Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Friday, January 31, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1075*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1075*❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Wo kya cheez hai jisko Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam dekh kar pareshan ho jate ?*

A. Bura Khwab
B. Tez Hawa
C. Badal
D. Zulm
E. Suraj Gahan (Sun Eclipse)
F. Chand gahan (Moon Eclipse)
G. Qabr
H. Sahi Jawab ka intezar hai


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1075*❗

*Answers are more than one*

*Sawal : What are those  things  if Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam see he would be tensed ?*

A. Bad dream
B. Wind
C. Clouds
D. Suppression
E. Sun Eclipse
F. Moon Eclipse
G. Grave
H. I want to know



✅ *Sahi Jawab BCE* 💐
------------
Aisha Radi Allahu Anna se riwayat hai Jab bhi Aap Sallallahu Alahih Wasallam badal ya hawa dekhte toh ( ghabraht aur Allah Subhanahu ka khauff)  Aap Sallallahu Alahih Wasallam ke chehre Mubarak se pehchan liya jata Aisha Radi Allahu Anha ne Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se pucha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam jab log badal dekhte toh khush hote hain ke ham se barish barsegi lakin uske khilaf Aap ko dekhti  hu ke aap badal dekhte hai toh nagawari ka asar Aap ke chehre Mubarak par nazar aajata hai Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  Eh Aisha (Radi Allahu Anha)  kya zamanat hai ke iss mein azab na ho ek qoum (aad)  par hawa ka azab aaya tha unhone jab azab dekha toh bole ye badal jo ham par barsega
Sahih Bukhari #4828, 4829

Abu Musa Radi Allahu Anhu se riwayat hai ek baar suraj grahan hua toh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  bahut ghabra kar uthe iss dar se ke kahi Qayamat na qayam ho jaye Aap Sallallahu Alahih Wasallam  ne masjid mein aakr bahut hi lamba qiyam,  lamba ruku aur lambe sajdon ke sath namaz padhi main ne kabhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko iss tarha karte nahi dekha tha Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne namaz ke baad farmaya ke ye nishaniyan hain jinhein Allah Subhanahu  bhejta hai ye kisi ki maut aur hayat ki wajah se nahi aati balki Allah Subhanahu inn ke zariye apne bando ko darata hai isliye jab tum is tarah ki koi cheez dekho toh fauran Allah Subhanahu  ke zikr aur us se Astigfar  ki taraf aajao
Sahih Bukhari  # 1059



✅ *Answer BCE* 💐
-----
Narrated Aisha: (the wife of the Prophet Sallallahu Alahih Wasallam) whenever he saw clouds or winds, signs of deep concern would appear on his face. I said, "O Allah's Messenger Sallallahu Alahih Wasallam When people see clouds they usually feel happy, hoping that it would rain, while I see that when you see clouds, one could notice signs of dissatisfaction on your face." He Sallallahu Alahih Wasallam said, "O `Aisha! What is the guarantee for me that there will be no punishment in it, since some people were punished with a wind? Verily, some people saw (received) the punishment, but (while seeing the cloud) they said, 'This cloud will give us rain.' 
Sahih Bukhari, Book 60, 353

Narrated Abu Musa Radi Allahu Anhu The sun eclipsed and the Prophet Sallallahu Alahih Wasallam got up, being afraid that it might be the Hour (i.e. Day of Judgment). He went to the Mosque and offered the prayer with the longest Qiyam, bowing and prostration that I had ever seen him doing. Then he said, "These signs which Allah sends do not occur because of the life or death of somebody, but Allah makes His worshipers afraid by them. So when you see anything thereof, proceed to remember Allah, invoke Him and ask for His forgiveness."
Sahih Bukhari,Book 18, 167


No comments:

Post a Comment