Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, March 23, 2015

Hadith: Jannat mein ek Darakht hoga jiske saaye mein umdah aur tez raftaar ghode par sawar shaksh 100 saal tak chalta rahe phir.......



Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jannat mein ek Darakht hoga jiske saaye mein umdah aur tez raftaar ghode par sawar shaksh 100 saal tak chalta rahe phir.......

Abu Sa'id Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jannat mein ek Darakht hoga jiske saaye mein umdah aur tez raftaar ghode par sawar shaksh 100 saal tak chalta rahe phir bhi use tay ( complete) nahi kar sakega.
{Sahih Bukhari, Vol 8, 6553}

Sahal Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jannat wale (apne upar ke darjo ke) baalakhano (ghar) ko is tarah dekhege jis tarah tum Aasman mein sitaron ko dekhte ho
{Sahih Bukhari, Vol 8, 6555}

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab ALLAH taala se mangna ho to Jannat Al firdaus mango kyunki wo jannat ka sabse achcha aur buland darja hai.
{Sahih Bukhari, 2790}
------------------------------------------------------------
English translation:

Narrated Abu Sa'id Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: There is a tree in Paradise (so huge) that a fast (or a trained) rider may travel: for one hundred years without being able to cross it.
{Sahih Bukhari, Book 76, 559}

Narrated Sahl Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "The people of Paradise will see the Ghuraf (special abodes) in Paradise as you see a star in the sky
{Sahih Bukhari, Book 76, 561}

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, when you ask ALLAH (for something), ask for Al-firdaus which is the best and highest part of Paradise.
{Sahih Bukhari, Book #52, Hadith #48}

No comments:

Post a Comment