adam Alaihi Salam ! Don't you see the people (people's condition)? Allah created you with His Own Hands and ordered His angels to prostrate before you, and taught you the names of all the things. Please intercede for us with our Lord so that He may relieve us from this place of ours.' Adam Alaihi Salam will say, 'I am not fit for this undertaking' and mention to them the mistakes he had committed, and add, "But you better go to Noah Alaihi Salam as he was the first Apostle sent by Allah to the people of the Earth.

✦ They will go to Noah Alaihi Salam who will reply, 'I am not fit for this undertaking,' and mention the mistake which he made, and add, 'But you'd better go to Ibrahim Alaihi Salam, Khalil Ar-Rahman.' They will go to Ibrahim Alaihi Salam who will reply, 'I am not fit for this undertaking,' and mention to them the mistakes he made, and add, 'But you'd better go to Moses Alaihi Salam, a slave whom Allah gave the Torah and to whom He spoke directly

✦ They will go to Moses who will reply, 'I am not fit for this undertaking,' and mention to them the mistakes he made, and add, 'You'd better go to Jesus, Allah's slave and His Apostle and His Word (Be: And it was) and a soul created by Him.' They will go to Jesus who will say, 'I am not fit for this undertaking, but you'd better go to Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam whose sins of the past and the future had been forgiven (by Allah).' So they will come to me  And I will ask the permission of my Lord, and I will be permitted (to present myself) before Him. 
Sahih Bukhari, Book 93, Hadith 507

No comments:

Post a Comment