❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1255*❗
*Ek shaksh ko RasoolAllah SallAllahu alaihi wasallam ne farmaya ki Allah ne tumhare dil se raham nikal diya hai*
*Us shaksh ko aisa kyu farmaya ?*
A. Wo biwi ko maarta tha tha
B. Wo Apne bachcho ko maarta tha
C. Wo miskin ko khana nahi deta tha
D. Usne ek billi ko Qaid kar diya tha
E. Wo Jaanwaro par raham nahi karta tha
F. Wo silarahmi nahi karta tha
G. Inmein se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilma
(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)
❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1255*❗
*RasoolAllah SallAllahu Alaihi wasallam said to a person that Allah has taken away mercy from your heart*
*What that person used to do ?*
A. He used to beat his wife
B. He used to beat his children
C. He used not to feed the poor people
D. He improsoned a cat
E. He used not to show mercy on animals
F. He used not to the good with relatives
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilma
(Oh Allah increase my knowledge)
*💐✅ Sahih Jawab : G 💐✅*
-----
Aisha Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Dehati RasoolAllah SallAllahu alaihi wasallam ki Khidmat Me Hazir hua Aap log Baccho ko bosa (kiss) dete hain, hum to Inhein bosa nahi Dete, is par RasoolAllah SallAllahu alaihi wasallamne farmaya Agar Allah ne Tumhare Dil se Raham Nikal diya hai to main kya kar Sakta hoon
Sahih Bukhari 5998
Ayesha Radiallahu Anha se rivayat ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke paas baadiya ke kuch log aaye aur unhone pucha kya aap log apne bachcho ko bosa dete hain (yani chumte hain) ? Logo ne kaha haan, toh un logo ne kaha lekin Wallaah!hum toh apne bachcho ko bosa nahi dete, isper Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya: agar Allah Subhanahu ne tumhare andar se rahmat nikal di hai toh kya ho sakta hai!
Ibne Umar ki rivayat mein hai: tumhare dil se rahmat nikal di hai
Sahih Muslim 6027
*💐✅Answer : G 💐✅*
-----
Narrated Aisha Radi Allahu Anhu
A bedouin came to the Prophet (ﷺ) and said, "You (people) kiss the boys! We don't kiss them." The Prophet SallAllahu alaihi wasallam said, "I cannot put mercy in your heart after Allah has taken it away from it."
Sahih Bukhari 5998
Narrated Aisha Radi Allahu Anhu that there came a few desert Arabs to Allah's Messenger SallAllahu alaihi wasallam and said:
Do you kiss your children? He said: Yes. Thereupon they said: By Allah but we do not kiss our children. Thereupon Allah's Messenger (ﷺ) said: Then what can I do if Allah has deprived you of mercy? Ibn Numair said: (We has deprived) your heart of mercy.
Sahih Muslim, Book 30, 5735
No comments:
Post a Comment