Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, February 16, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1088*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1088*❗

*Sawal : Neeche diye gaye numbers (din,mahine, saal ya tadad) ko Quran ki Aayato ki roshni mein sahi milan kijiye*
*(Ek option sirf ek baar hi use karna hai)*

A. Do (Two)
B. Teen (Three)
C. Chaar (four)
D. Paanch (Five)
E. Che (Six)
F. Saat (Seven)
G. Aaanth (Eight)
H. Sahi jawab ka intezar hai 

1. Zakriya Alaihi salam ke liye Nishani
2. Jaanwar /Parinde
3. Gaayein (Cows)
4. Zameeno aur aasmano ki takhleeq
5. Nooh Alaihi salam ki Quam ke boot
6. Musa Alaihi Salam ke liye Shart
7. Loot Alaihi salam ki Qaum par azab
8. Khwab ki tabir puchne wale Qaidee
9. Inmein se koi nahi


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1088*❗

*Sawal : Match the below numbers with its details in the light of Quranic verse , Number may be Day, Month, years or a digit*
*(One option should be used only one time, don't repeat)*

A. Two 
B. Three
C. Four
D. Five
E. Six
F. Seven
G. Eight
H. I want to know

1. Sign for the Zakriya Alaihi salam
2. Animals / Birds 
3. Cows
4. The Creation of the heavens and the earth
5. The idols of the people of Nooh Alaihi salam
6. The Conditions for the Musa Alaihi Salam
7. The Punishment opn the people of Loot Alaihi salam
8. The Prisoners who asked the interpretations of their dreams
9.  None of the above


*✅Sahi Jawab - 81 25 436💐*
------------
A. Do - Khwab ki tabir puchne wale Qaide
B. Teen - Zakriya Alaihi salam ke liye Nishani
C. Chaar  - Jaanwar / Parinde
D. Paanch - Nooh Alaihi salam ki Quam ke boot
E. Che - Zameeno aur aasmano ki takhleeq
F. Saat - Gaayein (Cows)
G. Aaanth - Musa Alaihi Salam ke liye Shart
-------
Aur uske saath *Do jawaan* Qaid khane me dakhil huye un mein se ek ne kaha mai dekhta hun ke Sharaab Nichorhta hun aur dusre ne kaha main dekhta hu ke Apne sar par roti utha raha hu ke usmein se Janwar khate hai humein iski Tabeer batla hum tumhe Nekokaar samajhte hain.
*Surah Yusuf 12 : 36*
-------
(Zakariya Alihi salam ne kaha) Eh Mere Rabb! Mere liye koi nishani Muqarrar kar Farmaya, (Allah ne farmaya) tere liye ye nishaani hai ke tu logo se *teen din* siwaye Ishaare ke baat na kar sakega aur apne Rabb ko bohut yaad kar aur Shaam aur Subah tasbeeh kar.
*Surah Aal-e-Imraan 3 : 41*
-------
Aur yaad kar jab Ibrahim Alaihis salaam ne kaha Eh mere RABB ! mujko dikha ke tu murde ko kis tarah zinda karega? Farmaya ke kya tum yaqeen nahi laate? kaha kyun nahi lekin chahta houn ke mere dil ko taskeen ho jaaye farmaya tu *chaar jaanwar udne waale* pakad  phir unhein apne saath hilale (Yani zabah kar ke mila de) phir har pahaad par unke badan ka ek ek tukda rakhde phir unko bula tere paas doudhte huye Aayeinge aur Jaan le ke Beshak Allah Zabardast hikmat wala hai.
*Surah Al-Baqrah 2 : 260*
-------
Aur kaha tum Apne Maboodoun ko hargiz na chorho aur na *"Wadd"* aur *"Suwa'a"* aur *"Yagooth"* aur *"Ya'ooq"* aur Na  *"Nasar"* ko Chorho.
*(Ye paanch Nooh Alaihi salaam ki Qaum ke boot they).*
*Surah Nooh 71 : 23*
-------
Beshak Tumhaara Rabb Allah hi hai jisne Aasmaan aur Zameen *che (Six) din* me banaye phir Arsh par Qayem huva.
*Surah Yunus 10 : 03*
-------
Baadshah ne kaha mai khwaab dekhta hu ke *Saat Moti Gaayein* hain unhein saat dubli Gayein kha rahi hain aur saat sabz khoshe hain aur saat khushk Eh darbaar waloun! Mujhe Mere khwaab ki tabeer batlao.Agar tum khwaab ki tabeer dene wale ho.
*Surah Yusuf 12 : 43*
--------
(Unhone Musa Alaihi salam se kaha ) Mai chahta hu ke apni In dono Betiyoun me se ek ka Tujh se Nikaah kardoun iss Shart par ke tu *Aaanth baras* tak meri noukri kare phir agar das poori karde toh teri taraf se Ehsan hai.
*Surah Al-Qasas 28 : 27*



*Answer 81 25 436*
----------
A. Two- The Prisoners who asked the interpretations of their dreams
B. Three - Sign for the Zakriya Alaihi salam
C. Four - Animals / Birds 
D. Five - The idols of the people of Nooh Alaihi salam
E. Six - The Creation of the heavens and the earth
F. Seven -Cows
G. Eight - The Conditions for the Musa Alaihi Salam
----
And there entered with him two young men in the prison. One of them said: "Verily, I saw myself (in a dream) pressing wine." The other said: "Verily, I saw myself (in a dream) carrying bread on my head and birds were eating thereof." (They said): "Inform us of the interpretation of this. Verily, we think you are one of the Muhsinun (doers of good)
Surah Yusuf 12 : 41
----
He said: O my Lord! Make a sign for me.Allah said:  Your sign is that you shall not speak to mankind for three days except with signals.
Surah Aal-e-Imraan 3 : 41
----
He said: Take four birds, then cause them to incline towards you (then slaughter them, cut them into pieces), and then put a portion of them on every hill, and call them, they will come to you in haste. And know that Allah is All-Mighty, All-Wise.
Surah Al-Baqara 2 : 260
----
And they (The people of Nooh Alaihi salam) said: You shall not leave your gods: nor shall you leave Wadd, nor Suwa', nor Yaghuth, nor Ya'uq nor Nasr' (these five are the names of their idols).
Surah Nooh 71 : 23
----
Indeed, your Lord is Allah, who created the heavens and the earth in six days and then established Himself above the Throne, arranging the matter [of His creation]. 
Surah Yunus 10:3
----
And [subsequently] the king said, Indeed, I have seen [in a dream] seven fat cows being eaten by seven [that were] lean, and seven green spikes [of grain] and others [that were] dry. O eminent ones, explain to me my vision, if you should interpret visions.
Surah Yusuf 12 :43
----
He said ( to Musa Alaihi salam), Indeed, I wish to wed you one of these, my two daughters, on [the condition] that you serve me for eight years; but if you complete ten, it will be [as a favor] from you. 
Surah Al-Qasas, 28:27



No comments:

Post a Comment