Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, February 17, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1090*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1090*❗

*Pahle sawal mein jawab ek se zyada hai*

*Sawal 1 : Wo kaunse do Nabee hain jinhone saath mein hijrat ki thi ?*

A. Loot Alaihi Salam
B. Ibrahim Alaihi salam
C. Yusuf Alaihi Salam
D. Shoaib Alaihi salam
E. Harun Alaihi Salam
F. Musa Alaihi salam
G. Dawud Alaihi salam
H. Sahi Jawab ka intezar hai

*Sawal 2 : Un dono ne kaunsi jagah hijrat ki thi ?*

A. Isfahan
B. Khurasan
C. Mulk-e-Sham
D. Makka
E. Madina
F. Yemen
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai



❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1090*❗

*First Quiz has more than one answer*

*Quiz 1 : What is the name of that two propets which migrated together ?*

A. Loot Alaihi Salam
B. Ibrahim Alaihi salam
C. Yusuf Alaihi Salam
D. Shoaib Alaihi salam
E. Harun Alaihi Salam
F. Musa Alaihi salam
G. Dawud Alaihi salam
H. I want to know

*Quiz 2 : They migarted to which place together ?*

A. Isfahan
B. Khurasan 
C. As-Sham (Syria)
D. Makka
E. Madina
F. Yemen
G. None of the above
H. I want to know




Sahi Jawab AB / D
------
Al Quran : Humne kaha eh aag Ibrahim par thandi aur rahat wali ho ja , aur unhone (qaum ne) unki burayee chahi aur hmne usko nakam kar diya , Aur hum usko (Ibrahil Alaihi Salam) aur Lut Alaihi salam ko bacha kar us zameen ki taraf le aaye jismein humne jahan ke liye barkat rakhi hai
Surah Anbiya, Aayat 69-71

Tafseer : Phir Allah suhanahu ne Lut Alaihi salam ka zikr kiya , jinka pura naam Lut bin Haran bin Azar tha wo Ibrahim alaihi salam par imaan laye they aur unke saath hijrat karke mulk e sham gaye they ek rivayat ke mutabiq lut alaihi salam mulk e sham mein rah gaye , Ibn Abbas Radi Allahu anhu farmate hai ki phir Ibrahim Alaihi salam ki hijrat makka mein jakar khatam huyee
Tafseer ibn kathir, Surah Anbiya, 70


Answer AB / D
-------
Al Quran : We (Allah) said: "O fire! Be you coolness and safety for Ibrahim (Abraham)!" And they wanted to harm him, but We made them the worst losers.And We rescued him and Lut (Lot) to the land which We have blessed for the 'Alamin (mankind and jinn)
Surah Anbiya, Verse 69-71

Tafseer: Then Allah mentions Lut, whose full name was Lut bin Haran bin Azar. He believed in Ibrahim and followed him, and migrated with him towards sham , Its beleived that Lut alaihi salam stayed there. Ibn Abbas said that migration (for Ibrahim Alaihi salam) was finished in makka at the end.
Tafseer ibn kathir, Surah Anbiya, Aayat 70



No comments:

Post a Comment