Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, August 15, 2020

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1197* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1197* ❗

*Jawab ek se zyada hai*

*Sawal : Jumerat (thursday) ke mutalliq kaun kaun se baate sahi hain ?*

A. Rasool-Allah ﷺ Jumerat ko safar karna pasand farmate
B. Rasool-Allah ﷺ Aksar har jumerat ko roza rakhte they
C. Jannat ke darwaze khole jaate hain
D. Jumerat ko pahli wahi nazil huyee thi
E. Momeen bando ki roohein Qabro mein dua ki muntazir rahti hain
F. Jumerat mein wafat pane wale par Qabr ka azab nahi hota
G. Bande ke aamal Allah ki baargah mein pesh kiye jate hain
H. Sahi jawab ka intezar hai

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1197* ❗

*Answers are more than one*

*Sawal : What are the true lines regarding Thursday  ?*

A. Rasool-Allah ﷺ used to prefer travel on Thursdays
B. Rasool-Allah ﷺ often fasts on Thursdays
C. The gates of Paradise are opened
D. The first wahi was sent
E. The spirit of the believers looks forward in the grave for the supplication 
F. The one who die on the thursday will not get punishment of grave
G. Deeds are presented in front of Allah
H. I want to know

*💐✅ Sahih Jawab : ABC G  💐✅*
-----
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jumerat ke din safar karna pasand farmate they.
Sahih Bukhari, 2950

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam peer (monday) aur jumairat (Thursday) ko khas taur se roza rakhte they 
Jamia Tirmidhi , Vol 1, 723 - Hasan

✦ Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jannat ke darwaze Peer(Monday) aur jumairat (Thursday )ke din khole jate hain, phir har us bande ki maghfirat hoti hai jo Allah taala ke saath shirk nahi karta aur siwaye us shaksh ke jo keena rakhta hai apne bhai se (uski maghfirat nahi hoti ) aur hukm hota hai in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye, in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye,in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye 
Sahih Muslim, Vol 6, 6544

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya peer (monday) aur jumairat (Thursday) ko bande ke aamal Allah ki baargah mein pesh kiye jate hain aur mujhe ye pasand hai ki mere aamal jab ALLAH ki baargah mein pesh ho to main roze se hu
Jamia Tirmidhi , Vol 1, 725 - Hasan

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Eh Allah meri ummat ko jumerat ki subah ke waqt mein barkat ata farma
Sunan Ibn Maja 2237-Sahih



*💐✅ Answer : ABC G  💐✅*
-----
✦ The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  used to prefer to set out (travel) on Thursdays.
Sahih Bukhari,Book 52, 199

✦ Umm Aayesha Radhi allahu anha reports Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam (often) gave importance to the fasting on Mondays and Thursdays
Jamia Tirmidhi , Book 3, 745-Hasan

✦ Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam said The gates of Paradise are opened on two days, Monday and Thursday. and then every servant (of Allah) is granted pardon who does not associate anything with Allah except the person in whose (heart) there is rancour against his brother. And it would be said: Look towards both of them until there is reconciliation; look toward both of them until there is reconciliation; look towards both of them until there is reconciliation.
Sahih Muslim Book 032, 6222

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam said Deeds are presented in front of Allah subhanahu on Mondays and Thursdays. I desire that my deeds be presented whilst I am fasting.
Jamia Tirmidhi , Book 3, 747-Hasan

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam said O Allah, bless my nation early in the morning of Thursday
Sunan Ibn Maja 2237-Sahih

No comments:

Post a Comment