Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, October 5, 2020

❗Only-Quran-Hadith Quiz 1237❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1237*❗


*Jawab ek se zyada hai*


*Sawal : Qayamat se pahle inmein se kaun kaun insano se baat karenge ?*


A. Darinde

B. Dabbatul Ard

C. Insan ki Raan (Thigh)

D. Koda (Whip)

E. Jutey ka Tasma

F. Dajjal

G. Yajuj Majuj 

H. Rabbi Zidni ilma


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1237*❗


*Answer are more than one*


*Quiz : Before the day of Qayamah who will speak to the people ?*


A. Predators 

B. A beast of earth (Dabbatul Ard()

C. Thigh

D. whip 

E. Straps of the sandal 

F. Dajjal

G. Yajuj Majuj 

H. Rabbi Zidni ilma


*πŸ’✅ Sahih Jawab :  ABCDEF πŸ’✅*

-----------

✦ Al Quran : Aur jab unke (nafarmano ke) baare mein (azab ka) wada pura ho jayega to hum unke liye zameen mein se ek 

jaanwar (Dabbatul Ard) nikalenge jo unse bayan kar dega (yani baat karega) isliye ki ye log hamari aayaton par imaan nahi laate they

*Surah An Naml (27) , Aayat 82*


✦ Rasool-Allah  Sallallahu Alahihi Wasallam ne farmaya:  Us zaat ki Qasam jiske haath me meri Jaan hai Us waqt tak Qayamat Qayam nahi hogi jab tak ke Darinde Insanon se Guftgu na karne lage , Aadmi se uske Kode (whip) ka kinara Guftagu karne lagega , Uska Jutey ka Tasma Guftgu karne lage aur uski Raan uske Kaam ki khabar dene lage jo uski biwi ne uski Gair mojudgi me anjaam diya hoga

*Jam e Tirmizi : 2181*


✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  Dajjal madine ki ek khari shor zameen tak pahunchega usper madine me dakhila toh haram hoga.(Madine se) us din ek shakhs uski taraf nikal kar badhega, yeh logo me ek behatreen neik mard hoga ya buzurg tareen logo me se hoga, woh shakhs kahega ki main gawahi deta hu ki, tu wahi Dajjal hai jiske mutalliq hamein Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne ittela dee thi, Dajjal kahega kya main usey qatal karke phir zinda kar dalu toh tum logo ko mere muamle me koi shaq rah jayega ? Iske hawwari kahenge nahi, chunanche dajjal unhein qatl karke phir zinda kar dega  toh wo banda kahega bakhuda ab toh mujhko pura haal malum ho gaya tu wahi dajjal hai, dajjal kahega laao isey phir qatal kardu lekin is martaba woh qaabu na paa sakega.

*Sahih al-Bukhari 1882*


*πŸ’✅ Answer :  ABCDEF πŸ’✅*

-----------

✦ Al Quran And when the Word (of torment) is fulfilled against them, We shall bring out from the earth a beast for them, to speak to them because mankind believed not with certainty in Our Ayat 

Surah An Naml (27) , Aayat 82


✦ ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  said: "By the One in Whose Hand is my soul! The Hour will not be established until predators speak to people and until the tip of a man's whip and the straps on his sandal speak to him, and his thigh informs him of what occurred with his family after him.

Jamia Tirmidhi 2181


✦ ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Ad-Dajjal will come and it will be forbidden for him to pass through the entrances of Medina. He will land in some of the salty barren areas (outside) Medina; on that day the best man or one of the best men will come up to him and say, 'I testify that you are the same Dajjal whose description was given to us by Allah's Messenger (ο·Ί) .' Ad-Dajjal will say to the people, 'If I kill this man and bring him back to life again, will you doubt my claim?' They will say, 'No.' Then Ad-Dajjal will kill that man and bring him back to life. That man will say, 'Now I know your reality better than before.' Ad-Dajjal will 

say, 'I want to kill him but I cannot.

Sahih Bukhari, Book 30, Hadith 106

1 comment: