Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, October 8, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1240*❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1240*❗


Sawal : Neeche diye gaye naamo mein se  Madina hijrat karne wale sahabiyo ke naam tarteeb se likhiye, inmein se jo sabse pahle Madina aaya unka naam sabse pahle phir unke baad , phir unke baad...

A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu
B. Umar Radi allahu anhu
C. Ubay ibn Kab Radi Allahu anhu
D. Bilal Radi Allahu anhu
E. Abdullah ibn maktoom Radi allahu anhu
F. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu anhu
G. Abu Musa Ashari Allahu anhu
H. Rabbi Zidni ilma

❗*Only-Quran-Hadith Quiz*❗

Quiz : Choose the names who migrated to Madina and Arrange them in the order, the one who came first should mention first

A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu
B. Umar Radi allahu anhu
C. Ubay ibn Kab Radi Allahu anhu
D. Bilal Radi Allahu anhu
E. Abdullah ibn maktoom Radi allahu anhu
F. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu anhu
G. Abu Musa Ashari Allahu anhu
H. Rabbi Zidni ilma


*💐✅ Sahih Jawab :  EDBAG 💐✅*
-----------
Al-Bara Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke (Muhajir) sahaba me sab se pehle Humare paas Madina tashreef laane wale Musab bin Umair aur Abdullah Ibn e Umme Maktoom Radi Allahu Anhuma they.Madina pahunch kar un buzrugon ne hume Quran Majeed padhana shuru kar diya.Phir Ammar, Bilal aur Saad Radi Allahu Anhum aaye. Aur phir Umar bin Khattab Radi Allahu Anhu bees (20) sahaba ko saath lekar aaye uske baad Nabi Kareem ﷺ tashreef laaye maine kabhi Madina walon ko itna khush hone wale nahi dekha tha, jitna wo Nabi Kareem ﷺ ki aamad par khush huye they. Bacchiyaan aur Bacche bhi kehne lage they ke Aap Allah ke Rasool hai, Humare yahan tashreef laaye hain.
Sahih Bukhari-4941

Abu Musa Radi Allahu Anhu se riwayat hai hume Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke (makka se)  nikalne ki khaber mili to hum yamen mein they hum bhi aap ki taraf hijrat karte huye nikal padhe main mere do bhai jinse main chota tha ek Abu bardash aur dusra Abu reham aur meri qoum mein se 50 se kuch upar  log nikle, Kaha hum kashti mein sawar huye to humari kashti ne hume habsha mein najashi ke yaha utar diya unke waha hum hazrat jafar ibn abi talib Radi Allahu Anhu aur unke sathiyon ke sath ho gaye Jafar Radi Allahu Anhu ne kana Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne hume yaha bheja hai aur hume rukhne ka hukm diya hai tum log bhi humare sath yahi rukho hum unke sath ruk gaye yaha tak ke hum sab ek sath wapas aaye 
hum Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se us waqt aakr mile jab Aap Sallallahu Alahih wasallam ne khaibar fateh kiya Aap Sallallahu Alahih wasallam ne humara bhi hissa nikala
Sahih Muslim 2502

✦ Abu Bakr Radi Allahu anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke saath Hijrat ki thi


*💐✅ Answer : :  EDBAG 💐✅*
-----------
Narrated Al-Bara Radi Allahu Anhu: The first of the companions of the Prophet (ﷺ) who came to us (in Medina), were Mus`ab bin `Umar and Ibn Um Maktum, and they started teaching us the Qur'an. Then came `Ammar, Bilal and Sa`d. Afterwards `Umar bin Al-Kkattab came along with a batch of twenty (men): and after that the Prophet (ﷺ) came. I never saw the people of Medina so pleased with anything as they were with his arrival, so that even the little boys and girls were saying, "This is Allah's Messenger (ﷺ) who has come." He (the Prophet (ﷺ) ) did not come (to Medina) till I had learnt Surat Al-Ala and also other similar Suras.
Sahih Bukhari-4941

Abu Musa Al Ashari Radi Allahu Anhu reported:We were in Yemen when we heard of the migration of Allah's Messenger (ﷺ). We also set out as immigrants to him. And I was accompanied by two brothers of mine, I being the youngest of them; one of them was Abu Burda and the other one was Abu Ruhm, and there were some other persons with them. Some say they were fifty-three or fifty-two persons of my tribe. We embarked upon a boat, and the boat sailed away to the Negus of Abyssinia. There we met Ja'far b. Abu Talib and his companions. Ja'far said: Allall's Messenger (ﷺ) has sent us here and has commanded us to stay here and you should also stay with us. So we stayed with him and we came back (to Medina) and met Allah's Messenger (ﷺ) when Khaibar had been conquered.
Sahih Muslim Book 31, 6096

1 comment: