Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, February 10, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 696❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 696❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam madine mein tashreef laye to us waqt unhone logo se Jannat mein jane ke kuch aasan amal bataye they , wo amal kaun se they ?*

A. Salam karna
B. Khana khilana
C. Padodiyo ke saath achcha suluq karna
D. Rishtedaro ko milana
E. Ramazan ke roze rakhna
F. Zakat ada karna 
G. Raato ko namaz padhna
H. Sahi Jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*Answers are more than one*

*Quiz : When Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam first time came to madina he gave some easy tips to enter in the paradise , what were those tips ?*

A. Spread Salam
B. Feed others
C. Keep good relation with Neighbours
D. Keep good relation with relatives
E. Fasting in ramazan
F. Give charity
G. Pray during the night
H. I want to know


 ✅ *Sahi jawab ABDG* 💐
----------
Abdullah bin salam Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki  jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam madina tashrif laaye to log Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kay istaqbal ke liye daudhte huye aaye aur kahne lage ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  tashreef la chuke hain (aisa teen baar kaha). main bhi dekhne ke liye aaya Maine jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka chehra mubarak wazeh dekha to maine kaha  ye kisi jhoote shakhs ka chehra nahi ho sakta. pahli baat jo mai ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se suni wo ye thi ki Eh logo Salam ko aam karo, Khana khilao, Rishtedariyan milao (yani ristedaro ke saath achcha suluq karo), Raato ko namaz padho jab log so rahe hon, (ye sare amal karne se) tum jannat mai salamati ke sath dakhil ho jaoge.
Sunan Ibn majah, Jild 3, 132 -Sahih

 ✅ *Answer ABDG* 💐
----------
Abdullah bin Salam Radi Allahu Anhu said “When the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam came to Al-Madinah, the people rushed to meet him, and it was said:  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam has come (Three times it was said) , I came with the people to see him, and when I saw his face clearly, I came to know that his face was not the face of a liar. The first thing I heard him say was when He Sallallahu Alaihi Wasallam said: O people! Spread (the greeting of) Salam, feed others, keep good relation with relatives, and pray during the night when people are sleeping, (If you do so) you will enter Paradise with Salam.
Sunan Ibn Maja,Book 29,  3251-Sahih

No comments:

Post a Comment