Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, August 10, 2020

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1193* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1193* ❗

*Hadith ka mafhum hai ki Jannati log apne se upar muqam mein rahne walon ko aise dekhnge jaise koi sitaron ko dekhta hai*

*Sawal : Wo muqam kinke liye honge ?*

A. Anbiya Alaihi salam ke liye
B. Sahaba Radi Allahu anhuma ke liye
C. Allah aur unke Rasoolo par imaan lane walon ke liye
D. Quran ke aalimo ke liye
E. Insaf qayam karne walo ke liye
F. Baar baar Hajj aur umrah karne walon ke liye
G. Inmein se koi nahi
H. Rabbi Zidni ilma
(Eh Mere RABB mere ilm mein barkat de)


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 1193* ❗

*The people of Paradise will look at the dwellers of superior place in Paradise in the same way as one looks at the star*

*Sawal : That superior place will belong to whom ?*

A. For the prophets 
B. For the Sahaba (Companion) 
C. The one who believed in Allah and his Prophets
D. The one who are scholar of Quran
E. The one who established Justice 
F. Who perform Hajj and umrah repeatedly
G. None of the Above
H. Rabbi Zidni ilma
(Oh My Lord increase my Knowledge)



*💐✅ Sahih Jawab : C  💐✅*
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jannati log apne se buland kamre walo ko upar ussi tarha dekhnge jaise chamakte sitare ko jo Subah ke waqt rah gaya ho jaise ki Aasman ke kinare mashriq ya magrib mein dikhte hain,  unmein ek dusre se afzal hoga logo ne arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ye to Anbiya Alahih Salam ke mahal honge jinhein unke siwa aur koi na paa sakega to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Nahi us zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai ye unlogo ke liye honge jo Allah Subhanahu par imaan laega aur Anbiya Alahih Salam ki tasdiq ki ( yani Allah aur unke Rasoolo par imaan lane walon ke liye ye honge)
Sahih bukhari - 3256



*💐✅ Answer : C  💐✅*
-----
The Prophet (ﷺ) said, "The people of Paradise will look at the dwellers of the lofty mansions (i.e. a superior place in Paradise) in the same way as one looks at a brilliant star far away in the East or in the West on the horizon; all that is because of their superiority over one another (in rewards)." On that the people said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! Are these lofty mansions for the prophets which nobody else can reach? The Prophet (ﷺ) replied," No! "By Allah in whose Hands my life is, these are for the men who believed in Allah and also believed in the Apostles."
Sahih Bukhari,Book 54, 478

No comments:

Post a Comment