Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, March 20, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 718❗

Only-Quran-Hadith Quiz 718

 

Sawal  : Qayamat ke din Munafiqo ke jism ka kaunsa hissa sabse pahle unke khilaf gawahi dega ?

  

A. Zuban (Tongue)

 B. Aankh (Eyes)

 C. Haath (Hand)

 D. Raan  (Thigh)

 E. Dil (Heart) 

 F. Kaan (Ears)

 G. Inmein se koi nahi

 H. Sahi jawab ka intezar hai

 

 Only-Quran-Hadith Quiz

 Quiz : On the day of Qayamah, which part of his body will be witness against hypocrite ?

 A. Tongue

 B. Eyes

 C. Hand

 D. Thigh

 E. Heart

 F.  Ears

 G. None of the above

 H. I want to know

   

  Sahi jawab D 💐

 --------------

Al Quran : Aur jis din Allah subhanahu ke dushman dozakh ki taraf chalaye jayege to wo rok liye jayenge .yahan tak ke jab wo is ke paas pahunch jayege to un ke kaan aur Aankhein aur chamdey (yani dosray aaza) unke khilaaf un ke aamaal ki gawahi denge. wo apne chamdo (yani aaza) se kahenge ke tum ne hamare khilaaf kyun gawahi di? woh kahenge ki jis Allah ne sab cheezon ko bolne ki quwwat bakhshi usee ne hum ko bhi bolne ki quwwat di aur usee ne tum ko pehli baar paida kya tha aur usee ki taraf tum ko lout kar jana hai.tum is ( baat ke khauf ) se to parda nahi karte they ke tumahre kaan aur tumhari Aankhen aur chamdey tumahrae khilaaf shahadat denge bulki tum yeh khayaal karte they ki Allah ko tumahre bahut se amlon ki khabar hi nahi

 Surah Fussailat (41) , Aayat 19-22

-------------

Tafsir : Abu musa ashari radi allahu anhu se rivayat hai ki Kafiro aur munafiqo ko jab hisab ke liye bulaya jayega aur unke aamal unko pesha kiye jayenge to wo qamein kha kha kar kahenge ki unhone ye sab nahi kiya , Eh Allah tere farishto ne wo likh diya hai jo maine nahi kiya , farishte kahenge tune falah falah din falah falah amal nahi kiya wo kahenge eh Allah teri ezzat ki qasam humne ye amal nahi kiya , phir unke munho par muhar laga di jayegi aur unke badan ke hisse gawahi denge , sabse pahle unki dahini raan (thigh) bolegi.
 Tafsir Ibn kathir , Surah Fussailat (41) , Aayat 22-23

 

  Answer D 💐 
----------
Al Quran : And you have not been hiding yourselves (in the world), lest your ears, and your eyes, and your skins should testify against you; but you thought that Allah knew not much of what you were doing.
Surah Fussailat (41) , Aayat 19-22

 Tafsir : Narrated by Abu Musa Radi allahu anhu that The disbeliever or the hypocrite will be called to account and his Lord will show him his deeds, but he will deny them and say, `O Lord, by Your glory, this angel has written about me something that I did not do.' The angel will say to him, `Did you not do such and such on such and such a day in such and such a place' He will say, `No, by Your glory O Lord, I did not do it.' When he does that, a seal will be placed over his  mouth. The first part of his body to speak will be his right thigh. ( means first of all it will be witness against them
Tafsir Ibn Kathir , Surah Fussilat ,verse 22-23

No comments:

Post a Comment