Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, October 31, 2020

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1258 ❗

 ❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1258* ❗


*Sawal 1 : Ansar mein se sabse zyada maaldar sahabi kaun they ?*

*Sawal 2 :  Kaunse sahabi ne makka mein ye elan kiya tha ki koi bhi mushrik ab agle saal se Hajj karne nahi aayega ?*


A. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu

B. Abdul Rahman bin Awf Radi Allahu Anhu

C. Abu Said khudri Radi Allahu Anhu

D. Ubay ibn Kaab Radi Allahu Anhu

E. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu

F. Sad bin Ar-Rabi Radi Allahu Anhu

G. Innmein se koi nahi 

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1258* ❗


*Sawal 1 : Who was the richest Sahabi among Ansar ?*


*Sawal 2 :  Which Sahabi announced in Makka that No pagan (Mushrik) shall perform Hajj from next year?*


A. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu

B. Abdul Rahman bin Awf Radi Allahu Anhu

C. Abu Said khudri Radi Allahu Anhu

D. Ubay ibn Kaab Radi Allahu Anhu

E. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu

F. Sad bin Ar-Rabi Radi Allahu Anhu

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


*💐✅ Sahih Jawab: FG 💐✅*

-----

Saad Radi Allahu anhu ke walid se rivayat hai Jab Muhajir log madine me aaye toh Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne  Abdur Rahman bin Auf aur Sad bin Ar-Rabi Radi Allahu Anhuma ke darmiyan bhaichaarah karadiya Sa'ad Radi Allahu Anhu ne Abdul Rahman bin Auf Radi Allahu Anhu se kaha, *main Ansaar me sabse zyada maaldaar hu* isliye aap mera aadha maal le lein, aur mere do biwiya hain, aap unhein dekh le jo aapko pasand ho uske mutalliq mujhe batayein main usey tallaq de dunga, eddat guzarne ke baad aap us se nikah karle, isper Abdul Rahman bin Auf Radi Allahu Anhu ne kaha: Allah Subhanahu tumhare ghar walon mein aur maal  me barkat ata farmaye , yaha ka baazaar kidhar hai  Mujhe bata dijiye,  Chunanche maine Bani Qainqa'a ka baazaar unhein bata diya.

Sahih Bukhari-3780


Abu Hurairah Radi Allahu anhu ne kaha ki Abu bakr siddiq radi Allahu Anhu ne us hajj ke moqe par (jismein RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Abu bakr radi allahu anhu ko ameer banaya tha) mujhe bhi un elan karne walo mein rakha tha jinhe yaum e nahar (10 Dhul Hajj) ko isliye bheja tha ki wo elan kar de ki aane wale saal se koi mushrik hajj karne na aaye aur koi shakhs baitullah ka tawaf nanga hokar na kare, *magar phir uske baad RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Ali Radi Allahu ko bheja* aur unhe Surah Barat ( Surah Tawba)  padhne aur uske ahkam ka elan karne ka hukm diya *phir Ali radi Allahu Anhu ne yaum e nahar (10 dhul hajj) ke din Surah Barat ( Surah Tawba) padhkar uske ehkam ka elan kiya* aur ye bhi farmaya ki aane wale saal se koi mushrik hajj karne na aaye aur koi shakhs baitullah ka tawaf nanga hokar na kare

Sahih Bukhari-4655


*💐✅ Answer: FG 💐✅*

-----

Abu Huraira Radi Allahu Anhu said, "During that Hajj (in which Abu Bakr was the chief of the pilgrims) Abu Bakr sent me along with announcers on the Day of Nahr ( 10th of Dhul-Hijja) in Mina to announce: "No pagans shall perform, Hajj after this year, and none shall perform the Tawaf around the Ka`ba in a naked state. Then Allah's Messenger (ﷺ) sent `Ali bin Abi Talib Radi Allahu Anhu and ordered him to recite aloud in public Surat Bara'a ( Surah Tawba) , So Ali Radi Allahu Anhu, along with us, recited Surah Baraa (Surah tawba) (loudly) before the people at Mina on the Day of Nahr and announced; "No pagan (Mushrik) shall perform Hajj after this year and none shall perform the Tawaf around the Ka`ba in a naked state."

Sahih Bukhari-178


Narrated Sa`d's father:When the emigrants reached Medina. Allah's Messenger (ﷺ) established the bond of fraternity between `Abdur-Rahman and Sa`d bin Ar-Rabi. Sa`d said to `Abdur-Rahman, "I am the richest of all the Ansar, so I want to divide my property (between us), and I have two wives, so see which of the two you like and tell me, so that I may divorce her, and when she finishes her prescribed period (i.e. 'Idda) of divorce, then marry her." `Abdur-Rahman said, "May Allah bless your family and property for you; where is your market?" So they showed him the Qainuqa' market.

Sahih Bukhari, Book 58, Hadith 124

No comments:

Post a Comment