❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1320* ❗
Ek baar ek Nabee ne apni ummat ke kahne par ek mojaza ki dua ki to Allah Subhanahu ne faramaya ki wo dua qubul to ho jayegi uske baad bhi agar unhone kufr kiya to unko saza di jayegi
*Sawal 1 : Wo mojaza kya tha ?*
A. Pahad se Oontni ka nikalna
B. Chand ke do tukde hona
C. Murdo ka zinda hona
D. Samundar ke beech rasta ban jana
E. Aasman se khane ka nuzul
F. Baitul Muqddas ki fateh
G. Inmein se koi nahi
H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma
*Sawal 2 : Wo Nabee Kaun they ?*
A. RasoolAllah SallAllaahu Alaihi Wasallam
B. Musa Alaihi Salam
C. Ibrahim Alaihi Salam
D. Eesa Alaihi Salam
E. Hood Alaihi Salam
F. Saleh Alaihi Salam
G. Inmein se koi nahi
H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma
Note : Agar kisi bhi sawal ka Jawab G ho to sahi jawab commets kijiye
❗Only-Quran-Hadith Quiz-1320 ❗
Once a prophet Supplicated to Allah for a miracle which was asked by his people, Allah said whoever disbelieves after that miracle I will punish him with a punishment by which I have not punished anyone among the worlds.
Quiz 1 : What was that miracle ?
A. She camel cameout from a mountain
B. Splitting the moon into two parts
C. Bringing the dead back to life
D. Splitting of sea to make a way
E. Table spread that descended from heaven
F. Victory of Baitul Muqddas
G. None of the above
H. O Allah increase my knowledge
Quiz 2 : Who was that Prophet ?
A. RasoolAllah SallAllaahu Alaihi Wasallam
B. Musa Alaihi Salam
C. Ibrahim Alaihi Salam
D. Eesa Alaihi Salam
E. Hood Alaihi Salam
F. Saleh Alaihi Salam
G. None of the above
H. O Allah increase my knowledge
Note : If your answer is option G please mention the correct answer to be declared a winner
💐 *Sahih jawab : ED* 💐✅
------
Al Quran : Jab Hawariyon ne kaha Eh Eesa (Alaihi Salam) Maryam ke bete , kya tera Rabb kar sakta hai ki ham par (khane ka) khwan bhara hua aasman se utarey , honhe kaha Allah se daro agar tum iman wale ho,wo bole ki hamari ye khwahish hai ki ham usmein se khayen aur hamare dil tasalli payein, Eesa (Alaihi salam) maryam ke bete ne kaha, Eh Allah hamare RABB hum par aasman se bhara hua dastarkhwan utar jo hamare pahlo aur pichlo ke liye eid ho aur teri taraf se ek nishani ho aur humein rizq de aur tu hi sabse behtar rizq dene wala hai Allah subhanahu ne farmaya beshak main wo tum par utarunga phir uske baad jo koi tum mein se nashukri karega to maine usko aisee saza dunga jo duniya mein kisi ko na di hogi
Surah Al Maida, 112-115
💐 *Answer : ED* 💐✅
------
[And remember] when the disciples said, "O Jesus, Son of Mary, can your Lord send down to us a table [spread with food] from the heaven? [Jesus] said," Fear Allah, if you should be believers."They said, We wish to eat from it and let our hearts be reassured and know that you have been truthful to us and be among its witnesses. Said Jesus, the son of Mary, "O Allah, our Lord, send down to us a table [spread with food] from the heaven to be for us a festival for the first of us and the last of us and a sign from You. And provide for us, and You are the best of providers."Allah said, "Indeed, I will sent it down to you, but whoever disbelieves afterwards from among you - then indeed will I punish him with a punishment by which I have not punished anyone among the worlds.
Surah Al Maida, 112-115
No comments:
Post a Comment