Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, March 15, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1113*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1113*❗

*Dusre sawal mein jawab ek se zyada hai*

*Sawal 1 : Makka ke mushrik kaunse mahine mein lohe se bani huyee cheezo ka istemal chorh dete they ?*

*Sawal 2 : Inmein se kaunse mahine hurmat wale nahi hain ?*

A. Muharram
B. Safar
C. Rajab
D. Shaban
E. Ramadan
F. Dhul-Hijja
G. Inmein se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilmaa


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1113*❗

*The second Question has more than one answer*

*Quiz : In which month the idol worshiper of makka stop using Iron or iron made things ?*

*Quiz 2 : Among below Which months are  not sacred near Allah ?*

A. Muharram
B. Safar
C. Rajab
D. Shaban
E. Ramadan
F. Dhul-Hijja
G. None of the Above
H. Rabbi Zidni ilmaa
(Oh Allah increase my Knowledge)


💐✅ *Sahih Jawab C / BDE* 💐
----------
Abu Raja Al-Utradi Radi Allahu Anhu farmate hai ham pehle pattar ki puja karte they aur agar koi pattar hame us se achcha mil jata toh us say phenk dete aur dusre ki puja shuru kar dete agar hame pattar na milta toh mitta ka ek tela bana lete aur bakri laa lar us par dohte aur uske gird tawaf karte  jab Rajab ka mahina aajata toh ham kehte ke ye mahina Lohe ko dur rakhne ka hai islye hamare paas lohe se bane huye jitne bhi neezeh ya teer hote ham Rajab ke mahine mein unhein apne se dur rakhte aur unhein kisi taraf phenk dete
Sahih Bukhari 4376

 Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya saal barah mahine ka hota hai , unmein chaar (4) hurmat ke mahine hain , teen to ek ke baad ek Dhul Qaida, Dhul Hijja aur Muharram aur ek Rajab jo jamadil aakhir aur shaban ke darmiyan hota hai
Sahih Bukhari, Jild 6, 5550


*Note : Abu Raja Al-Utradi Radi Allahu Anhu baad mein Imaan lakar islam mein dakhil ho gaye*

💐✅ *Answer C / BDE* 💐
--------
Narrated Abu Raja Al-Utaridi Radi Allahu Anhu We used to worship stones, and when we found a better stone than the first one, we would throw the first one and take the latter, but if we could not get a stone then we would collect some earth (i.e. soil) and then bring a sheep and milk that sheep over it, and perform the Tawaf around it.
When the month of Rajab came, we used (to stop the military actions), calling this month the iron remover, for we used to remove and throw away the iron parts of every spear and arrow in the month of Rajab. 
*Sahih Bukhari,Book 59, 661*

Narrated Abu Bakra Radi allahu anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said. "(The division of time has turned to its original form which was current when Allah created the Heavens and the Earths. The year is of twelve months, out of which four months are sacred: Three are in succession Dhul-Qaida, Dhul-Hijja and Muharram, and (the fourth is) Rajab
Sahih Bukhari, Book 54, Hadith 419

No comments:

Post a Comment