Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, August 12, 2020

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1195* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1195* ❗

*Pahle sawal mein Jawab ek se zyada hai*

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne jab baadhshaho ko islam ki dawat dene ke liye khat likhne ka irada kiya to logo ne kaha ki jab tak us par muhar na lagi wo log khat Qubul nahi karte, jiski wajah se aapne ek muhar wali anguthi banwayee

*Sawal 1 : Wo kaun kaun se baadhshah they jinko Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne khat likhne ka irada kiya tha ya unko khat likhe they ?*

*Sawal 2 : inmein se kiski janaze ki namaz  Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne padhi thi ?*

A. Kisra
B. Rome ka baadshah
C. Yemen ka baadshah
D. Mulk e Sham ka baadshah
E. Musalamah Kazzab 
F. Aswad Al Ansi
G. Habsha ka baadshah
H. Sahi Jawab ka intezar hai



❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1195* ❗

*The first question has more than one answer*

When Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam decided to write the letter to the emperors of different countries , peope said they would not accept the letter without the seal over it so Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam got a ring with the seal over it

*Sawal 1 : To whom Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam intended to write a letter ?*

*Sawal 2 : Whose funerel prayer Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam performed ?*

A. Kisra
B. The emperor of Rome
C. The emperor of  Yemen
D. The emperor of Syria
E. Musalamah Kazzab 
F. Aswad Al Ansi
G. The emperor of Ethiopia
H. I want to know

*💐✅ Sahih Jawab : ABG / G  💐✅*
-----
Anas Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne Kisra (faras ka baadhshah)  Qaisar (Rome ka baadshah) aur Najjashi (Habsha ka baadshah)  ki taraf khat likhne ka irada farmaya to Aap Sallallahu Alahih Wasallam se arz ki gayee ke wo log sirf us khat ko qubul karte hain jis par muhar lagi ho ,ye sunkar Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne muhar banwayee, wo chandi ki anghuti thi aur usmein Mohammed Rasool-Allah ( Sallallahu Alahih Wasallam) naqsh karwaya tha
Sahih Muslim - 5482

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Ashama Najjashi ( Jo Habsha ka baadshah tha) ki Namaz e janaza padhi aur 4 martaba aapne namaz mein takbire kahi
Sahih al-Bukhari 3879


*💐✅ Answer : ABG / G  💐✅*
-----
Anas reported that when Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam decided to write to the Kisra (the King of Persia), Caesar (Emperor of Rome), and the Negus (the Emperor of Ethiopia), it was said to him that they would not accept the letter without the seal over it; so Allah's Messenger (ﷺ) got a seal made, the ring of which was made of silver and there was engraved on it:
Muhammad, the Messenger of Allah.
Sahih Muslim, Book 24, Hadith 5218

The Prophet (ﷺ) offered the funeral prayer for Ashama, the Negus ( the emperor of Ethiopia), with four Takbir.
Sahih Bukharr, Book 58, Hadith 219


No comments:

Post a Comment