Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, May 4, 2017

❗Islamic Quiz-141 ❗


Islamic Quiz-141 

Sawal: Kaunse Sahabi ke liye Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne ye farmaya tha ki unke janaze ko farishte uthaaye huye they ?
A. Jafar bin Abu talib Radi allahu anhu
B. Muaaz bin jabal Radi allahu anhu
C. Abu Bakr Radi Allahu anhu
D. Umar Radi Allahu Anhu
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
-------------------
Quiz: For Whom The Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam said that the angels were carrying his funeral ?

A. Jafar bin abu talib Radi allahu anhu
B. Muaaz bin jabal Radi allahu anhu
C. Abu Bakr Radi Allahu anhu
D. Umar Radi Allahu Anhu
E. None of the above
F. I want to know



Sahih Jawab hai E
Inmein se koi nahi
Jawab : Saad bin maaz radi alahu anhu
---------------------------
Anas bin Malik radi allahu anhu se rivayat hai ki jab Saad bin maaz radi alahu anhu ka janaza uthaya gaya to muafiqeen kahne lage iska janaza kitna halka hai , kyunki unhone banu Quraiza ka ( yani unke jawano ko qatl ka) faisla diya tha , ye khabar jab Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ko mili to farmaya ki unke janaze ko farishte uyhaye huye they ( isliye janaza halka tha)
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1781 -Sahih

Jabir radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Alalhu alaihi wasallam ne farmaya Saad bin Muadh radi allahu anhu ki maut par Allah ka arsh bhi hilne laga tha , aur ek dusri rivayat mein Jabir radi allahu anhu ne kaha ki maine Rasool-Allah Sal-Alalhu alaihi wasallam se suna ki Saad bin Muadh radi allahu anhu ki maut par Rahman ka arsh hilne laga tha
Sahih Bukhari, Jild 5, 3803
-----------------------------
Sahih Jawab hai E
Non of the above
because the answer is Saad bin maaz radi alahu anhu

Narrated Anas bin Malik radi allahu anhu "When the funeral of Sa'd bin Mu'adh was carried, the hypocrites said: 'How light his funeral is.' And this was due to his judgment concerning Banu Quraizah. So this reached the Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam and he said: 'Indeed, the angels were carrying him.'"
Jamia Tirmizi, Book 46, 3849-Sahih

Narrated Jabir radi allahu anhu: I heard the Prophet Sal-Alalhu alaihi wasallam saying, "The Throne (of Allah) shook at the death of Sa`d bin Mu`adh Radi Allahu anhu, Through another group of narrators, Jabir added, "I heard the Prophet Sal-Alalhu alaihi wasallam : saying, 'The Throne of the Beneficent shook because of the death of Sa`d bin Mu`adh."
Sahih Bukhari, Book 58, 147

No comments:

Post a Comment