Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, March 20, 2019

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 741* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 741* ❗ 

*Dono sawalo mein jawab ek se zyada hai* 

*Sawal 1 : RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam kiske liye khas taur par agle, pichle, chup kar kiye huye aur elaniya taur par kiye huye tamam gunaho ki maafi ki dua farmayee?* 

A. Abu bakr radi allahu anhu ke liye 
B. Umar radi allahu anhu ke liye 
C. Ummat ke liye 
D. Apne aap ke liye 
E. Aisha radi allahu anha ke liye 
F. Fatima radi allahu anha ke liye 
G. Uthman Radi Allahu Anhu ke liye 
H. Sahi jawab ka intezar hai 

*Sawal 2 : Ye dua Aap SallAllahu Alaihi Wasallam kis waqt maanga karte they ?* 

A. Raat ko sote waqt 
B. Safar ke dauran 
C. Har namaz ke baad 
D. Tahajjud ke waqt 
E. Subah aur sham 
F. Neend se bedar hokar 
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi jawab ka intezar hai 
__________________________________ 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz* ❗ 

*For both quiz Answers are more than one* 

*Quiz 1 : For whom the RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam specially supplicated , to forgive the sins of past , future and the sins which were done secretly and publicly ?* 

A. Abu bakr radi allahu anhu  
B. Umar radi allahu anhu  
C. For his nation (Ummah) 
D. For himself 
E. Aisha radi allahu anha  
F. Fatima radi allahu anha 
G. Uthman Radi Allahu Anhu 
H. I want to know 

*Quiz 2 : At which time RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam used to supplicate ?* 

A. While sleeping 
B. During the journey 
C. After Every prayer D. In Tahajjud prayer 
E. Morning and evening 
F. While getting up in the morning 
G. After eating 
H. I want to know 


✅ *Sahi Jawab  CDE / CD* 💐 
--------- 
Aisha Radi Allahu Anha se riwayat hain ke jab maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi 
Wasallam ko khush dekha to kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Allah 
Subhanahu se mere liye dua kijiye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ya Allah Aisha (Radi Allahu Anha) ke Agle aur peechle gunah maaf farma jo chup kar kiye aur jo elaniya taur par kiye , Aisha Radi Allahu Anha muskura diye Yaha tak ke unka sir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki goud mein aa gaya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tumhein meri dua Achchi lagi unhone kaha mujhe kya hua ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki dua mujhe achchi na lage Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ki 
kasam main har Namaz mein apni Ummat ke liye yehi dua karta hu Al Silsila As Sahiha , 3383 

Ibn Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam raat ko Tahajjud mein ALLAH se ye dua kiya karte the Eh ALLAH tere hi liye taarif hai , tu aasman aur zameen ka RAB hai, aur tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka qayam karne wala hai aur un sabka jo kuch usmein hai.Tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka noor hai, tea qaul sachcha hai aur tera wada sachcha hai aur teri mulaqat sachchi hai aur jannat sach hai , dozakh sach hai aur Qayamat bhi sach hai , Eh ALLAH maine teri hi samne sir jhuka diya aur tujh par imaan laya 
Maine teri hi upar bharosa kiya aur teri hi taraf ruju kiya, maine teri hi madad ke saath muqabla kiya aur main tujh hi se insaf ka talabgar hu , tu meri magfirat farma un tamam gunaho se jo main pahle kar chuka hu aur jo baad mein mujhse hone wale hain ,jo (gunah) maine chup kar kiye aur jo khule aam kiye ( wo maaf farma)Tu hi mera maabud hai tere siwa aur koi ibadat ke layaq nahi 
Sahih Bukhari, 7499 , 7385 
_______________________ 

✅ *Answer CDE / CD* 💐 
----- 
Aisha Radi Allahu anha reported: When I saw the RasoolAllah  SallAllahu Alaihi Wasallam with a cheerful face, I said, Ya RasoolAllah  SallAllahu Alaihi Wasallam supplicate to Allah for me. RasoolAllah  SallAllahu Alaihi Wasallam said, O Allah, forgive Aisha for her past and future sins, in secret and in public. Aisha laughed so much that her head fell from his lap. The Prophet said to her, “Does my supplication make you happy?” She said, “Why would your supplication not make me happy?” The Prophet said, “By Allah, it is my supplication for my nation(ummah) in every prayer. 
Al Silsila As Sahiha , 3383 

Narrated Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Whenever the Prophet (ﷺ) offered the night (Tahajjud) prayer, he used to say, "O Allah! All the Praises are for You; You are the Light of the Heavens and the Earth. And all the Praises are for You; You are the Keeper of the Heavens and the Earth. All the Praises are for You; You are the Lord of the Heavens and the 
Earth and whatever is therein. You are the Truth, and Your Promise is the Truth, and Your Speech is the Truth, and meeting You is the Truth, and Paradise is the Truth and Hell (Fire) is the Truth and all the prophets are the Truth and the Hour is the Truth. O Allah! I surrender to You, and believe in You, and depend upon You, and repent to You, and in Your cause I fight and with Your orders I rule. So please forgive my past and future sins and those sins which I did in secret or in public. It is You Whom I worship, None has the right to be worshiped except You . Sahih Bukhari, Book 93, 590 

No comments:

Post a Comment