❗ Islamic Quiz-119 ❗
Sawal: Wo kaunsi dua thi jisko Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne
ek sahabi ka haath pakad kar kaha tha ki is dua ko har namaz ke baad parhna
kabhi na chorhna ?
( What is that dua that Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam instructed to A
sahabi after holding his hand( companion) that Never leave to recite this
supplication after every prayer )
A.
اللَّهُمَّ أَنْتَ
السَّلاَمُ وَمِنْكَ السَّلاَمُ تَبَارَكْتَ يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ
Allahumma Antas-Salam wa minkas-salam
Tabarakta ya Zal-jalali wal- ikram
B.
لا اله الا الله وحده لا
شريك له
له الملك وله الحمد وهو
على كل شي قدير
La ilaha , illAllahu wahdahu La sharikalahu,
lahul mulku wa lahul hamdu,
wa huwa Ala kulli shayeen Qadeer
C.
اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى
ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ
Allahumma Aainni Ala Zikrika wa shukrika
wa husni ibadatika
D.
اللهم لا مانع لما اعطيت
ولا معطي لما منعت
Allahumma la mania Lima aataita,
wa la muata Lima manata
E. None of the above
F. I want to know
F. I want to know
Sahi jawab C
Muadh bin jabal Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu
Alaihi Wasallam ne mera haath pakad kar farmaya Allah ki kasam main tumse
muhabbat karta hu Eh Muaz aur main tumhe waseeyat karta hu ki har namaz ke baad
is dua ko parhna kabhi na chorhna
اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ
Allahumma A’inni Ala zikrika wa
shukrika wa husni ibadatika
(Tarjumah : Ya Allah , meri madad kar tera zikr karney mein , aur tera
shukar ada karney mein aur teri achchi ibadat karney mein)
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1509 ( Sahih)
Imam Nasai ne is hadith ko is tarah se rivayat kiya hai
Muadh bin jabal Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu
Alaihi Wasallam ne mera haath pakad kar farmaya main tumse muhabbat karta hu Eh
Muadh to mainey kaha ki main bhi Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam se muhabbat
karta hu to phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne ye farmaya ki tum pabandi se
har namaz mein ye dua maanga karo Rabbi A’inni Ala Dhikrika wa shukrika wa
husni ibadatika (Tarjumah : Ya Allah ,meri madad kar tera zikr karney mein ,
aur tera shukar ada karney mein aur teri achchi ibadat karney mein)
Sunan Nasai ,Vol 1,1306 ( Sahih)
-----------------------------
Answer C
Hadith: O Allah, help me in remembering You, in giving You thanks, and
worshipping You well
It was narrated from Muadh bin Jabal Radi Allahu Anhu that he said The
Messenger of Allah Peace took my hand and said: By Allah, I love you, Muadh. I
give some instruction to you. Never leave to recite this supplication after
every (prescribed) prayer:
اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ
Allahumma A'inni Ala Zikrika wa
Shukrika wa husni ibadatika
(Translation: O Allah, help me in remembering You, in giving You thanks,
and worshipping You well.)
Sunan Abu Dawud, Book 8, Hadith 1517 (Sahih)
Imam Nasai has narrated this hadith
as below:
It was narrated that Muadh bin Jabal
Radi Allahu Anhu said The Messenger of
Allah took my hand and said: I love you, O Muadh, I said:
And I love you too O Messenger of Allah
Then the Messenger of Allah said: Never forget to say in every prayer
Rabbi A'inni Ala Zikrika wa Shukrika
wa husni ibadatika
(My Lord, help me to remember You, give thanks to You and worship you
well).
Sunan Nasai ,Vol 2, 1304 (Sahih)
No comments:
Post a Comment