❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1317* ❗
*Jawab ek se zyada hai*
*Sawal : Quran majid ki tarif mein kaun kaun see batein Quran ya Hadith mein aayee hain ?*
A. Quran padhna sadqa dene ke barabar hai
B. Quran Chamkta hua Noor hai
C. Sahib e Quran 70 logo ki sifarish karwayega
D. Baar baar padhte rehne se bhi purana nahi hota
E. Quran Allah ka dastarkhwan hai
F. Quran ka ek sira Allah ke haath mein hai
G. jo shaksh Quran parh kar bhula de wo Qayamat ke din Allah se khali haath hokar milega
H. Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma
❗*Only-Quran-Hadith Quiz-1317* ❗
*Answers are more than one*
*Quiz : What are the characteristic of Quran according Quran or Hadith ?*
A. Reciting Quran is equal to the charity
B. Quran is the Clear light
C. The one who memorize the quran will intercede 70 people
D. The sweetness of Quran does not decreased by the continuous recitation
E. Quran is the banquet of Allah
F. Quran's one end is in the hand of Allah
G. The one who recites the Qur'an and forgets it will meet Allah on the Day of Judgment with empty-handed
H. O Allah increase my knowledge
💐 *Sahih Jawab : AB DE FG* 💐✅
------
✦ : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ye Quran ek Rassi (zariya) hai jiska ek sira Allah subhanahu ke haath mein hai aur dusra sira tumhare haath mein hai isko mazbuti se pakad lo kyunki uske tum kabhi bhi gumrah aur halak nahi honge
Al-Silsila-tus-Sahiha-920
✦ : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Buland aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki elaniya taur se sadqa dene wala aur ahista aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki chupke se sadqa dene wala
Sunan Abu Dawud 1320-Sahih
✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ye Quran Majid Allah subhanahu ka dastarkhwan hai jaha tak mumkin ho isski dawat qubul karo ye Quran majid Allah subhanahu ki rassi hai chamakta damakta noor aur nafa baksh ilaj hai jo iss par amal karen uske liye Nijat hai, ye jhukta nahi ke issko khada karna padhe, teda nahi hota ke seedha karna padhe, isske ajaib kabhi khatam na honge aur baar baar kasrat se padhte rehne se bhi purana nahi hota (yani iss se dil nahi bharta), iski tilawat kiya karo kyunki Allah Subhanahu iski tilawat par tumhein har harf ke badle das neikiya ka ajar ata farmata hai yaad rakho main ye nahi kehta ke alif laam meem ek harf hai balke Alif ek harf hai laam ek harf hai meem ek harf hai ( sirf Alif laam meem padhne se 30 neki mil jati hai)
Mustadarak Al-Hakim, 1/741 Sahih
✦ : Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh Quran parh kar bhula de wo Qayamat ke din Allah subhanahu se khali haath hokar milega
Sunan Abu Dawud 1461-Sahih
💐 *Correct Answer : AB DE FG* 💐✅
------
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Said One who recites the Qur'an in a loud voice is like one who gives charity openly and one who recites the Quran quietly is one who gives charity secretly
Sunan Abu Dawud, Book 5, 1328-Sahih
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Said Indeed this Qur’an is the banquet of Allah, so learn as much as you can from the banquet of Allah. Indeed this Qur’an is the strong rope of Allah and it is the clear light (of guidance) and it is a beautiful cure, a protection for those who cling to it and a salvation for those who follow it. Nothing is bent or corrupted except that the Qur’an rectifies it, nor deviated but that it reprimands them. Its marvels do not fade nor is the sweetness of it decreased by the frequency of those who recite it. So recite it, for indeed Allah will bestow upon you ten times the single reward for your recitation of each letter. I do not say Alif Laam Meem is a letter, but Alif is a letter, Laam is a letter and Meem is a letter. ( ex : When you say Alif Laam Meem you will get 30 good deeds)
Mustadarak Al-Hakim, 1/741 Sahih
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Verily, this Quran is a means (rope etc.). Its one end is in the hand of Allah and the other end is in your hands. Hold fast to it ( read it and follow it), if you do so you will never be lead astray or ruined ever again.
Al-Silsila-As-Sahiha-920
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said The one who recites the Qur'an and forgets it, but will meet Allah on the Day of Judgment in a maimed condition ( empty-handed).
Sunan Abu Dawud 1469-Sahih
No comments:
Post a Comment