Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, October 12, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1243*❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1243*❗


*Sawal : Wo kaunsa Azkar hai jo bande ke Aamal naame mein Noor ka sabab ban jata hai ?*

A. SubhanAllah
B. Alhamdulillah
C. La ilaha illAllah
D. SubhanAllah Walhamdulillah Wa Lailaha illah Wallahu Akbar
E. Ya Noor (Rozana 7 baar)
F. Astagfar
G. Inmein se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilma 
(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1243*❗

*Quiz : Which Azkar will be the light in the record of deeds ?*

A. SubhanAllah
B. Alhamdulillah
C. La ilaha illAllah
D. SubhanAllah Walhamdulillah Wa Lailaha illah Wallahu Akbar
E. Ya Noor (Daily 7 times)
F. Astagfar
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilma 
(Oh Allah increase my knowledge)

*💐✅ Sahih Jawab : C 💐✅*
-----------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki wafat ke baad Umar Radi Allahu anhu Talha Radi Allahu anhu ke paas guzre , toh unhone poocha ke kya wajeh hai ke mai tumko Ranjeeda paata houn ? Kya tumhein Apne Chachazaad bhai (Abu Bakr Radi Allahu anhu   ) ki khilafat giraan guzri hai .? Unhone  kaha  Nahi , lekin maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ko farmate huye suna hai : Mai ek baat jaanta hun agar koi usey Maut ke waqt kahega toh wo uske Naam e Aamaal ka Noor hoga , Aur Mout ke waqt uske Badan aur Rooh donoun ussey Rahat payeinge , lekin mai ye kalma Aapse daryaft na kar saka yahan tak ke Aapki wafat hogayi , Umar RAdi Allahu Anhu ne kaha ke main iss kalme ko jaanta houn , ye wahi kalam hai Jo Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne apne chacha (Abu Talib) se marte waqt padhne ke liye kaha tha (La ilaha illAllah) , aur agar aap ko issey behtar aur bayis e Najaat kisi Kalme ka Ilm hota toh wahi padhne ke liye farmate 
Sunan Ibne Majah 3795 -Sahih

*💐✅ Answer: C 💐✅*
-----------
Umar bin Khattab passed by Talhah, after the Messenger of Allah(ﷺ) had died, and said: 'Why do you look so sad? Are you upset because your cousin has been appointed leader?' He said: 'No, but I heard the Messenger of Allah(ﷺ) say: "I know a word which no one says at the time of death but it will be light in his record of deeds, and his body and soul will find comfort in it at the time of death, -but I did not ask him about it before he died.' He ('Umar) said: ' I know what it is. It is what he wanted his uncle (Abu Talib) to say (la ilaha illAllah) , and if he had known anything that would be more effective in saving him, he would have told him to say it.
Sunan Ibn Majah 3795-Sahih


1 comment: