Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, February 1, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1076*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1076*❗

*Sawal 1 : Wo kaunse Nabee hain jin par unki kitab ko padhna itna aasan kar diya gaya tha ki wo sawari ke liye apne janwar ko tayyar karne ka hukm dete aur jab tak wo tayyar hota us se pahle hi wo apni kitab mukammal farma lete ?*

*Sawal 2 :  Wo kaunse Nabee hain jinke paanw ki thokar se zameen se pani nikal aaya tha ?*

A. Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Salam
B. Nooh Alaihi Salam
C. Yaqub Alaihi Salam
D. Dawud Alaihi Salam
E. Musa Alaihi salam
F. Ayyub Alaihi Salam
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai



❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1076*❗

*Quiz 1 : For which prophet the reciting of his book was made that much easy , He used to order that his riding animals be saddled, and would finish reciting that book before they were saddled ?*

*Quiz 2 :  Who was that prophet when he Struck the ground with his foot  spring of water came out for him ? *

A. Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Salam
B. Nooh Alaihi Salam
C. Yaqub Alaihi Salam
D. Dawud Alaihi Salam
E. Musa Alaihi salam
F. Ayyub Alaihi Salam
G. None of the above
H. I want to know


Sahi Jawab DF
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  Dawud Alaihi salam  par zabur ki tilawat Aasan kar di gayee thi Aap Jaanwar (ghode) par zeen kasne  (Yani usko sawari ke liye tayyar karne) ka hukm dete aur us se pehle ke zeen kasi jaa chuke tilawat se farig ho jate they

Tashreeh : Hazrat Dawud Alaihi salam ka itni jaldi Zabur padhna ek muajaza tha warna Quran Karim ko teen din se kam waqt mein mukammal karne se mana farmaya gaya hai
Sahih Bukhari, 4713

Al Quran : Aur hamare bande Ayyub Alaihi salam ko yaad karo, jab unhone apne RABB ko pukara ki mujhe shaitan ne taklif aur azab pahuchaya hai (Allah ne farmaya) apna paaw zameen par maaro ye thanda chashma (spring of water) nahane aur peene ko hai
Surah Sad , Aayat 41-42

Tafseer : Ayyub alaihi salam jab sakht beemar huye to phir Allah subnanahu se unhone dua ki to unko hukm diya ki apna paanw zameen par maaro aur waha se ek pani ka chashma nikal aaya , jismein unhe nahane aur peene ka hukm hua aur uske jariya Allah subhahanhu ne unhe shifa ata farmayee


Answer DF
--------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  said, "The reciting of the Zabur (i.e. Psalms) was made easy for David. He used to order that his riding animals be saddled, and would finish reciting the Zabur before they were saddled. And he would never eat except from the earnings of his manual work."
Sahih Bukhari, Book 55, Hadith 628

AL Quran : And remember Our slave Ayyub (Job), when he invoked his Lord (saying): "Verily Shaitan (Satan) has touched me with distress (by ruining my health) and torment (by ruining my wealth)! (Allah said to him): "Strike the ground with your foot: This is (a spring of) water to wash in, cool and a (refreshing) drink."
Surah Sad , verse 41-42

No comments:

Post a Comment