Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, May 29, 2017

Sawal : Kya Kaream (كَرِيمٍ) Lafz sirf Allah subhanahu ke liye khas hai , Kya Quran Kareem, Rasool-e-Kareem, Ramazan kareem ye sab kahna galat ya gunah hai ?

Sawal : Kya Kaream (كَرِيمٍ) Lafz sirf Allah subhanahu ke liye khas hai , Kya Quran Kareem, Rasool-e-Kareem  ye sab kahna galat ya gunah hai ?

Aaeeye dekhte hain ki Quran aur Hadith mein kya kisi aur ko bhi kareem kaha gaya hai ?
------------------------
✦ Dalil 1:

Is aayat mein Sulaiman Alaihi salam ke khat ko kareem kaha gaya hai


قَالَتْ يَا أَيُّهَا الْمَلَأُ إِنِّي أُلْقِيَ إِلَيَّ كِتَابٌ كَرِيمٌ

Al Quran :  (Malika) kahne lagi Eh darbar walo mere paas ek (Kitab Al Kareem) muaaziz khat aaya hai.
An-Naml, Chapter #27, Verse #29
-------------
✦ Dalil 2.
Is aayat mein Rizq ko kareem kaha gaya hai

وَمَن يَقْنُتْ مِنكُنَّ لِلَّهِ وَرَسُولِهِ وَتَعْمَلْ صَالِحًا نُّؤْتِهَا أَجْرَهَا مَرَّتَيْنِ وَأَعْتَدْنَا لَهَا رِزْقًا كَرِيمًا
Al Quran : Aur jo tum mein se Allah aur uske Rasool Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki farmabardari karega aur neik amal karega usko hum duguna sawab denge aur uske liye Rizq Kareen yani Ezat wali rozi tayyar kar rakhi hai
Al-Ahzaab, Chapter #33, Verse #31
-------------
✦ Dalil 3.
is Aayat mein Ajar ko kareem kaha gaya hai

 إِنَّمَا تُنذِرُ مَنِ اتَّبَعَ الذِّكْرَ وَخَشِيَ الرَّحْمَـٰنَ بِالْغَيْبِ ۖ فَبَشِّرْهُ بِمَغْفِرَةٍ وَأَجْرٍ كَرِيمٍ

Beshak aap usee ko dara sakte hain jo naseehat ki pairwee kare aur bina dekhe Rahman se dare , aise logo ko khushkhabri de do bakhshish aur Ajr-e-kareem yani ezzat wale ajar ki
Yaseen, Chapter #36, Verse #11
-------------
✦ Dalil 4:
is Aayat mein Quran ko kareem kaha gaya hai
إِنَّهُ لَقُرْآنٌ كَرِيمٌ
Beshak ye Quran kareem hai yani baai shan wala hai
Al-Waaqia, Chapter #56, Verse #77
---------------
✦ Dalil 5 :

إِنَّهُ لَقَوْلُ رَسُولٍ كَرِيمٍ
beshak ye (Quran) Rasool e kareem ka laya hua hai
Al-Haaqqa, Chapter #69, Verse #40
---------------
✦ Dalil 6 :
Is hadith mein Rasool-Allah Sall-Allahu alaihi wasallam ne Yusuf Alaihi salam ko Kareem  kaha hai
:
عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ الْكَرِيمُ ابْنُ الْكَرِيمِ ابْنِ الْكَرِيمِ ابْنِ الْكَرِيمِ يُوسُفُ بْنُ يَعْقُوبَ بْنِ إِسْحَاقَ بْنِ إِبْرَاهِيمَ عَلَيْهِمِ السَّلاَمُ ‏"‏‏.

Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya
Yusuf Alaihi Salam AL-kareem (sharif) , Ibn Al-Kareem, Ibn Al-Kareem, Ibn Al-Kareem,  Yusuf bin ishaq bin ibrahim Alaihi salam hain
Sahih Al Bukhari Book 55, Hadith 603
--------
✦ Dalil 7 :

is hadith mein Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne aam ezzatdar insan ko bhi kareem kaha hai

قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ ‏ "‏ إِذَا أَتَاكُمْ كَرِيمُ قَوْمٍ فَأَكْرِمُوهُ ‏‏‏‏
Jab tumhare pass kisi Qaum ka koi kareem shakhs yani ehatarm ke layaq shaksh aaye to tum bhi uska ehatram karo
Sunan Ibn Majah,Book 33, 3712-Hasan
-------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Aamal ka daromadar Niyat par hai aur har shaksh ko wohi milta hai jiski wo niyat kare Sahih Bukhari, Vol 6, 5070

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya beshaq Deen aasan hai aur jo shaksh deen mein sakhtiyo ko ikhtiyar karega Deen us par ghalib aa jayega ( yani wo deen par us sakhti se na chal sakega)
Sahih Bukhari, Vol 1, 39

✦ Jazak-Allahu khairan

✦ Allah subhanahu hum sabko deen mein sakhtiya ikhtiyar karne se bachatye aur haq baat kahne sunney aur us par amal karne ki taufiq ata farmaye

1 comment:

  1. Brother the question and it answer has no co-relation with each other.

    That the phrase Ramadan Kareem, which means “may Ramadan be generous to you”, goes against the teachings of Islam because Ramadan itself cannot be generous.

    Allah knows best

    Jazakallahu Khairan.

    ReplyDelete