Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, May 4, 2017

❗Islamic Quiz-135❗


Islamic Quiz-135
Sawal: Suleh Hudebiya ke moqe par jab wuzu aur peene ka pani khatam ho gaya to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne apni ungliyo se paani nikala jis se sahaba ne wuzu bhi kiya aur pyas bhi bujha li, us waqt Sahaba radi allahu anhu ki tadad kitni thi ?
A. 100
B. 500
C. 1000
D. 1500
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------------
Quiz: On the day of Al-Hudaibiya (Treaty) the water was not sufficiant to drink and to do wudhu (ablution) that time Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam arranged the water from his fingers and Sahaba radi Allahu anhu drank thatwater and completeed their wuzu through that water,
On that time How may sahaba used that water ?
A. 100
B. 500
C. 1000
D. 1500
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab hai D: 1500
Hazrat jaber Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki suleh hudaibiya ke din logo ko pyas lagi huyee thi Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke samne ek pani ka chota sa bartan rakha hua tha , Aapne farmaya kya baat hai logo ne kaha ki jo pani aapke samne hai uske siwa na wuzu ke liye hamare paas dusra pani hai aur na peene ke liye, Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne apna haath us pani ke bartan mein rakha aur aapki ungliyo se paani chasme (fawware) ki tarah nikalne laga
aur hum sab logon ne us paani ko peeya aur us se wuzu bhi kiya , maine pucha aap logo ki tadad kitni thi ? kaha ki agar hum ek lakh bhi hote to wo paani kafi ho jata, waise hamari tadad us waqt 1500 thi.

Sahih Bukhari, Vol 5, 3576

Allahumma Salli Ala Muhammad wa aali muhammad
----------------------------
 Answer D-1500


Narrated by Jabir bin `Abdullah Radhi allahu anhu , "The people became very thirsty on the day of Al-Hudaibiya (Treaty). A small pot containing some water was in front of the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam , He asked, 'What is wrong with you?' They replied, 'We have no water either for performing ablution or for drinking except what is present in front of you.' So he placed his hand in that pot and the water started flowing among his fingers like springs. We all drank and performed ablution (from it)." I asked Jabir, "How many were you?" he replied, "Even if we had been one-hundred-thousand (100,000), it would have been sufficient for us, but we were fifteen-hundred.(1500)"
Sahih Bukhari, Book 56, Hadith 776

No comments:

Post a Comment