Bismillahirrahmanirrahim
.
Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki
Hasan Aur Husssain Radi Allahu Anhuma
se Muhabbat
------
.
Buraydah Radi Allahu Anhu se rivayat hai
ki Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi
Wasallam Khutba farma rahe the itne mein
Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhumu
ladkhadate huye udhar aa gaye us waqt wo
surkh dhari wala kurta pahney huye they,
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam unko
dekhkar Mimbar se utrey aur unko Godi
mein utha liya phir Mimber par chad gaye
, iskey baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam
alaihi wasallam ne farmaya ki Beshaq
tumharey Maal aur Aulad Aazmayeesh hai
mainey in dono ko dekha to Sabr na kar
saka uske baad Aap Sallallahu Alaihi
Wasallam phir Khutba farmane lage
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1109 Sahih
----------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ہمیں خطبہ دے رہے تھے، اتنے میں حسن اور حسین رضی اللہ عنہما دونوں لال قمیص پہنے ہوئے گرتے پڑتے آئے آپ صلی اللہ علیہ وسلم منبر پر سے اتر پڑے، انہیں اٹھا لیا اور لے کر منبر پر چڑھ گئے پھر فرمایا: اللہ نے سچ فرمایا ہے: «إنما أموالكم وأولادكم فتنة» ( التغابن: ۱۵ ) تمہارے مال اور اولاد آزمائش ہیں میں نے ان دونوں کو دیکھا تو میں صبر نہ کر سکا ، پھر آپ نے دوبارہ خطبہ دینا شروع کر دیا۔
سنن ابی داؤد جلد ۱ ١١٠٩
-------
Narrated Buraydah ibn al-Hasib: The
Apostle of Allah (peace_be_upon_him)
delivered a speech to us; meanwhile Al-
hasan and al-Hussain Radi Allahu Anhuma
came upon there stumbling, wearing red
shirts. He came down from the pulpit, took
them and ascended it with them. He
Sallallahu Alaihi Wasallam then said: Allah
truly said: "Your property and your children
are only trial" , I saw both of them, and I
could not wait. Afterwards he resumed the
speech.
Sunan Abu Dawud, Book#3, Hadith #1104-
Sahih
No comments:
Post a Comment