Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, March 20, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 729❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 729❗ 

*Dusre sawal ka jawab ek se zyada hai* 

*Sawal 1 : Wo kuansi Masjid hai jo RasoolAllah ﷺ ke zamane mein banayee gayee thi magar phir bhi RasoolAllah ﷺ ne usmein ek baar bhi namaz ada nahi ki?* 

A. Masjid Al Aisha 
B. Masjid Al Dirar 
C. Masjid AL Sabah 
D. Masjid AL Madani 
E. Masjid Al Meekat  
F. Inmein se koi nahi 
G. Sahi jawab ka intezar hai 

*Sawal 2 : RasoolAllah ﷺ ne usmein namaz ada kyu nahi ki ?* 

A. Wo madina se bahut dur thi 
B. Usko Abu jahal ne banwaya tha 
C. Allah subhanahu ne mana farma diya tha 
D. Wo masjid kufr karne ke liye banayee gayee thi 
E. Us Masjid ko banane mein sood ka maal kama mein liya gaya tha 
F. Wo masjid muslamano mein phoot daalne ke liye banayee gayee thi  
G. Sahi jawab ka intezar hai 
_________________________________ 

❗Only-Quran-Hadith Quiz❗ 

*Quiz 1 : What is the name of that masjid,  which was built on the time of RasoolAllah ﷺ but  he never prayed therein. ?* 

A. Masjid Al Aisha 
B. Masjid Al Dirar 
C. Masjid AL Sabah 
D. Masjid AL Madani 
E. Masjid Al Meekat  
F. Inmein se koi nahi 
G. I want to know 

*Quiz 2 : Why RasoolAllah ﷺ  never prayed in that masjid ?* 

A. It was too far from madina 
B. Abu jahal got built that masjid 
C. Allah subhanahu denied to pray in that masjid 
D. That masjid was built to disbelief  
E. The money of usuary (riba) were used to built that masjid 
F. That masjid was built to disunite the believers 
G. I want to know 


✅ *Sahi Jawab B CDF* 💐 
--------- 
Al Quran : Aur jinhone isliye Masjid (Al Dirar) banwayee ki (Musalmano ko) takleef pahuchaye aur kufr kare aur momeneo mein phoot daal de aur jo log Allah subhanahu aur uske Rasool ﷺ  se pahle jung kar chuke hain unke liye ghaat ki jagah banaye aur qasme khaye ki hamara maqsad to sirf bhalayee hi thi, magar Allah subhanahu ye gawahi deta hai ki ye jhuthe hain , tum us (masjid Al Dirar) mein kabhi jakar khade bhi na hona. Surah Tawba (10), Aayat 107-108 

Tafsir  : Madina mein ek shaks tha jiska naam Abu Amir rahib tha ye khazraj ke qabile mein se tha jhaliyat ke zamane mein nasrani (chirstian) ban gaya tha  badr ki jang huyee aur iss mai bhi Allah Subhanahu ne musalmano ko galib rakha to wo jal bhun gaya aur khullam khulla mukhalifat aur adawat karne lage yaha se bhag kar kuffar e Makka se mil gaya aur innhe muslmano se ladayee karne par amadaa karne laga 

Jab usne dekha ke uhad mein bhi uski chahat puri na huyee aur islam ka kalma buland par hi hai to ye yaha se Room ke baadshah harqulas ke paas pahuncha aur ussay Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se ladayee ke liye tayyar kiya usne bhi usay wada kar liya us waqt usne apne ham khayal logo ko munafiqana rang mai madeene shareef mein rehte sehtay thay aur jinke dil ab tak shaq wa shuba mein thay likha ke maine harqulas ko tayyar kar diya hai wo lashkar jarar le kar chadayee karne wala hai tum ek makan masjid ke naam se tamir karo taake mere maqsad jo aaye wo wahi rukhein wahi mashware ho aur hamare liye wo panah ki aur ghaat lagane ki mehfooz jagha ban jaye  

Unhone Masjid e Quba ke paas hi ek aur masjid ki tamir shuru kar di aur tabuk ki ladyee ke liye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki rawangi se pehle hi ussay khoob mazbut aur pukhta bana liya aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se kahne lage ke Aap hamari masjid mai tashreef laye aur namaz adaa kijiye take hamare liye ye baat hujjat ho jaye aur ham waha namaz shuru karen,  zaeef aur kamzor logo ko dur jaane mai badi taklif hoti thi khaas kar thandi ki raatoh mein kamzor aur beemar aur mazur log dur daraz ki masjid mai badi waqt se pochte hai islye hamne qareeb hi masjid bana li hai. 

Abhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam madeene shareef se ek din ya kuch kam ke fasle par thay ke Allah subhanahu ki taraf se wahi nazil huyee aur masjid Al Dirar ki haqeeqat Aap Sallahu Alaihi Wasallam par zahir kar di gayee aur iss ke banane ki niyat ka bhi ilm Aap Sallahu Alaihi Wasallam ko karwa diya gaya aur waha ki namaz se rok kar masjid e Quba mai jiski buniyad khof e illaihi par rakhi gayee thi namaz padne ka hukm diya gaya ,  islye Aap Sallahu Alaihi Wasallam ne wahi se muslmano ko bhej diya ke jao mere pahuchne se pehle us masjid ko tod do 
Tafsir Ibn kathir, Surah Tawba (10), Aayat 107-108 
_________________________________ 

✅ *Answer B CDF* 💐 
---------- 
Al Quran : And as for those who put up a mosque (Masjid Al Dirar) by way of harm and disbelief and to disunite the believers and as an outpost for those who warred against Allah and His Messenger (Muhammad صلى اﷲ علیه وسلم) aforetime, they will indeed swear that their intention is nothing but good. Allah bears witness that they are certainly liars. Never stand you therein.(In that masjid) 
Surah Tawba (10), Aayat 107-108 

*Explanation from Tafsir ibn kathir* 
---------- 
The reason behind revealing these honorable Ayat is that before the Messenger of Allah migrated to Al-Madinah, there was a man from Al-Khazraj called "Abu Amir Ar-Rahib (the Monk).'' This man embraced Christianity before Islam and read the Scriptures. 

After the battle of Uhud was finished, Abu `Amir realized that the Messenger's call was still rising and gaining momentum, so he went to Heraclius, the emperor of Rome, asking for his aid against the Prophet . Heraclius gave him promises and Abu `Amir remained with him. He also wrote to several of his people in Al-Madinah, who embraced hypocrisy, promising and insinuating to them that he will lead an army to fight the Messenger of Allah to defeat him and his call. He ordered them to establish a stronghold where he could send his emissaries and to serve as an outpost when he joins them later on.  

These hypocrites built a Masjid next to the Masjid in Quba', and they finished building it before the Messenger went to Tabuk. They went to the Messenger inviting him to pray in their Masjid so that it would be a proof that the Messenger approved of their Masjid. They told him that they built the Masjid for the weak and ill persons on rainy nights.  

When the Messenger of Allah came back from Tabuk and was approximately one or two days away from Al-Madinah, Jibril came down to him with the news about Masjid Ad-Dirar and the disbelief and division between the believers, who were in Masjid Quba' (which was built on piety from the first day), that Masjid Ad-Dirar was meant to achieve. Therefore, the Messenger of Allah sent some people to Masjid Ad-Dirar to bring it down before he reached Al-Madinah. 
Tafsir ibn kathir, Surah Tawba (10), Aayat 107-108 

No comments:

Post a Comment