Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, October 31, 2020

✦ : Neik Aamalon ke Qubuliyat ki Qurani dua











Bismillahirrahmanirraheem


✦ : Neik Aamalon ke Qubuliyat ki Qurani dua
--------
رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
Rabbana Taqabbal Minna innaka Antas Sameeul Aleem
--------
✦ : Al Quran : Eh Hamare Rabb hamse ye Khidmat Qubul farma , Beshak tu sunne wala , jaan ne wala hai
--------
اے ہمارے رب ہم سے یہ خدمت قبول فرما۔ بےشک تو سننے والا جاننے والا ہے
--------
✦ : एह हमारे रब्ब हमसे ये खिदमत कुबूल फरमा बेशक तू सुनने वाला , जानने वाला है
--------
✦ : Our Lord! Accept (this service) from us. Verily! You are the All-Hearer, the All-Knower
--------
Al Quran Surah Baqarah 2 : 127









 

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1258 ❗

 ❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1258* ❗


*Sawal 1 : Ansar mein se sabse zyada maaldar sahabi kaun they ?*

*Sawal 2 :  Kaunse sahabi ne makka mein ye elan kiya tha ki koi bhi mushrik ab agle saal se Hajj karne nahi aayega ?*


A. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu

B. Abdul Rahman bin Awf Radi Allahu Anhu

C. Abu Said khudri Radi Allahu Anhu

D. Ubay ibn Kaab Radi Allahu Anhu

E. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu

F. Sad bin Ar-Rabi Radi Allahu Anhu

G. Innmein se koi nahi 

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1258* ❗


*Sawal 1 : Who was the richest Sahabi among Ansar ?*


*Sawal 2 :  Which Sahabi announced in Makka that No pagan (Mushrik) shall perform Hajj from next year?*


A. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu

B. Abdul Rahman bin Awf Radi Allahu Anhu

C. Abu Said khudri Radi Allahu Anhu

D. Ubay ibn Kaab Radi Allahu Anhu

E. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu

F. Sad bin Ar-Rabi Radi Allahu Anhu

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


*💐✅ Sahih Jawab: FG 💐✅*

-----

Saad Radi Allahu anhu ke walid se rivayat hai Jab Muhajir log madine me aaye toh Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne  Abdur Rahman bin Auf aur Sad bin Ar-Rabi Radi Allahu Anhuma ke darmiyan bhaichaarah karadiya Sa'ad Radi Allahu Anhu ne Abdul Rahman bin Auf Radi Allahu Anhu se kaha, *main Ansaar me sabse zyada maaldaar hu* isliye aap mera aadha maal le lein, aur mere do biwiya hain, aap unhein dekh le jo aapko pasand ho uske mutalliq mujhe batayein main usey tallaq de dunga, eddat guzarne ke baad aap us se nikah karle, isper Abdul Rahman bin Auf Radi Allahu Anhu ne kaha: Allah Subhanahu tumhare ghar walon mein aur maal  me barkat ata farmaye , yaha ka baazaar kidhar hai  Mujhe bata dijiye,  Chunanche maine Bani Qainqa'a ka baazaar unhein bata diya.

Sahih Bukhari-3780


Abu Hurairah Radi Allahu anhu ne kaha ki Abu bakr siddiq radi Allahu Anhu ne us hajj ke moqe par (jismein RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Abu bakr radi allahu anhu ko ameer banaya tha) mujhe bhi un elan karne walo mein rakha tha jinhe yaum e nahar (10 Dhul Hajj) ko isliye bheja tha ki wo elan kar de ki aane wale saal se koi mushrik hajj karne na aaye aur koi shakhs baitullah ka tawaf nanga hokar na kare, *magar phir uske baad RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Ali Radi Allahu ko bheja* aur unhe Surah Barat ( Surah Tawba)  padhne aur uske ahkam ka elan karne ka hukm diya *phir Ali radi Allahu Anhu ne yaum e nahar (10 dhul hajj) ke din Surah Barat ( Surah Tawba) padhkar uske ehkam ka elan kiya* aur ye bhi farmaya ki aane wale saal se koi mushrik hajj karne na aaye aur koi shakhs baitullah ka tawaf nanga hokar na kare

Sahih Bukhari-4655


*💐✅ Answer: FG 💐✅*

-----

Abu Huraira Radi Allahu Anhu said, "During that Hajj (in which Abu Bakr was the chief of the pilgrims) Abu Bakr sent me along with announcers on the Day of Nahr ( 10th of Dhul-Hijja) in Mina to announce: "No pagans shall perform, Hajj after this year, and none shall perform the Tawaf around the Ka`ba in a naked state. Then Allah's Messenger (ﷺ) sent `Ali bin Abi Talib Radi Allahu Anhu and ordered him to recite aloud in public Surat Bara'a ( Surah Tawba) , So Ali Radi Allahu Anhu, along with us, recited Surah Baraa (Surah tawba) (loudly) before the people at Mina on the Day of Nahr and announced; "No pagan (Mushrik) shall perform Hajj after this year and none shall perform the Tawaf around the Ka`ba in a naked state."

Sahih Bukhari-178


Narrated Sa`d's father:When the emigrants reached Medina. Allah's Messenger (ﷺ) established the bond of fraternity between `Abdur-Rahman and Sa`d bin Ar-Rabi. Sa`d said to `Abdur-Rahman, "I am the richest of all the Ansar, so I want to divide my property (between us), and I have two wives, so see which of the two you like and tell me, so that I may divorce her, and when she finishes her prescribed period (i.e. 'Idda) of divorce, then marry her." `Abdur-Rahman said, "May Allah bless your family and property for you; where is your market?" So they showed him the Qainuqa' market.

Sahih Bukhari, Book 58, Hadith 124

Thursday, October 29, 2020

Mix Four Azkar, - 30



Bismillahirrahmanirraheem

اللَّهُ اللَّهُ رَبِي لاَ أُشْرِكُ بِهِ شَيْئًا
✦ Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa
✦:ALLAH , ALLAH mera Rab hai aur main uske saath kisi ko sharik nahi karta
✦:Allah , Allah is my Lord, I do not associate anything as partner with Him
-----------
الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
✦: Alhamdulillahi Rabbil Aalamin
✦:Tamam tarife Allah ke liye hain aur wahi sare jahan ka palne wala hai)
✦:All praise and thanks is for Allah alone
-----------
اَلْحَمْد لِلهِ كَثِيرًا
✦:Alhamdulillahi Kathira
✦:Allah ke liye bahut zyada tarifein hain
✦:All Praise is due to Allah Abundant
-----------
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ
✦ Allahumma Salli Ala Muhammed
✦: Eh Allah Rahmat nazil farma Muhammed ﷺ par
✦: Oh Allah send blessings on Prophet Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Mix Four Azkar, - 29

 



Bismillahirrhamanirraheem

اللّهُ أَكبَر
✦ Allahu Akbar
✦ Allah sabse bada hai
✦ Allah is the Greatest
==========
سُبْحَانَ اللّه
✦: SubhanAllah
✦: Allah ki zaat paak hai
✦:Glory be to Allah
===========
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ
✦: La Ilaha IlAllah
✦: Allah ke Siwa koi Maabood nahi
✦: There is no God Except Allah
==========
أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ
✦:Astagfirullah
✦: Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu
✦: I seek the forgiveness of Allah the Almighty

 

Wednesday, October 28, 2020

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 1257 ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1257* ❗


*Ek jagah aisee hai jaha par ek Nabee ne Shaitano ko Qaid kar diya tha aur wo Qayamat se pahle bahar niklal jayenge *


*Sawal 1 : Wo Shaitan kaha qaid hain ?*


A. Bahar-e-Mayyat

B. Damishq

C. Isfahan

D. Najran

E. Qustuntunia

F. Habsha

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


*Sawal 2 : Wo Shaitan jab niklenge to kya karenge ?*


A. Wo zameen par fasad phaila denge

B. Khoon rezi karenge

C. Logo ke samne Quran padhenge

D. Wo Yajuj Majuj ke lashkar se mil jayenge

E. Wo Dajjal ke giroh mein shamil ho jayenge

F. Wo iblis se jung karenge

G. Inmein se koi nahi

H. Rabbi Zidni ilma 

(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1257* ❗


*There is a place where a prophet shackled (chained) some devils and before Qayamah they will come out*


*Sawal 1 : Where are those devils shackled (chained)  ?*


A. Dead Sea

B. Damishq

C. Isfahan

D. Najran

E. Qustuntunia

F. Habsha

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)



*Sawal 2 : When those devils will come out what they will do ?*

A. they will spread turmoil on the earth

B. They will spread the blood shed on the earth

C. They will recite Quran upon people

D. they will join the army of Yajuj Majuj 

E. They will join the army of Dajjal

F. They will fight with Iblis

G. None of the above

H. Rabbi Zidni ilma 

(Oh Allah increase my knowledge)


*💐✅ Sahih Jawab: GC 💐✅*

-----

Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayath hai ki  kaha Samundar ki tay mein bahut se shaitan qaid hain jinhein Hazrat Sulaiman Alaihi Salam ne baandha tha , waqt aaraha ki woh niklenge aur logon ke samne Quran padhenge
Sahih Muslim-18


*💐✅ Answer : GC 💐✅*
-----
Narrated by Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu Indeed in the sea devils are chained up, whom Sulaiman Alaihi salam shackled and they are at the point of emerging. Then they will recite a Quran upon the people.

Sahih Muslim-18

Tuesday, October 27, 2020

Al Quran : Unki pahchan unke chehro par sajdo ke nishan hain



   

 

*Bismillahirahmanirraheem*

✦:  *Al Quran : Unki pahchan unke chehro par sajdo ke nishan hain*
------
✦: Al Quran: Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam Allah ke Rasool hain aur jo log unke saath hain wo kuffar par sakht hain aur aapas mein raham dil hain,tum unhe dekhoge ki ruku aur sujud kar rahe hain , Allah ka fazal aur khushnudi talash karte hain unki pahchan unke chehro par sajdo ke nishan hain
Surah Fath 48:29
------

محمد
الله کے رسول ہیں اور جو لوگ آپ کے ساتھ ہیں کفار پر سخت ہیں آپس میں رحم دل ہیں تو انہیں دیکھے گا کہ رکوع و سجود کر رہے ہیں الله کا فضل اوراس کی خوشنودی تلاش کرتے ہیں ان کی پہچان یہ ہے کی ان کے چہرو ں میں سجدوں کے  نشان ہے
سورة الفتح  ٤٨: ٢٩

------
✦: अल क़ुरान: मुहम्मद सलअल्लाहू अलैही वसल्लम अल्लाह के रसूल हैं और जो लोग उनके साथ हैं वो कुफ़्फ़ार पर सख़्त हैं और आपस में रहम दिल हैं,तुम उन्हे देखोगे की रुकु और सुजूद कर रहें हैं अल्लाह का फ़ज़ल और खुशनुदी तलाश करते हैं उनकी पहचान उनके चेहरों पर सजदों के निशान हैं
सुराह फ़त 48:29
------
✦: Al Quran: Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam is the Messenger of Allah. And those who are with him are severe against disbelievers, and merciful among themselves. You see them bowing and falling down prostrate (in prayer), seeking Bounty from Allah and (His) Good Pleasure. The mark of them (of their Faith) is on their faces (foreheads) from the traces of prostration (during prayers).
Surah Fath 48:29

Only-Quran-Hadith Quiz 1256

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1256*❗

*Dusre sawal mein jawab ek se zyada hai*

*Kuch log RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein dusre mulk se aaye aur aapse apni muhabbat ka izhar kiya us waqt Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne unhe kuch naseehat di* 

*Sawal 1 : Un logo ne apni muhabbat ka izhar kaise kiya tha ?*

A. Aapke haath chum kar
B. Aapke wuzu ka pani apne saro aur chehro par lagakar
C. Aapke liye mimbar banakar
D. Aapke liye Jihad mein jane ko tayyar hokar
E. Aapke haath par kabhi jhooth na bolne ki bait kar ke
F. Aapke haath par kabhi chori na karne ki bait kar ke
G. Inmein se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilma 
(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)

*Sawal 2 : Un logo ko kya naseehat di gayee thi ?*

A. Shirk na karna
B. Sach bolna
C. Amanat Ada karna
D. Ghar walon se achcha suluq karna
E. Namaz Qayam karna
F. Zakat ada karna
G. Achcha padosi banna
H. Rabbi Zidni ilma 
(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)
 
❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1256*❗

*Second quiz has more than one answer*

*Some people came to the  RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam from another country and showed their love towards him after that RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam gave him few advices* 

*Sawal 1 : How did they show their love ?*

A. By kissing his hand
B. By rubbing the remaining water of his ablution in their head and faces
C. By making a Mimbar for him
D. By being prepared for Jihad
E. By taking pledge that they will never tell a lie
F. By taking pledge that they will never steal 
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilma 
(Oh Allah increase my knowledge)

*Sawal 2 : What advices RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam gave them?*

A. Do not commit Shirk
B. Speak truth
C. Return the Amanah 
D. Be good with the famly
E. Performe Daily prayers
F. Paying Charity (zakat)
G. Be a good neighbour
H. Rabbi Zidni ilma 
(Oh Allah increase my knowledge)

*💐✅ Sahih Jawab : B/BCG 💐✅*
-----
Anas bin Malik Radi Allahu se rivayat hai  unhone kaha ki bahrain se kuch mehman RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ke paas Aakar thahre. RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne wudhu ka paani mangwaya aur wudhu kiya toh wo jaldi se aapke wudhu ke 
paani ki taraf  daude,  jo mila usey pi liya aur jo zameen per gir gaya usey apne chehro, siro aur seeno per laga liya.RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne unse kaha tumhein kis baat ne is kaam per ubhaara ? Unhone kaha, Ya RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam aapki muhabbat ne, shayad Allah Subhanahu humse muhabbat karne lage. Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya agar tumhein yeh baat pasand ho ki Allah aur uska Rasool tumse muhabbat kare toh phir teen aadat ki hifazat karo sachchi baat kahna, amaanat ada karna, aur behatreen padosi banna, kyunki padosi kotaklif dena nekiyo ko is tarah mita deta hai jis tarah suraj baraf ko pighla deta hai.
Al-Silsila As-Sahiha-78

*💐✅Answer : B/BCG 💐✅*
-----
Narrated by Anas bin Malik Radi Allahu anhu some guests from Bahrain came to RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam and stayed near him , RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ordered to bering the water for ablution (Wudhu) and performed ablution, the guests quickly ran towards him and drank the water of the ablution and the water which was fallen down they took it and applied on their faces, head and chest.RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam asked them for which reason you did this ? They replied because of your love and affection, 
in return for this may Allah Subhanahu keep love and affection towards us oh Prophet Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam !RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam said: if you like  that Allah Subhanahu and his prophet love you then guard these three habits :Say the truth, Pay the amanat and be a very good neighbour,  because hurting neighbours wipes out the good deeds as the heat of the sun melt the ice.
Al-Silsila As-Sahiha-78

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1255*❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1255*❗


*Ek shaksh ko RasoolAllah SallAllahu alaihi wasallam ne farmaya ki Allah ne tumhare dil se raham nikal diya hai*

*Us shaksh ko aisa kyu farmaya ?*

A. Wo biwi ko maarta tha  tha
B. Wo Apne bachcho ko maarta tha
C. Wo miskin ko khana nahi deta tha
D. Usne ek billi ko Qaid kar diya tha
E. Wo Jaanwaro par raham nahi karta tha
F. Wo silarahmi nahi karta tha
G. Inmein se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilma 
(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1255*❗

*RasoolAllah SallAllahu Alaihi  wasallam said to a person that  Allah has taken away mercy from your heart*

*What that person used to do ?*

A. He used to beat his wife
B. He used to beat his children
C. He used not to feed the poor people
D. He improsoned a cat
E. He used not to show mercy on animals
F. He used not to the good with relatives
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilma 
(Oh Allah increase my knowledge)



*💐✅ Sahih Jawab : G 💐✅*
-----
Aisha Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Dehati RasoolAllah SallAllahu alaihi wasallam ki Khidmat Me Hazir hua Aap log Baccho ko bosa (kiss) dete hain, hum to Inhein bosa nahi Dete, is par RasoolAllah SallAllahu alaihi wasallamne farmaya Agar Allah ne Tumhare Dil se Raham Nikal diya hai to main kya kar Sakta hoon
Sahih Bukhari 5998

Ayesha Radiallahu Anha se rivayat ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke paas baadiya ke kuch log aaye aur unhone pucha kya aap log apne bachcho ko bosa dete hain (yani chumte hain) ? Logo ne kaha haan, toh un logo ne kaha lekin Wallaah!hum toh apne bachcho ko bosa nahi dete, isper Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya: agar Allah Subhanahu ne tumhare andar se rahmat nikal di hai toh kya ho sakta hai! 
Ibne Umar ki rivayat mein hai: tumhare dil se rahmat nikal di hai
Sahih Muslim  6027

*💐✅Answer : G 💐✅*
-----
Narrated Aisha Radi Allahu Anhu
A bedouin came to the Prophet (ﷺ) and said, "You (people) kiss the boys! We don't kiss them." The Prophet SallAllahu alaihi wasallam said, "I cannot put mercy in your heart after Allah has taken it away from it."
Sahih Bukhari 5998

Narrated Aisha Radi Allahu Anhu that there came a few desert Arabs to Allah's Messenger SallAllahu alaihi wasallam and said:
Do you kiss your children? He said: Yes. Thereupon they said: By Allah but we do not kiss our children. Thereupon Allah's Messenger (ﷺ) said: Then what can I do if Allah has deprived you of mercy? Ibn Numair said: (We has deprived) your heart of mercy.
Sahih Muslim, Book 30, 5735



Monday, October 26, 2020

✦ : Namaz mein Tashahud (Attahiyat) aur Durud ibrahim ke baad padhne ki dua































Bismillahirrahmanirraheem

✦ :  Namaz mein Tashahud  (Attahiyat) aur Durud ibrahim ke baad padhne ki dua 

------

Rasool Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum mein se koi aakhri tashahud ko padh le to Allah subhanahu se chaar cheezo se panah maange dozakh ke azab se ,Qabr ke azab se , zindagi aur maut ke fitno se aur Maseeh Dajjal ke fitno se

Snnan Ibn Maja  909-Sahih

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ جَهَنَّمَ ، وَمِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ،  وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ، وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ

✦ Allahumma, inni Aauzubika min Azabi Jahannam,   Wa min Azabil Qabr

✦ Wa min fitnatil-mahya wal-mamati, wa min Fitnatil Maseeh Ad-Dajjal

✦ :  Eh Allah main teri panah maangta hu  Dozakh ke azab se aur Qabr ke azab se aur  maut aur zindagi ke fitno se aur Maseeh Dajjal ke fitno se 

------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب کوئی شخص آخری تشہد ( تحیات اور درود ) سے فارغ ہو جائے تو چار چیزوں سے اللہ کی پناہ مانگے   دوزخ کے عذاب سے، قبر کے عذاب سے، زندگی اور موت  کے فتنوں سے، اور مسیح دجال کے فتنوں سے

سنن ابن ماجہ - جلد ١-٩٠٩ صحیح 

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ جَهَنَّمَ ، وَمِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ،  وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ، وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ

 ا ے  الله میں تیری  پناہ مانگتا ہوں کے  دوزخ  کے عذاب سے، قبر  کے عذاب سے، ، زندگی اور موت  کے فتنوں سے، اور مسیح دجال کے فتنوں سے

------

रसूल अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया जब तुम में से कोई आखरी तशहहुद को पढ़ ले तो अल्लाह सुबहानहु से चार चीज़ो से पनाह माँगे दोज़ख़ के अज़ाब से ,क़ब्र के अज़ाब से , ज़िंदगी और मौत के फितनों  से और मसीह दज्जाल के फ़ितनों से 

सुनन इब्न माजा,जिल्द 1, 909-सही 

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ جَهَنَّمَ ، وَمِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ،  وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ، وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ

✦ :  अल्हुलाहुम्मा, इन्नी आऊज़ूबिका मीन अज़ाब अलक़ब्र , वा मीन अज़ाब ए जहन्नम, वा मीन फीतनातिल महया वा अलममात वा मीन फीतनातिल मसीह अद-दज्जाल 

✦ : एह  अल्लाह मैं तेरी पनाह माँगता हू  दोज़ख के अज़ाब से, और , क़ब्र के अज़ाब से ,  ज़िंदगी और मौत के फ़ितनों से  और मसीह दज्जाल के फ़ितनों से

------

✦ : Rasool Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said: When anyone of you finishes the last Tashah-hud (Attahiyat), let him seek refuge with Allah from four things: From the torment of Hell, from the torment of the grave, from the trials of life and death, and from the Fitnah (tribulation) of Masihud-Dajjal.

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ جَهَنَّمَ ، وَمِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ،  وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ، وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ

✦ Allahumma, inni Aauzubika min Azabi Jahannam,   Wa min Azabil Qabr

✦ Wa min fitnatil-mahya wal-mamati, wa min Fitnatil Maseeh Ad-Dajjal

✦ O Allah, I seek refuge with you  from the punishment of hell  and from the trial of the grave  and from the trials of life and death, and from the trials of the Dajjal.

Sunan Ibn Maja  909-Sahih








 

Hadith : Tumhari zuban ko har waqt Allah subhanahu ke zikr se tar rakho

 

 

 

 *Bismillahirahmanirraheem*

✦: Hadith : Tumhari zuban ko har waqt Allah subhanahu ke zikr se tar rakho
-------
✦: Ek shakhs ne arz kiya Ya Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam Islam ke ahkam bahut zyada ho gaye hain , Aap mujhe koi aisee cheez bata dijiye jisko mein hamesha ke liye ikhtiyar kar lu to Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tumhari zuban ko har waqt Allah subhanahu ke zikr se tar rakho
Jamia Tirmidhi 3375-Hasan
-------

ایک شخص نے  عرض کیا یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم اسلام کے احقام بہت زیادہ ہو گئے ہیں آپ مجھے کوئی ایسے چیز بتا دیجئے جس کو میں ہمیشہ کے لئے اختیار کر لوں تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تمہاری زبان کو ہر وقت الله سبحانه کے ذکر سے تر رکھو
جامع ترمیزی ٣٣٧٥ -حسن
-------
✦: एक शख्स  ने अर्ज़ किया या रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम इस्लाम के अहकाम बहुत ज़्यादा हो गये हैं , आप मुझे कोई ऐसी चीज़ बता दीजिए जिसको में हमेशा के लिए इख़्तियार कर लूँ  तो आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया तुम्हारी ज़ुबान को हर वक़्त अल्लाह सुबहानहु के ज़िक्र से तर रखो
जामिया तिरमिज़ी ,٣٣٧٥ -हसन
-------

✦: A man said: O Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam indeed, the laws of Islam have become too much for me, so inform me of a thing that I should stick to.” He sallallahu alaihi wasallam said: Always keep your tongue moist with the remembrance of Allah
Jamia Tirmidhi 3375-Hasan

Sunday, October 25, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1254*❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1254*❗


*Sawal : Wo Kaunsi Surah ki aayat hai jiske nazil hone ke baad se logo ko namaz ke dauran baatein karne se mana farma diya gaya ?*

A. Surah Al Baqarah
B. Surah Aal-Imran
C. Surah Nisa
D. Surah Hujraat
E. Surha As-Sajda
F. Surah Hajj
G. Inmein se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilma 
(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1254*❗

Quiz : By the revelation of the verse of which Surah, believer were ordered to be silent and prohibited from talking  ?

A. Surah Al Baqarah
B. Surah Aal-Imran
C. Surah Nisa
D. Surah Hujraat
E. Surha As-Sajda
F. Surah Hajj
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilma 
(Oh Allah increase my knowledge)


*💐✅Sahih Jawab: A 💐✅*
-----
Zaid bin Arqam Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ham  Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke peeche Namaz mein baat cheet kiya karte they , aadmi apne saath wale se baat kar liya karta tha , phir jab ye aayat nazil huyee to hamein khamosh rahne ka hukm diya gaya aur baat karne se mana kar diya gaya
*وَقُومُوا لِلَّهِ قَانِتِينَ‏*
Allah Subhanahu ke liye Adab ke saath khade raha karo (Surah Baqarah 2:238)
Jamia Tirmidhi 405-Sahih



*💐✅Answer : A 💐✅*
-----
Zaid bin Arqam Radi Allahu Anhu narrated We used to talk behind Allah's Messenger Sallallahu Alaihi Wasallamduring the Salat, a man among us would talk to his companions next to him until (the following) was revealed: 
*وَقُومُوا لِلَّهِ قَانِتِينَ‏*
And stand before Allah with obedience. (2:238) So we were ordered to be silent and prohibited from talking."
Jamia Tirmidhi 405-Sahih


Pahad aur darakht Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ko salam kahte they

 

 


*Bismillahirahmanirraheem*

✦: Pahad aur darakht Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ko salam kahte they
-----
✦: Ali Ibn Talib Radi Allahu anhu farmate hain ki Main Makka mein Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam  ke saath tha , hum kisi bhi janib se nikalte aur Aap  SallAllahu Alaihi Wasallam ke samne koi pahad ya darakht aata to wo kahta As Salamu Alaika Ya RasoolAllah (Eh Allah ke Rasool aap par salamati ho)
Al-Silsila As-Sahiha-3544

-----
علی بن ابی طالب رضی اللہ عنہ  فرماتے ہیں کی ،میں مکہ میں رسول الله  صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ تھا ۔ہم کسی  بھی جانب سے نکلتے اور آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے سامنے کوئی پہاڑ یا درخت آتا تو وہ کہتا  السلام عليك يا رسول الله یعنی  اے اللہ کے رسول آپ پر سلامتی ہو۔
السلسلہ صحیحہ - ٣٥٤٤

-----
✦:  अली इब्न तालिब रदी अल्लाहू अन्हु फरमाते हैं की मैं मक्का में रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम   के साथ था , हम किसी भी जानिब से निकलते और आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  के
सामने कोई पहाड़ या दरख़्त आता तो वो कहता अस सलामू अलयका या रसूलअल्लाह  (एह अल्लाह के रसूल आप पर सलामती हो)
अल-सिलसिला स-सहिहा-3544

-----
✦:Narrated by Ali ibn talib Radi Allahu Anhu I was with the Nabee SallAllahu Alaihi Wasallam in the makka and whenever we used to pass by any mountain or tree they used to send salam on Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam by saying As Salamu Alaika Ya RasoolAllah (Peace and Mercy be upon you Oh Messenger of the Allah)
Al-Silsila As-Sahiha-3544
 

Saturday, October 24, 2020

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1253*❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1253*❗


*Quran ke in lafzo ko unke mayno se milan kijiye - Match the following (Refer : Surah Haqqa -1-25)*

A. كَذَّبَتْ - Kadhabat
B. أَيَّامٍ - Ayyam
C. تَذْكِرَةً - Tadhkiratan
D. خَافِيَةٌ - Khafiya
E. دَانِيَةٌ - Daniyah
F. كُلُوا - Kulu
G. الْخَالِيَةِ - Al Khaliyah
H. Sahi Jawab ka intezar hai
----------
1. Qayamat
2. Jhuthlaya
3. Khao
4. Din
5. Ibratnaak
6. Raaz
7. Jhuke huye
8. Gujishta
9. Inmein se koi nahi


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1253*❗

*Match the following words with theirs Meaning (Refer : Surah Haqqa -1-25)*

A. كَذَّبَتْ - Kadhabat
B. أَيَّامٍ - Ayyam
C. تَذْكِرَةً - Tadhkiratan
D. خَافِيَةٌ - Khafiya
E. دَانِيَةٌ - Daniyah
F. كُلُوا - Kulu
G. الْخَالِيَةِ - Al Khaliyah
H. Waiting for the Correct Answer
----------
1. Qayamat
2. Denied
3. Eat
4. Days
5. Awful
6. Secret
7. Hanging near
8. Past
9. None of the above

*💐✅Sahih Jawaab : 2496738 💐✅*
-----
*كَذَّبَتْ* ثَمُودُ وَعَادٌ بِالْقَارِعَةِ

Samood aur Aad ne Qayamat ko *Jhutlaya* tha
Surah Al-Haqqah - 69:04
-----
سَخَّرَهَا عَلَيْهِمْ سَبْعَ لَيَالٍ وَثَمَانِيَةَ *أَيَّامٍ*

Wo un par saat raatein aur Aath (8) *Din* lagataar chalti rahi
*Surah Al-Haqqah - 69:07*
-----
لِنَجْعَلَهَا لَكُمْ *تَذْكِرَةً* وَتَعِيَهَا أُذُنٌ وَاعِيَةٌ

Taake hum usey tumhaare liye *Yaadgaar* banaye aur usko yaad rakhne wale kaan yaad rakhein
*Surah Al-Haqqah - 69:12*
-----
 يَوْمَئِذٍ تُعْرَضُونَ لَا تَخْفَىٰ مِنكُمْ *خَافِيَةٌ*

Us din tum pesh kiye jaoge tumhara koi *Raaz* Chupa huwa nahi rahega
*Surah Al-Haqqah - 69:18*
-----
قُطُوفُهَا *دَانِيَةٌ*

Jiske Mewe *Jhuke* honge
*Surah Al-Haqqah - 69:23*
-----
*كُلُوا* وَاشْرَبُوا هَنِيئًا بِمَا أَسْلَفْتُمْ فِي الْأَيَّامِ *الْخَالِيَةِ*

*Khao* aur piyo un kamon k badle me jo tum ne *Guzishta* Dinon me aage bheje they.
*Surah Al-Haqqah - 69:24*



*💐✅ Correct Answer : 2496738 💐✅*
-----
*كَذَّبَتْ* ثَمُودُ وَعَادٌ بِالْقَارِعَةِ

Thamud and 'Aad *Denied* the Striking Calamity.
Surah Al-Haqqah - 69:04
-----
سَخَّرَهَا عَلَيْهِمْ سَبْعَ لَيَالٍ وَثَمَانِيَةَ *أَيَّامٍ*

Which Allah imposed upon them for seven nights and eight *Days* in succession
*Surah Al-Haqqah - 69:07*
-----
لِنَجْعَلَهَا لَكُمْ *تَذْكِرَةً* وَتَعِيَهَا أُذُنٌ وَاعِيَةٌ

That We might make it for you a *Reminder* and [that] a conscious ear would be conscious of it.
*Surah Al-Haqqah - 69:12*
-----
 يَوْمَئِذٍ تُعْرَضُونَ لَا تَخْفَىٰ مِنكُمْ *خَافِيَةٌ*

That Day, you will be exhibited [for judgement]; not Hidden among you is any *Secret*
*Surah Al-Haqqah - 69:18*
-----
قُطُوفُهَا *دَانِيَةٌ*

Its [fruit] to be picked *Hanging Near*
*Surah Al-Haqqah - 69:23*
-----
*كُلُوا* وَاشْرَبُوا هَنِيئًا بِمَا أَسْلَفْتُمْ فِي الْأَيَّامِ *الْخَالِيَةِ*

 [They will be told], " *Eat* and drink in satisfaction for what you put forth in the days *Past*
*Surah Al-Haqqah - 69:24*


❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1252*❗

 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1252*❗


*Sawal : Wo kya hai jis se RasoollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne panah maanga aur farmaya ye bura dost hai ?*

A. Dilo ka fitna
B. Hasad
C. Bhookh
D. Bukhl (Kanjusi)
E. Haram Maal
F. Budhapa
G. Inmein se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilma 
(Eh Allah mere ilm mein barkat ata farma)



❗*Only-Quran-Hadith Quiz 1252*❗

*Sawal : From Which thing RasoollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam seek refuge and said this is a worst companion ?*

A. Trial of heart
B. Jelousy
C. Hunger
D. Miserliness
E. Illegal wealth
F. Old age
G. None of the above
H. Rabbi Zidni ilma 
(Oh Allah increase my knowledge)


 💐✅ Sahih Jawab : C 💐✅
-----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam farmaya karte they Eh Allah mein bhookh se teri panah mangta hu kyu ke wo bura saathi (bura dost) hai aur Khayanat se bhi kyu ke wo buri adat hai

Sunan Nasai 5471-Sahih


 💐✅ Answer: C 💐✅
-----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam used to say:
O Allah, I seek refuge in You from hunger, for it is a bad companion, and I seek refuge with You from treachery, for it is a bad thing to hide in one's heart
Sunan Nasai 5471-Sahih


Thursday, October 22, 2020

Mix Four Azkar - 28

 



Bismillahirrahmanirraheem

الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
✦: Alhamdulillahi Rabbil Aalamin
✦:Tamam tarife Allah ke liye hain aur wahi sare jahan ka palne wala hai)
✦:All praise and thanks is for Allah alone
------
يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
✦ Eh Zinda , Hamesha  Qayam rahne  wale tere rahmat ke waseele se faryad karta hu
✦ Oh Alive and everlasting one , I seek relief by your mercy.
------
اللَّهُـمّ إنِّي أَسْأَلُكَ الْجَنَّة الْفِرْدَوْسَ
Allahumma inni Asaluka Jannat-Al-Firdaus
✦ Ea Allah main tujhse Jannat Al-firdaus ka sawal karta hu
✦ Oh Allah I Ask you for Jannat Al-Firdaus
------
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ
✦ Allahumma Salli Ala Muhammed 
✦: Eh Allah Rahmat nazil farma Muhammed  Sal-Allahu Alaihi Wasallam par
✦: Oh Allah send blessings on Prophet Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam





Wednesday, October 21, 2020

✦ Qul Huwallahu Ahad ( yani Surah Al ikhlas) Ek teehaii (1/3) Quran ke barabar hai....

















Bismillahirrahmanirrahim

✦ Ek baar Surah Al-ikhlas padho aur ek tihaii Quran padhne ka sawab kama lo kyunki.....
--------------
✦  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tum mein se koi is baat se thak jata hai ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ? Sahaba Radi Allahu Anhu ma ne arz kiya ki Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey parh saktey hain ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qul Huwallahu Ahad ( Surah ikhlas) Ek teehaii Quran ke barabar hai 
Sahih Muslim, 1886

✦ Rasool-Allah Sall-Allahu alaihi wasallam hamarey pass aaye aur farmaya main tumhare samne Ek Tihaii Quran parhta hu , phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qul Huwallahu Ahad (Surah Al-ikhlas) parhi yahan tak ki is surah ko khatam kiya 
Sahih Muslim, 1889
-------------
حضرت ابو درداء رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے اور انھوں نے نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم سے روایت کی۔آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کیا تم میں سے کوئی شخص اتنا بھی نہیں کرسکتا کہ ایک رات میں تہائی قرآن کی تلاوت کرلے؟ انھوں ( صحابہ کرام رضوان اللہ عنھم اجمعین ) نے عرض کی: ( کوئی شخص ) تہائی قرآن کی تلاوت کیسے کرسکتاہے؟آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ ایک تہائی قرآن کے برابر ہے
صحیح مسلم ١٨٨٦ 

حضرت ابو ہریرۃ رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت کی،انھوں نے کہا
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم باہر نکل کر ہمارے پاس تشریف لائے اور فرمایا: میں تمھارے سامنے تہائی قرآن کی قراءت کرتا ہوں۔ پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ ﴿ اللَّهُ الصَّمَدُ پڑھا یہاں تک کہ اسے ( سورت ) کو ختم کردیا
صحیح مسلم ١٨٨٩ 
-------------
✦ Aao hum bhi surah ikhlas padhkar ye sawab kama lete hain 
----
بسم الله الرحمن الرحيم

قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ
لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ
سورة الإخلاص
---
✦ Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad
✦ Al Quran : Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai
Surah Al-ikhlas (112) 
--------------
✦अल क़ुरान : कुल हुवल्लाहु अहद अल्लाहुस-समद लम यलीद वा लम युलद वा लम यकुल्लाहू कुफुवान अहद 
कह दो वो अल्लाह एक है, अल्लाह बेनीयाज़ है, ना उसकी कोई औलाद है और ना वो किसी की औलाद है, और उसके बराबर का कोई नही है 
सुरह अल-इख्लास (112) 

अबू दर्दा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया क्या तुम में से कोई इस बात से थक जाता है की हर रात एक तिहाई कुरान पढ़ ले सहाबा रदी अल्लाहु अन्हुमा ने अर्ज़ किया की तिहाई कुरान (एक रात में) कैसे पढ़ सकते हैं , आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया कुल हुवल्लाहु अहद ( सुरह ईखलास ) एक तिहाई कुरान के बराबर है 
सही मुस्लिम , 1886

अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम हमारे पास आए और फरमाया मैं तुम्हारे सामने एक तिहाई क़ुरान पढता हूँ , फिर आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने क़ुल हुवल्लाहू अहद (सुराह अल-इख्लास) पढ़ी यहाँ तक की इस सुरह को ख़तम किया 
सही मुस्लिम, 1889
-----------
✦ Recite Surah Ikhlas once and get the hasnah of reciting one third of the Quran because......
----------------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam said Is any one of you incapable of reciting a one third of the Qur'an in a night?  Sahaba Radi allahu anhuma  asked: How could one recite a one third of the Qur'an (in a night)? Upon this Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam said "Qul Hu Wallahu Ahad" (means Surah Ikhlas) is equivalent to a one third of the Qur'an. 
Sahih Muslim, Book 004, 1769 

✦ Once Rasool-Allah  Sal-Allahu Alaihi wasallam came out to the sahaba and said: I am going to recite before you one-third of the Qur'an. and then he recited Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad...." to the end of the Surah.(Surah Ikhlas) 
Sahih Muslim, Book 004, 1772
-----------------
✦ Lets Get this Hasnah by reciting this...

بسم الله الرحمن الرحيم
قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ
لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ
✦ Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad

Translation: Say He is ALLAH , the One and Only 
ALLAH , the Eternal, He begets not, nor was He begotten.
And there is none like unto Him. 
AL Quran , Surah Al-ikhlas (112)