Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, September 21, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 957❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 957❗

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne apni wafat ke waqt ek khwahish zahir ki thi kaash mere paas mere sahaba mein se koi hota , Aur phir logo ne un sahabi ko 
bula liya jinse milne ki khwahish Aapne ki thi

Sawal : Ye khwahish kaunse sahabi ke liye thi ?

A. Hazrat Abu Bakr Radi allahu anhu
B. Hazrat Umar Radi allahu anhu
C. Hazrat Uthman Radi allahu anhu
D. Hazrat Ali Radi allahu anhu
E. Hazrat Hasan Radi allahu anhu
F. Hazrat Hussain Radi allahu anhu
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Inmein se kis cheez se mutalliq us waqt un sahabi se baat huyee ?

A. Agle Khalifa ki
B. Hussain Radi Allahu Anhu ki shahadat
C. Nabiyo ki Wirasat ki
D. Ali Radi Allahu Anhu ki shahadat
E. Uthman Radi Allahu Anhu ki shahadat 
F. Qaisar Aur Qisra ki fateh
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai


❗Only-Quran-Hadith Quiz ❗

When Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam was ill during his last days he wished to have a special companion with him , and after that people called to that sahabi ?

Quiz 1 : Who was that Sahabi ?

A. Hazrat Abu Bakr Radi allahu anhu
B. Hazrat Umar Radi allahu anhu
C. Hazrat Uthman Radi allahu anhu
D. Hazrat Ali Radi allahu anhu
E. Hazrat Hasan Radi allahu anhu
F. Hazrat Hussain Radi allahu anhu
G. None of the above
H. I want to know

Quiz 2 : About what Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam discused with him ?

A. About Next Khalifa
B. The Martyr of Hussain Radi Allahu Anhu 
C. About the Inheritance of Prophets
D. The Martyr of Ali Radi Allahu Anhu 
E. The Martyr of Uthman Radi Allahu Anhu 
F. The Vistory of the Qaisar and Qisra
G. None of the above
H. I want to know

Sahi Jawab CE
----------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apne waat ke waqt farmaya meri khwahish ye hai ke mere paas mere Sahaba mein se koi hota hum ne arz Kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam kya hum Abu Bakr Radi Allahu Anhu ko na bula de ?  Aap Sallallahu Alahih Wasallam khamosh rahe, phir humne kaha ki Kya  hum Umar Radi Allahu Anhu ko na bula de ? Aap Sallallahu Alahih Wasallam phir khamosh rahe,  hum ne arz kiya kya hum Uthman Radi Allahu Anhu ko na bula de ? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya HAAN, toh unko bula liya gaya,  Aap Sallallahu Alahih Wasallam unse tanhayee mai batein karne lage aur Uthman Radi Allahu Anhu Ka Chehra badlta raha , Qais Radi Allahu Anhu ne  farmaya mujhse Uthman Radi Allahu Anhu ke Ghulam Abu Sahla Radi Allahu Anhu ne bayan Kiya ke Uthman bin Afwan Radi Allahu Anhu ne jis din un par (shaheeed karne ke liye) hamla kiya gaya , kaha beshak Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne mujhse (us din) Jo Ahad liya tha mein usee ki taraf ja raha hu ek dusri rivayat mein hai ki unhone kaha  main is par sabr karne wala hu uske baad sab logo ko khayal aa gaya ki us din ki guftagu se yahi (shahadat ka) din murad tha 
Sunan Ibn Maja,  jild 1 , 113 Sahih

Answer CE
--------
It was narrated that 'Aishah Radi allahu anha said: "When he was ill (during his last days) , the Messenger of Allah said: 'I would like to have some of my Companions with me.' We said: 'O Messenger of Allah! Shall we call Abu Bakr for you?' But he remained silent. We said: 'Shall we call 'Umar for you?' But he remained silent. We said: 'Shall we call 'Uthman for you?' He said: 'Yes.' So 'Uthman came and he spoke to him in private. The Prophet started to speak to him and 'Uthman's expression changed." Qais said: "Abu Sahlah, the freed slave of 'Uthman, narrated to me that on the Day of the House, 'Uthman bin 'Affan said: 'The Messenger of Allah told me what would come to pass and now I am coming to that day.'"In his narration of the Hadith, 'Ali (one of the narrators) said (that he said): "And I am going to bear it with patience." Qais said: "They used to think that that was the Day of the House.
Sunan IBn Majah, Book 1, 113-Sahih

No comments:

Post a Comment