Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, February 22, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1094*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1094*❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Inmein se kin ke liye Qayamat ke din Noor ya Noor ke mimber ki khushkhabri hai ?*

A. Allah ki raah mein teer chalane wale
B. Gharwalo ke saath insaf karne wale
C. Tanhayee mein Allah ke khauff se rone wale
D. Juma ke din Surah kahaf ki tilawat karne wala
E. Allah ke liye aapas mein muhabbat karne wale
F. Aisa Momeen jiske baal islam ki halat mein safed ho jaye
G. Andhere mein Masjid jane wale
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1094*❗

Answer are more than one

*Sawal : For whom there will be a light or pulpit of light on the day of Judgement?*

A. The one who throw  arow in the way of Allah 
B. The one who do justice with his family members
C. The one who cry in alone being afraid of Allah
D. The one who recite Al-Kahaf on Friday
E. Those who love each other for the sake of Allah
F.  Any believer grows a grey hair in Islam
G. Those who walk to the Masjid in darkness
H. I want to know


✅ *Sahih Jawab : ABEFG* 💐
------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jisne Allah ke raaste mein ek teer chalaya to Qayamat ke roz ye uske liye ek noor hoga
Silsila As Sahiha, 2149
------
✦ Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo log insaf karte hain wo Allah subhanhu ke yahan Rahman Azwajal ke dahini taraf noor ke mimbaro par honge aur ye wo log honge jo apne gharwalon ke saath insaf karte hain aur jo kaam unko diya jata hai usmein insaf karte hain
Sahih Muslim, Jild 6, 4721
------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Andhero mein masjid mein jane walon ko khushkhabri de do ki unke liye Qayamat ke din Mukammal noor hoga
Sunan Abu Dawud, Jild 1 , 559 –Sahih
------
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu farmata hai mere liye aapas mein muhabbat karne walo ke liye noor ke mimbar honge jin par Anbiya aur shohda (Shaheed) bhi rashk karenge
Jamia Tirmidhi, Jild 2, 274-Sahih
-----
✦  RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya safed baal mat nikalo isliye ki jis musalman ka koi baal islam ki halat mein safed hua hai to wo uske liye Qayamat ke din Noor hoga , uske badle Allah Subhanahu uske liye ek neki likhega aur uska ek gunah mita dega 

Sunana Abu Dawud , 4202-Sahih


✅ *Answer: ABEFG* 💐
------
✦  RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said The one who throw a arow in the way of Allah , it will a light (Noor) for him on the Day of Judgment
Silsila As Sahiha, 2149
------
✦  RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Behold! the Dispensers of justice will be seated on the pulpits of light beside God, on the right side of the Merciful, Exalted and Glorious. those who do justice in their rules, in matters relating to their families and in all that they undertake to do.
Sahih Muslim, Book 20, 4493
------
✦  RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Give good tidings (news) to those who walk to the Masjid in darkness for having a perfect light on the Day of Judgment
Sunan Abu Dawud, Book 2, 561-Sahih
------
✦  RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Allah, the Mighty and Sublime, said Those who love each other for the sake of My Majesty shall be upon podiums of light, and they will be admired (desired ) by the Prophets and the martyrs.
Jamia Tirmidhi, Book 10, 2390-Sahih
------
✦  RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Do not pluck out grey hair. If any believer grows a grey hair in Islam, he will have light on the Day of Resurrection. (This is Sufyan's version). Yahya's version says: Allah will record on his behalf a good deed for it, and will blot out a sin for it.
Sunan Abu Dawud, Book 34, 4190-Sahih

No comments:

Post a Comment