Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, March 23, 2015

Hadith: inmein se ek shaks peshab ke cheento se nahi bachta tha aur dusra chugalkhor tha isliye inhe Qabr mein azab ho raha hai







Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: inmein se ek shaks peshab ke cheento se nahi bachta tha aur dusra chugalkhor tha isliye inhe Qabr mein azab ho raha hai 

Hazrat Ibn Abbas Radhi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam madina munawwara ke ek baag se tashreef laye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne do insano ki aawaz suni jinhe unki Qabro mein azab diya ja raha tha phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya inhe azab ho raha hai wo bhi kisi bade gunah ki wajah se nahi bulki inmein se ek shaks peshab ke cheento se nahi bachta tha aur dusra chugalkhor tha , phir App Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne khajur ki ek hari shaakh mangwayee aur usko do hisso mein tod diya aur ek tukda ek ki Qabr par aur dusra dusre ki Qabr par gaad diya, phir farmaya ki shayad inke azab mein us waqt tak kami kar di jaye jab tak ki ye sukh na jaye
Sahih Bukhari, Vol 7, 6055
---------------------------------------
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم مدینہ منورہ کے کسی باغ سے تشریف لائے تو آپ نے دو (مردہ) انسانوں کی آواز سنی جنہیں ان کی قبروں میں عذاب دیا جا رہا تھا پھر نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ انہیں عذاب ہو رہا ہے اور کسی بڑے گناہ کی وجہ سے انہیں عذاب نہیں ہو رہا ہے۔ ان میں سے ایک شخص پیشاب کے چھینٹوں سے نہیں بچتا تھا اور دوسرا چغل خور تھا۔ پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے کھجور کی ایک ہری شاخ منگوائی اور اسے دو حصوں میں توڑا اور ایک ٹکڑا ایک کی قبر پر اور دوسرا دوسرے کی قبر پر گاڑ دیا۔ پھر فرمایا شاید کہ ان کے عذاب میں اس وقت تک کے لیے کمی کر دی جائے، جب تک یہ سوکھ نہ جائیں۔

------------------

Narrated Ibn Abbas Radhi allahu anhuma Once the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam went through the grave-yards of Medina and heard the voices of two humans who were being tortured in their graves. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "They are being punished, but they are not being punished because of a major sin, yet their sins are great. One of them used not to save himself from (being soiled with) the urine, and the other used to go about with calumnies ( Means he was backbiter) ." Then the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked for a green palm tree leaf and split it into two pieces and placed one piece on each grave, saying, "I hope that their punishment may be abated as long as these pieces of the leaf are not dried."
Sahih Bukhari, Vol. 8, Book 73, Hadith 81

No comments:

Post a Comment